Insaan Kab Rehem Dil Banega

367 7 1
                                    

Har ghar ke tarha humare Ghar bhi kahbi kabhi khana Bach jata ha... Aksar deka gaya ha ke kuch log khana bach jane ke baad Dustbin me dal dete ha. Lakin humare yaha aisa nahi ha. Hum pet bhar Khana khate ha. Aur Allah ke is tohfe ka Shukar ada karte ha. Aur agar khana Bach jata ha to hum Khane ko Dustbin ka hissa nahi banne dete ha. yeh Soch kar ke Tohfe kabhi Dustbin ke Shaan nahi bante ha.. Lakin sawal yeh uthta ta ke Bache Khane ka sahe istemaal kaise kiya jaye.. Aaj kal Ghareeb aur fakeer koi ha nahi. Sub Ameer ha.. Sub iogo ke apne husul ban chuke ha. Paise ke madad karo to Khush ho kar le lete ha.. Agar Sirf Khana do to Mana kar deta ha jaise yeh khana nahi Zehar ha.. Aise halat ko dekh kar hum ne Street Dogs ko Khana dalna behtar Samja. Aur hm Kafi saalo se apne banaye hue is qaide to nebate a rahe ha.. Street Dogs se fayda bahoot ha. ek to aap ke ghar ka khana maze se khate ha. Aur Insaano se zayda wafadari karte ha. Ab wo hume se bahoot pyaar karta ha.. jab bhi kahe jate ha to wo humare pechay pechay chalta ha. Aise behave karta ha jaise wo humara body guard ho.. Lakin kuch din pehle kuch aisa hua jis ne mere Rouh to janjor ke Rakh diya.. Dil me ek Nastar sa utar gaya. Humare Parosi ke ek larke ne Iron Road se us ke gardan par zor se maar diya.. Jis se us ke Zabaan bahar nikal aye. aur khane peene me pareshani hone lage.. Us ke aise halat dekh kar dil ko bahoot dard hua.. Wo bechara apne dard ko bayan bhi nahi kar pa raha ta. Sirf humare dehleej pe sir jukaye aur zaban bahar nikal kar leta hua ta.. us ke Aankho se us ka dard me saaf saaf par sakta ta.. Hume ne use khana dala lakin pata nahi us Be-zuban ka kya kusoor ta jis ke saza us ko mil rahe te.. uske moh me khana tak nahi ja raha ta.. Pet me bhook ka hona.. aur us ke Bar bar khane ke kosis karna.. Dosto itna Khatarnak Manzar ta ke me bayan nahi kar sakta. Kuch dino tak wo bina khaye piye raha. mere bhai me dawa lakar use khelaye.. Aur mere Ammi ne Roz uske dekh bhal kare waqt pe use khana khilaya. Ek mareez ke tarha us ke teemar dari kare.. Allah ke hukum se use fayda hua ha.. Ab wo thoda thoda kha raha ha.. Kya Kusoor ha in bezabano ka. sirf yahe ke in ka naam Kutta ha. yeh janwar ha.. Islam Mazhab kisi bhi Be-zaban janwar ko is tarha be-rehmi se mar ne ijazat to nahi deta.. fir kiu yeh log nahi samjte ha ke in ko bhi dard hota ha.. takleef hote ha.. lakin hum insaano ke keh nahi pate . yahe kamjori ha inke.. bus ise cheez ka fayda hum utha te ha.. Lakin kisi ke kamjori ka fayda uthana Humare Allah, Nabi, Quraan ka hukum to nahi ha.. Na jane kitne hadees ha jin hone Kutto par rehem kiya aur unke magferat Asan ho gaye. Agar Zehen ke aanko se dekha jaye to yeh janwar nahi ha.. balke ek zarya ha neeki kamane ka. Magfirat Asan kara ne ka.. In par zulum karne ke baad agar hum is guman me ke bach jaye ge.. to yeh humare Ghalat fami ha.. hasar wale din humara gerabaan pakra jayega.. Aur Shyad us waqt hum yahe sochenge ke kash hum ne us ko bewajha laat na mare hote balke apne Dustbin me jo roti pheke te us ke de de hote ho. to Shayd Allah ko razi karne ka Khubssorat moka mil jata..

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: May 22, 2011 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Insaan Kab Rehem Dil Banegaजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें