part 49

2.9K 86 1
                                    

Uska haath pakde woh use ab kisi raaste par le jaane laga. Ek qadam, doosra qadam, teesra woh thatak kar ruk gayi. Woh ek jheel thi. Chhoti si jheel jis ke kinaare par woh the. Halki neeli rangat ke shafaaf pani ki ek jheel jis ke pani mein woh rang birangi machliyan terte hue dekh sakti thi. Aur us ki teh mein be shumar rangon ke moti patthar sipiyan.Jheel ke pani par abhi parinde tair rahe the. Khubsoorat raaj hans. Jheel ke charon taraf phool the. Aur bohot se phool jheel ke pani tak chale gaye the kuch pani ki satah par tair rahe the. Magar us ke qadmon ko un mein se kisi cheez ne nahi roka tha. Us ke qadmon ko rokne wali shay jheel ke kinaare par maujood lakdi ki woh khubsoorat chhoti si kashti thi jo pani mein hilkore le rahi thi. Usne be ikhtiyar khil khila kar use dekha. "Yeh meri hai?" Woh muskura diya. Woh apna haath chhoda kar bachon ki tarah bhaagti kashti ki taraf gayi. Woh us ke peechhe lapka. Us ke qareeb pohanchne par kashti pani se kuch bahar aagayi. Woh badi aasani se us mein sawar ho gayi. Usay laga woh kashti sandal ki lakdi se bani thi. Khushboo daar sandal se... woh us ke saath aakar baith gaya. Hawa ka ek tez jhonka kashti ko pani mein le gaya. Dono be ikhtiyar hase.

Kashti ab jheel ke doosre kinaare ki taraf safar kar rahi thi. Usne jhuk kar pani mein tairta kanwal ka phool pakar liya. Phir isi ehtiyat ke saath use chhod diya.

Usne doosri taraf jhuk kar apne dono haathon ke piyale mein jheel ka pani ek chhoti si rangin machli samait liya aur us ke samne kar diya. Us ke haathon ke piyale mein harkat karti machli ko dekh kar woh hansi Phir usne us machli ko haath se pakda aur pani mein uchhal diya. Woh dono jhuk kar use dekhte rahe.

Pani par teerta ek hans kashti ke paas aagaya. Phir doosra, phir teesra woh kashti ke gird ab jaise ek daire sa bana kar tair rahe the. Yun jaise un ka istiqbaal kar rahe the. Woh paas se tair kar guzarte, har hans ko woh apne haathon se chhoti khilkhila rahi thi. Phir ek dum usne jheel ke paani par kamal ke phoolon ki qataaron ko harkat karte dekha. Woh jheel ke paani par tairte ab raqs kar rahe the.

Idhar udhar jaate, khubsoorat shaklon ko banate. Paas aate, door jaate, phir paas aate, yoon jaise woh yak dum hanson ki tarah zinda ho gaye the. Jheel ke neele paani par woh safaid kawal apne sabz khubsoorat patton ke saath hone wali musalsal harkat se paani mein irtaash paida kar rahe the. Woh be-khud ho rahi thi ya be-ikhtiyar, woh bhi samajh nahi pa rahi thi. Samajhna ab zaroori tha bhi nahi.

Jheel ke paani par raqs karte la-tadaad khubsoorat phoolon ke beech usne yak dum kisi aks ko numoodar hote dekha. Kashti mein baithe baithe woh chonk kar mudi aur phir woh be-sakhta khari ho gayi. Kashti doosre kinare ke paas aagayi thi aur wahan... wahan kuch tha.

Imama hard bada kar uthi thi, gehri neend mein. Usne apni kalayi par kisi ka lams mehsoos kiya tha. Khwaab aawar dawa ke zair-e-asar usay ek lamhe ke liye kamrey ki madham roshni mein yoon laga, woh ek khwab se kisi doosre khwab mein aayi thi. Salar uske bistar ke qareeb kursi par betha tha. Be-had qareeb, bistar par dhara uska haath apne haathon mein liye. Pata nahi neend tooti thi ya khwaab... ya phir woh lams tha jo use khwab se haqeeqat mein le aaya tha lekin woh khwab aawar dawa ke zair-e-asar hote hue bhi yak dum apna haath uske haathon se kheenchte hue kohniyon ke bal uth kar baithne lagi thi, Salar ne use roka.

"Utho mat."

"Tum waqai aagaye ho?" Imama ko ab bhi jaise yakeen nahi aaya tha.

Woh dheere se hansa. "Tumhein bataya to tha ke aajaunga."

"Yeh to nahi bataya tha ke kab aaoge? Aur tumne mujhe jagaya kyun nahi?"

"Bas mein ne socha, tumhari neend kharab hogi," woh madham awaaz mein baat kar raha tha. Doosre bistar par Jabreel aur Inaya the jo gehri neend mein the aur sofe par Hedi thi jo kuch der pehle Salar ke aane par darwaza kholne ki awaaz se jag gayi thi aur Salar ke saath kuch khair makhdami jumlon ke tabadlay ke baad woh kamre se chali gayi thi. Woh raat ke pichle pehar Kinshasa pohancha tha aur airport par ruke baghair wahan aa gaya tha. Shehar mein haalaat ab normal ho rahe the. Fauj aur hukoomat aman bahaal karne mein kamiyab ho rahe the.

Aab e Hayat  ||  COMPLETEDWhere stories live. Discover now