Muhabbat

3 0 0
                                    

Muhabbat ka tarjuma aap kaise karenge?
Jab unhone kaha, "Mujhpar kon yakin karega, khadija?"
Tab khadija (RA) ne kaha "Mein iman latihu aap par Ya Rasul Allah!"

Jab aap apni jaan se bhi pyari sahabiyo ke sath raat mein chala kar tethe
Tab unko chor,chand ki roushni ke niche apni humaira ko lekar dour lagaya kartethe.

Muhabbat ka tarjuma aap kaise karenge?
Jab saalan mein namak jyada daal jata tha
tab aap khamosh ho jate the.
Kyuki aap ko apni humaira par thodi chikhna tha?
Aapko to apni ummat ko muhabbat karna sikhana tha.

Pure jahan ki badsha ke habib the aap
Aur phir bhi khud khun mein katrate huye kehte the "Maaf kardo jisne bhi mujhpar patthar pheka tha"
Kya itna mushkil tha us mujrim ko saja dena?
Par aapko to muhabbat karna sikhana tha.

Jab vo aurat apki rastein mein ekdin kata bichane mein bekamiyab rahi
To dusre din aap khairiyat puchne gaye aur dua de diya.

Muhabbat ka tarjuma aap kaise karenge?
Muhabbat, Muhammad (SAW) naam se hi shuru hota hae aur asman tak ja pouchta hae.
Ya rasul Allah. Allah ki kasam muhabbat ta tarjuma sirf apne hi sikhaya hein

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Mar 30 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Short islamic lines (urdu)Where stories live. Discover now