Us ne seminar main jane k lea tyar hona tha lekin hamesha k tarhan wo apni maa ki 200 awaz dene pr bhi nhi uth rahi thi
" Yashfeen uth jao aur kitna late kro gi!9 bjj rahe hain . 10 bje tumhain wahan pohanchna hai"
Aur wo jo abhi bhi apne khabon se bahir ane ka nam na le rahi thi. 'Agr bari behn tang kr k na uthane aae to ye aise he soi rahe"
"Unnmm uth rahi hun abhi mama"
Zubaida begum apne kamon main masruf ho jati hain. Yashfeen uth kr muh hath dhoti hai . Us ka rang buhat safeed aur us ki jild buhat he mulaim, us k baal bilkul seedhe ,lmbe aur ghne , us ki ankhin kanch ki tarhan anazuk , palkein barein aur ankhein sunehrain , us ki nak choti si buhat haseen ,aise k pure chahre ki khobsorti alag aur us ki nak alag , goya wo ghr ki sb se pyari larki ho.
Seminar jane k lea us ne hare rang ki aik kameez pehni jis ka rang halka aur us pr safeed rang k dhage se kaam hoa wa tha . Baal us ne hamesha ki tarhan aik jure main band kr lea aur apne sir ko hijab se cover kr liya.
" yashfeen nashta kea begair na jana"
Us ki maa ne use bawarchikhane se awaz lgate goe kaha
" Ami aisa ho sakta hai k mai kbhi nashta na kron"
Bawarchi khane k sath lge sheshe main us ne tyar hote we kaha
Ache se apni Ama k bnae gye allo khane k baad us k jane ka waqt ho gya
Ghr se bahir nikalte waqt us ne sarsari si nigah anine pr dali
Kanch si sunehri bari bari ankhon ki haseen bari palkwin, balon pr ache se scarf lea hoe, halke se gulab gaal jaise wo hanse to galon ka rang bdal gae , aik hath main ghari pehne hoe wo aik mazbot aur bahimmat larki lg rahi thi.
"Kitni bar mna kiya hai na pehna kro ye ghari agr gir gyi to kya kro gi. Dosri pehn lo"
"Mai khayal kron gi . Allah Hafiz"
" FI AMAAN E ALLAH"
Seminar Bahaudin university main tha jahan jane k lea use pass ki zarorat thi
Wo 40 mint k bad university puhanchti hai. University main dakhil hone k baad mukarar karda hall main jati hai aur dakhil hote he
" Mam , pass check krwain!"
" 1 mint"
Wo apne purse ki choti zip main dekhti hai , chezon ko idher udher bekhairne k bawajod pass nhi milta
" yahein to rakha tha , kahan gya"
Is k bad pura bag check krti hai pass nhi milta
" I guess mera pass ghr reh gyi hai"
Wo nadamat se hansti hai
" pass k begair entry allowed nhi hai. Ap ni aa saktein"
Wo bebas ho kr dekhti hai . Ab use wapis ghr jana ho gya . Seminar bhi attend nhi kr sakti. Achanak se use kuch yaad ata hai
" 1 sec mere pass kuch hai"
Wo apne hath main mojood phone ko kholti hai k
Bahir se daraz qad ka aik larka ander dakhil hota hai. 6'3 ka darz qad, kale seyah baal, us ka rang saaf, us ki nakosh teekhe, us ki ankhon ka rang neela aur buhat umda , us ka chehra itna khobsorat k dekhne wala khud ko rok na pae, us k baal mukamal siyah the aur wo thore se ghunghrale the , wo chalta to jaise her koi use dekhe ..........
"Ap mera phone dekh lain mere pass pic mojod hai pass ki"
" Nhi mam sakht orders hain,ap pass k begair nhi aa saktein"
Us waqt yashfeen ko apne ap pr malamat ka ehsas hota hai
" Uff!! ALLAH ab main kya kro"
Wo phir se koshiah krti hai
"Ap dekhein mere pass tasveer hai is pr mera naam likha hai ,Yashfeen "
"Nhi ap ko ander nhi ane de skte"
Dilawar kya masla chl raha ha?
" sahb g ye ander jane ki zid kr rahi hain "
Us ne sarsari si niggah us lrki pr dali
" mere pass pic mojod hai pass ki"
Us ne security guard ko gusse se dekhte hoe kaha
"Ap ander jaen!!"
Asfandiyar ne apne phone pr dekhte hoe kaha aur wahan se chla gya
*Allah ka shukar hai. Huhh*
Wo seminar hall main jati hai,abhi use start hone main 15 mint hote hain lekin hall takreeban bhrh chuka hota hai
Use hall k akhir main seat milti hai,wo wahan pr he beth jati hai.
