EK TARAF PYAAR TO EK TARAF JALAN

537 36 29
                                    

Hey guys i am back
With a new one shot

Idea by larryloveshome
__________

Scene starts from the MPT
In afternoon Haseena was seating in Cabin lost in thoughts
Karishma came to her with a file

Karishma: madam sir sign

Haseena: haan dijiye

She signed on it

Karishma: koi baat hai madam sir

Haseena: kuch nhi Karishma singh bas aise hi

Karishma: aap bta sakti hain hume

Haseena: Aapko pata hi hoga ke humare ghar mein Wiring ka kaam hone wala hai do din mein to Electrician ne bola ke pure hi ghar ki Wiring mein defect aaraha hai toh time lag jaayega ab hum Ammi ko to itni garmi mein aise rakh nhi sakte upar se unki tabiyat ki bhi chinta hai hume isliye unhe humne khala ke ghar bhej diya lekin ab khudka kya karein department se emergency quarter ki baat karenge to jab tak Quarter sanction hoga tab tak saara kaam bhi khatam hojayega
Hum to leave bhi nhi le sakte ke leave lekr hum bhi ammi ke saath chle jaayein kyunki bahut si meeting hain abhi thode din to aap hi btaiye kya karein hum

Karishma: Aap aise kijiye humare saath chaliye Humare ghar

Haseena: lekin Kal to Bhai aane wale haina to aap logon ko problem hogi rehne dijiye aap logon ki privacy kharaab hogi

Karishma: tension not vo teen mahine yahin hain bahut waqt hai hum logon ke paas saath bitaane ke liye agar aap baad mein hume thodi leave de dein to

Haseena: Vo to hum de denge aapko agar jyada workload na ho to kuch bhi manage karke aapko chhuthi de denge lekin fir bhi aapki privacy to khraab hi hogi na

Karishma: dekhiye hum unhe achhe se jaante hain unhe koi problem nhi hogi aur hume to hai nhi

Haseena: ek baar fir Soch lijiye

Karishma: humne soch liya hai aap humare saath chal rahi hain to bas chal rahi hain aur vo aap kehti hain na It's final bas It's final

Haseena: achha thik hai to kab chalna hai

Karishma: aaj hi shaam ko amma aaj chli gyi hain toh akele to nind hume bhi nhi aati matlab chaahe dusre kamre mein hi sahi lekin koi to ghar pe hona hi chahiye

Haseena: achha chlo thik hai chalte hain

In night
Haseena was driving and Karishma on passenger seat
Lost in her mobile
Smiling, giggling, blushing

Haseena: aisa kya dekh rahi hain Karishma singh jo aap sharma rahi hain (while focused on driving)

Karishma: kuch nhi vo bas Bhaiya hain humare humse puchh rahe hain ke unhe mama kab bnayenge hum aur udhar se patidev bhi hume vo romantic reels bhej rahe hain isliye bas

Haseena: bhaiya?

Karishma: chachere bhai hain bahut bhai hain humare

Haseena: ohhh vaise unhe mama kab bana rahi hain aap ye to hume bhi jaan na hai

Karishma: bas ab patidev aaye hain koshish karenge agar aapne chhuti dedi to shayad pushpa ji dadi ban jaayein

Haseena: vaise aap itniii open kabhi nhi hoti hain to aaj kaise

Karishma: bas aise hi humara ye jo ye wala roop haina bahut kam logon ke saamne nikalta hai

Haseena: jaise

Karishma: Humare patidev ke saamne aur Humare pariwar ke saamne Pushpa ji ke saamne hum thode se mature se bankar rehte hain kyunki Ab shadi shuda hain to responsibilities bhi hain to karna padta hai baaki humare bhai behano ke saamne aur humari maa aur chachi ke saamne humse shaitaan bachha nhi hai koi ghar mein sabse chhote hain hum aur humne is baat ka humesha fayda uthaya hai

KARISHMA SINGH- One ShotsWhere stories live. Discover now