kal tak jis chehre ko
dekhne ke liye taraste the
aaj unki shaam mein
shaamil na hone ka ghum nhi
yeh haath jiski har dafa dua
mangne ke liye uthte the
ab toh aas bhi lagana chor diya
ab dhire dhire ho gye hum kuch
yu masruf ki
apki raah dekhna chor diya
raaton mein jo nain
apke aksh bahaya krte the
ab un mein shaam hote hi
nind dastak deti hai
yeh hoonth jo har saans mein
apko pukara krte the
aaj unme aapki koi khabhar
sunai nhi deti hai
beshak apse ishq hua toh
hawa mein bahar hua krti thi
par ab jo dil se uthare toh
yeh hawa bhi suhani lagti hai.
- aushadhi