Kashaf 15 January

498 15 0
                                    

Yeh kya hogaya aj!Sidra hi zimmedar hai iske liye aur kuch hadh tak main bhi.Yeh Sidra ki aag mein ghee dhalne ki adat kab jayegi. Pichle hafte ki baat hai. Ek hafte se itni masroof hoon ki diary likh hi nahi payi.
Us din phir woh meri badi bahen banne ki koshish kar rahi thi. Masla kya hai is ladki ka.

"Kashaf abba bilkul sahi keh rahe hai. Tumhe shaadi kar hi leni chahiye."
"Sidra tum beech mein mat pado. Mujhe abba se baat karne do."
"Par Kashaf main kuch galat toh nahi keh rahi."
Uske is jawab ne mere gusse ko asman tak ki raah dikha di.
"Abba main apse akele mein baat karungi. Kam az kam Sidra ke samne toh nahi."
Maine Sidra ko kehne se zada, Abba se yeh baat kehna munasib samjha.
"Sidra tum apne kamre mein jao."
Abba ne unchi awaaz mein kaha.
"Abba dekhein please main abhi shaadi nahi karna chahti. Woh bhi is waqt jab main apna career mein itni tarrakki kar rahi hoon."
"Kashaf tumne age padhna chaha humne maan lia. Job karna chaha woh bhi Islamabad ja ke humne wo bhi maan liya. Par ab tumhara waqt hai humari baat manne ka. Sahir ek bohot acha ladka hai aur tum toh use bachpan se janti ho akhir cousin hai woh tumhara."
Ab main abba ko kya batati, yehi toh sabse bada masla hai ki woh mera cousin hai. Main apne rishtedaro se humesha se nafrat karti aayi hoon aur main shaadi kar k unke hi ghar baith jaun. Yeh mujhe hargiz manzoor nahi.
Maine sakht awaaz main kaha
"Abba main yeh shaadi nahi karungi. Ap mujhse aur kuch bhi maang lein magar yeh ek khwaish main apki puri nahi kar paungi. "
Bina abba ki odh dekhe main ghar ke bahar nikal gayi. Kisi ne mujhe rokne ki koshish nahi ki. Chalte chalte main beach par pohnch gayi. Waha ja kar kuch sukun mila mujhe isliye maine kuch dair wahi baithne ka faisla kiya.
Baith kar main abba ki baatein yaad kar rahi thi ki achanak se kisi ki pukar se main ghabra gayi.
"Kashaf."
Maine uske taraf dekhte huye kaha.
"Zaroon sir. Ap?"
"Yaha akele kya kar rahi ho.Kuch pareshan lag rahi ho."
"Nahi aisi koi baat nahi hai."
Usne baithe huye kaha
"Kashaf koi khushi se toh akele aise nahi baith sakta. Koi baat hai toh keh sakti ho mujhse.Koi masla hai?"
Usne mere taraf dekhte huye pucha.
"Main apne masle dusro ko batane mein yakeen nahi rakhti."
"Yeh kaisi baat huyi. Maslon ko share karne se dard kam ho jata hai."
"Main ispe belief nahi rakhti. Apne masle share kar ke mera dukh kam hoga toh nahi hoga balke main dusron ko apne upar hasne ka mauka hi dungi aur isse toh mere pareshaniyon mein izaafa hi hoga na."
"Har koi dusron ki pareshaniyon ka mazak nahi banata."
Ek ajeeb si kafiat huyi uski yeh baat sun ke. Main uski ankhon ki odh dekh rahi thi. Kuch ajeeb si hi baat thi aj uske ankhon main. Ek sacchai,kuch dard tabhi maine realise kiya ki woh bhi akela hai.Kuch dair tak chup rehne ke baad maine kaha
"Sir meri baat choriye ap bhi yaha akele hai shayad."
Sar hilate huye aur halki si muskurahat ke saath usne kaha
"Badi jaldi notice kar liya apne."
"Apke toh bade friend circle wagera honge. Ap akele ,kafi hairani ki baat hai.Lagta hai apke saath bhi kuch masla hai"
"Haan hai toh.Khair ab tum mujhse mere maslon ke bare main puch rahi ho "
usne muskurate huye kaha.
"Ji nahi.Main na apne maslon ko kisi ko batana pasand karti hoon na main kisi ke masle sunne mein apna time waste karti hoon. Kyu ki na toh main kisi ke masle suljha sakti hoon na main use console kar sakti hoon."
"Bohot zaalim ho tum kashaf."
Uski is baat ne mere chehre par ek halki si muskurahat la di. Maine aage kuch nahi kaha. Na usne yeh zehmat ki. Magar woh wahi baitha raha. Maine bhi kuch nahi kaha usse. Bas baith ke us gehre sumnadar ki odh hum dekhte rahe. Ajeeb kafiyat si hone lagi mujhe samundar ki awaz se ki achanak mere phone ki ghanti baji. Sidra ke naam ko dekh kar maine phone katna chaha magar Zaroon mere hi odh dekh raha tha isliye maine phone utha liya.
"Kya baat hai Sidra?"
Maine sakht awaaz main pucha.
Ek larkharati hui awaz sunai di
"Abb--bb--aa ko.."
"Abba ko kya?"
Maine cheekte huye pucha.
"Abba ko heart attack hua hai. Tum jaldi haspatal ajao."
Yeh sunte hi mere pairo tale zameen khisak gayi. Main uth khadi hui Zaroon bhi jaldi se khada hogaya. Mere ankhon ke ansoon dekh kar usne mujhe sambhalne ki koshish ki.
"Kya hua hai Kashaf?"
usne pucha.
"Abba..abba ko..abba ko heart attack hua hai mujhe haspatal jana hai."
Kehte huye main daud gayi.
Phir maine realise kiya ki main apni gaadi nahi layi thi main phir Zaroon ki odh daud gayi. Woh asmanjas mein wahi khada tha.
"Zaroon please ap mujhe hospital tak chor denge main gaadi nahi layi hoon."
Usne bas sar hilaya aur tezz raftar se hum gaadi ki odh badhne lage. Usne mauke ke nazakat ko samjhte huye gaadi ko tezzi se chala kar mujhe pohncha diya.
Gaadi rok kar usne bas itna kaha
"Mujhe bata dena abba ki tabiyat ke bare mein and u also take care."
Maine bas sar hilaya aur jaldi se ander chali gayi. Zaroon ke saath mujhe nahi ana chahiye tha yehi ek galti hogayi. Meri zindagi ke pareshaniyo me izaafa bas is ek ride se hogaya. Baaki ki baatein main kal likhungi. Ammi bula rahi hai.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now