Parents

658 45 11
                                    

Gokuldham Society

Abdul Shop

10:30 PM

All gents were drinking soda... as always.

Bhide: Aree jethalal mehta sahab aap dono aaj late kese ho gye?

All: Haa.

Mehta: Aree kya batau bhide! Anjali ka phone kharab ho gaya tha. Utne mai jethalal aa gya. Phir anjali jethalal ke piche hi pad gyi ki phone usse abhi thik karke chaheye. Hum dono vahi atak gye. Vo toh accha huwa vakt pe pinku vaha aa gya. Usne apna laptop nikala aur pata nhi kya kiya 5 min mai phone thik ho gaya.

Jethalal: Haa... vese pinku bahoot hi hoshiyar ladka hai haa!

Bhide: Haa aaj subah bhi usne mahila mandel ko toothpaste ke sacam se bachaya.

Sodi: Haa aaj roshan darling bhi bata rhi thi...

Hathi: Haa komal ne bhi bataya mujhe.

Iyer: Isiliye koie bhi product buy karne se pehle usse thik se dekhna padta hai.

All: Haa.

Mehta: Vese dosto... abhi baat chal hi rhi hai toh mere dimag mai ek sawal aya hai.

All: Kya?

Mehta: Pinku ko hum uske bachpan se dekh rahe hai. Lekin kabhi uske parents se mulakat nhi huwi hamari.

All: Haa ye toh hai.

Jethalal: Bhide tujhe toh pata hoga na.

Bhide: Nhi. Pehle pinku hamari society mai apne chacha chachi ke saath rehta tha. Phir uske chacha chachi kaha chale gye pata nhi... aur phir pinku ne bhi society chor di. Abhi vo yahi baju wali koie toh society mai rehta hai.

Iyer: Toh kal pinku se milke usse puch lete hai ki uske mummy daddy kon hai aur kaha hai?

All: Haa.

Mehta: Par kamal ki baat hai dosto ki itne saalo mai hame uske mummy papa ka naam toh dur ki baat hame pinku ka tak asli naam nhi pata hai!

Popatlal: Haa. Usne kabhi bataya nhi.

Jethalal: Nay barabar hai kal usse beth ke puch lete hai. Akhir hame bhi toh pata chale uske mummy papa hai kon?

All: Haa.

Next Day

Pinku came to meet tapu sena. And all office gents (jethala mehta sodi popatlal iyer) were about to leave for their respective office and bhide was going to society office and dr. Hathi was going to check a patient. But they all stop as they saw pinku. They all went to him.

Mehta: Aree pinku beta.

Pinku: Ji mehta uncle.

Mehta: Beta tumse kuch jaruri baat karni hai.

Pinku: Ji uncle kahiye na. Anjali auntie ka phone phirse kharab ho gaya ky?

Mehta: Aree nhi nhi. Hame tumse kisi aur bare mai baat karni hai.

Pinku: Kis bare mai uncle?

Mehta: Tumhare Parents Ke Bare Main. Beta tumhare Parents kaha hai? Kon hai? Hame kabhi milvao unse.

He got shocked by their sudden question.

Pinku: Ji... ji uncle milwauga na...

Popatlal: Toh kal milwao.

Pinku tensed: Kal?

Mehta: Haa kal eid hai na. Saab ko holiday hai. Of course tumhare Parents ko bhi hogi.

Pinku's Parents Where stories live. Discover now