Chapter 2

326 15 14
                                    

Woh apni police wali wardi zaib'tan kiye darwazay pay halki si dastak de raha tha

"Come in", andar se roab'daar aawaz aayi to woh muskurata andar daakhil hua, us ne haath maathey tak le jatay salute kiya aur "goodmorng sir" bola, muqabil koi 45 saal ka kursi par betha tha, police wali wardi zaib'tan kiye samnay maiz par SHO Zaman chaudhary wali slate jagmaga rahi thi

"Good morning young man", woh halki si muskurahat liye bolay aur Wali ko bethnay ka ishara kiya. Wali ne apni topi utaar ke un ke samnay maiz pay rakhi aur kursi par baith gaya, topi utaarnay ki wajah se us ke baal maathey tak bikhar gaye thay. Teekhe nain naqsh, naak pay gussa, aankhon mein sanjeedgi, maathey pay bikhre baal, Wali chaudhary ka shumaar khoobsurat mardon mein hota tha, us se haal chaal poochnay ke baad SHO ne us se case ke baray mein poocha jis ke liye unhon ne usay aaj khaas tor par bulaya tha, woh apni aaj tak ki performance ke baray mein unhen aagah kar raha tha, woh us ki performance par halka sa muskuraye, aisay hi woh uske fan nahi thay
_________________

"Kab aqal aaye gi tumhein..." woh sath sath us ke kamray ka phailawa samait rahi theen aur sath sath Hani ko aqal de rahi theen, Hani sofay pay charh ke aik ghutne upar kar ke us par thodi [chin] rakhay aur doosra neeche ki taraf fold kiye baithi hui un ka lecture sun rahi thi aur munh ke zawiye bigaar rahi thi, woh janti thi Parwasha chaudhary jis din us ke kamray ki safai karti sath Hani ki bhi safai hoti thi

"Hani utho aur apne kapray durust kar ke rakho almaari mein..." unhon ne usay kaha

"Api...", Hani ne munh basora [banaya]

"Hani", unhon ne ghusse se usay bi jawab diya,  unhen ghussa bohat kam aata tha jb aata to hani ki un ke samnay nahi chalti thi, Hani janti thi ab kaam ke siwa koi charah nahi to woh sharafat ka muzahira karte uth ke almaari se kapray nikaalne lagi, hani ne kaam karte kin ankhion [ankhein chhoti kiye] se unhen dekha aur phir tameez ka muzahira karte apne kapray rakhnay lagi
_________________

Woh ghar mein akeli thi. walida sahiba muhallay mein kisi aurat ke ghar gayeen theen, shaam ka waqt ho raha tha abhi kuch dair tak khana bhi Pari ne banana tha, woh shaam ki chaye liye chhat pay aagai.

"Kaisi hain aap bhabi..." sath wali jamila tai ki bahu ko chhat par dekha to Pari ne un se poocha woh halka sa muskurayeen aur apni chhat ki deewar ke sath lag ke boli

"Mazay mein hoon... yaar, haye... ammi nahi hain na ghar, sukoon hai aik dam", woh shararat se boli to Pari ka qehqa buland hua

"Anay dein zara tai ammi ko... mein bataun gi unhen", us ne bhabi ko daraya

"Tobah karo pari...." bhabi ne foran kaanon ko haath lagaye thay waisay to bhabi Atifa shararti si theen lekin shadi ke baad un ki saas ke talkh [rude] ravaiyye [behavior] ne un ki shararti tabiyat [nature] ko kahin gum kar diya lekin pari ke sath woh bohat free theen

"Yahan meri chugliyan ho rahi hain kya?" dayen taraf ki ifrah bhi chhat par aayi to un dono ko baatein karte dekh ke abrow uchkate boli

"Hamein aur bhi bohat se kaam hain janab..." pari ne ne us ka jawab diya

"Bhabi raat drame ka kya bana..." Ifrah ne chunkay cable chalay jane ki wajah se apna pasandeeda drama dekha nahi tha to us ne bhabi se poocha, pari muskarayi thi aur un dono ko ’alvidah’ kehti neechay aagai, usay raat ka khana bhi banana tha aur peechay bhabhi ifrah ko drame ki kahaniyan sunanay mein masroof ho gayeen
________________

Woh aur tommy garden mein football khail rahay thay, Hamdan ne pehlay Aina ke kamray ki khirki ki taraf dekha aur phir us ki kiyari ki taraf dekha jis mein pyare pyare nanhay phoolon ki afzaish [growth] abhi shuru hui thi, Hamdan ne shaytani muskurahat liye football us ki kiyari mein pheink diya, tommy bhaagta hua kiyari mein ghuss ke football uthany laga, Aina achanak apne kamray ki khirki mein aayi aur apne phoolon ki kiyari mein tommy ko dekh ke be'hosh hotay hotay bachi

 Wajbat-e-ishq by Mehreen SaeedWhere stories live. Discover now