Usi waqt use aik call ati hai
"Asslam o alikun
"Walikum Aslam Hooria"
"Yar mai ne tumhain btana tha k hamare exams ki date finnal ho gyi hai. Very next Monday hamara paper hai"
"No way!! Mai to Multan aai wi hun. Ab kya ho ga"
"Ab tumhain wapis ana ho ga"
Us ne apne khande girare
"Keh to sai rahi ho"
"Chlo tum se bad main baat hoti hai,mai seminar main hun"
"Ok Allah Hafiz"
Horria aur wo 6 saal se aik sath the. Wo donon buhat gehre dost the. Horria aur wo aik sath NUST UNIVERSITY main parhte the. Horria aur us ki umer main 1 saal ka farq the.
Yashfeen 21 ki aur Hooria 20 saal ki thi. Hooria ne hamesha se computer ki duniya main jane ka shoq rakha tha isi lea wo in dinon main CS krrahi thi. Yashfeen ko hamesha se he medical se nafrat thi. Wo apni class main hamesha se aik achi student rahi thi. Collage main bhi boards main us ne 96% lea lekin medical main jane ka use bilkul shock nhi tha . Us ka bara bhai tib k shuabe se taluk rakhta tha. Yashfeen NUST UNIVERSITY MAIN Ai engineering k 2nd year ki student thi.
Seminar hall main achanak se NATASHA DANIYAL dakhil hoti hain
Seminar hall ki sb se agge mojod seats pr MAM NATASHA k sath Asfandiyar betha hota hai. Natasha k baad wo stage pr jate hain. Sb log bharpoor taliyon se un ka istaqbal krte hain
Yashfeen achanak se goya current khati hai . Us ki ankhein kholi reh jati hain.
*To ye hain Asfandiyar sahab. Hmmm Impressive *
Wo soch he rahi hoti hai k Asfandiyar sahab abhi speech ka adaz krte hain
"Assalam u alikun! How are you all"
" I am Asfandiyar khan, known as one of the successful businessman in Pakistan . I have done Bachelor's in business administration. I have done my MBA degree from London. After that I had my bachelors in finance degree for which I travel to Germany . I have been running my business since 6 years and got a lot of success in market. As you all know , I am also know as the youngest millionaire of Pakistan. Today, I am here to tell you how you can be a successful businessman. What strategies you should adopt to become a successful man. Ap apni life main hard work ko aik power ki tarhan use krain. If you wanna be successful, then work for it day and night . Mera taluk aik middle class ghr se he tha . Mere parents hamesha se mjhy doctor banta dekhna chahte the . Mai ne apni life k buhat saal zaya kye lekin jb qismat ko apne hathon main lene ka waqt aya to mai ne use pakar liya aur aj apne hard work aur strategies ki wja se ap k samne aik kamyab insan bn k khara hun
Mjhy ye kehne main koi sharam nhi hai k mai self made hun . Time is the only most precious treasure which you can get once in your life . Aur jb ap is waqt ko istmat krna seekh lein to ap ko apni duniya bnane se koi nhi ruke sakta. Hope you all learn how not to waste your valuable time. Thank you"
Us ki speech k bad hall taliyon se ghunj utha
Seminar khatam ho jata hai
Asfandiyar ki speech khatam hone k baad Yashfeen common room main ja kr apna hijab thek krti hai aur phir wahan se jana ka faisla krti hai jb k seminar hall main abhi lectures gari hote hain. Asfandiyar apni speech k khatam hone k baad he stage k androni raste se bahir nikal jata hai.
Reception se guzarte hoe Yashfeen ko Asfandiyar nazar ata hai
" Rukain!! Hello!?!?
Asfandiyar sahab"
Aarish yashfeen ka bara bhai tha . Us ne KING EDWARD se apni MBBS ki degree hasil ki. Donon behn bhai hamesha se he mehanti the. Aarish ka IQ 138 tha jis ki wja se bhi wo parhne main acha tha. Us k baraks yashfeen ko zyada mehnat krni parhti thi. Aarish ne F.S.C k 2nd
" G ap mjh se mukhatib hain"
"G han , Thanks a lot . Ap ki wja se aj Seminar attend kr pai. Thanks for your cooperation "
Yashfeen ki ghari ki nozzle khol kr zameen pr gir jati hai . Ghari k dhele hone ki wja se use ehsas nhi hoa
" Your welcome!!, apni cheezon ka khayal krna seekhain"
Wo nadamat se apna sir jhuka leti hai
"Mai chlti hun"
Wo department se bahir chli jati hai
Ali bakhsh gari ki chabi le kr ayein
"G sahab"
Wo nikalne ki tyari main hota hai k achanak us ka jotta kisi cheeze se takrata hai. Ghari
*Hmm shayad ye us larki ki ho gi*
Wo us ghari ko apne coat ki jaib main rakh leta hai
.................
YOU ARE READING
لمحے
Mystery / Thriller*Tagline:* "Where secrets hide in every shadow, and past becomes a deadly game." *Story Description:* "In a world where nothing is as it seems, two unlikely allies must navigate a treacherous web of lies and conspiracy. As they race against time to...