Kashaf ek aisi gutthi hai jo suljhne ke jagah aur complex hoti jati hai. Main is ladki ko bilkul nahi samajh pata hoon. Magar yeh sawal bar bar mere mann mein kyu uthta hai? Aur mujhe use samjhne ki koi tuk nhi banti phir bhi main bar bar use na samjh pane par tanz kyu karta hoon. Wo meri ek employ hai bas aur baki employees ki tarah hi mujhe uska khayal nahi ana chahiye.
Magar usme hai hi kuch alag baat ki majbur ho jata hoon uske bare mein sochne ke liye aur apni dairy mein uska zikr karne ke liye.
Bohot ajeeb hai ye ladki ya dusro se bohot alaida shayad isliye woh humesha mere khayal mein ajati hai. Bohot si ladkiyan dekhi par Kashaf ko khuda ne ek hi piece banaya hai.Kal hi baat le lo. Party usne organise ki,aur itni shandaar organise ki magar phir bhi woh todhe dair ke liye bhi nahi ruki. Meri itne israr ke bad bhi woh mana kar ke chali gayi.Koi aur hoti toh is mauke ko kisi bhi keemat mein apne haath se nahi jane deti.
"Nahi sir main aur nahi ruk sakti. Mujhe aise parties bilkul raas nahi ati. "
"Par Kashaf yeh tumne hi organise kiya hai aur iss success party ka tum ek bohot bada karan ho.Tumhari mehnat se hi toh hume ye project mila hai."
"Yeh party organise karna meri majburi thi shauk nahi. Main chalti hoon."
Pata nahi yeh berukhi uski sirf mere hi saath hua karti hai ya sabke saath. Mere mazerat karne ke bad bhi uski berukhi samjah nahi jati. Strange! Very strange infact.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...