Chapter 8
Abhimaan room (night)
Armaan novel padh raha hota hai aur abhira dressing table par bethi hui thi.
Abhira ~ itne dhyan se kya padh rahe ho khadus maan
Armaan~ kuch khas nahi boring hai yeh book
Abhira ~ acha
Abhira waha se uthti hai par wo un blance ho jati hai.
Abhira~ Ahhh
Armaan use bacha leta hai.
Armaan~ tum pagal ho
Abhira ~ Hawwww Armaan mein pagal hu ?
Armaan ~ dekha tumne khud accept kar liya ki tum pagal ho.
Abhira~ mein pagal nhi hu.
Armaan~ tum apna khyal kyu nhi rakhti ho tum chal bhi nahi pati ho girti padti rehti ho
Abhira ~ tum mera khyal bhi rakhte ho aur mujhe bacha bhi lete ho .
Armaan use khada kar deta deta hai
Armaan~ itna trust karti ho?
Abhira~ karti hu trust tum pe.
Armaan ~ Chalo so jate hai
Abhira ~ haa
Armaan bed arrange kar deta hai
Dono apne side par lait jate hai.
Armaan~ Good night
Abhira ~ Good night
Midnight 2:00 pm
Abhira uth jati hai aur balcony mein chali jati hai .
Thandi hawaie chal rahi hoti hai aur Abhira apni mumma ko yaad karti hai .
Uske Aakhon se Aasu girne lagte hai wo asman dekhti hai Chand bhot khoobsurat lagta hai.
Abhimaan room .
Armaan Abhira ke taraf karwat leta hai aur wo dekhta hai ki Abhira waha nhi hoti hai
Wo panic ho jata hai.
Armaan ~ Abhira!
Abhira andar aa jati hai uski awaz sun ke
Abhira ~ kya hua khadus maan?
Armaan ~ tum thi kaha?
Abhira ~ balcony mein
Armaan ~ itni raat gaye tum balcony mein thi
Abhira ~ haa to tum bhi chalo mere pass tumhre liye kuch hai.
Armaan ~ kya hai?
Abhira ~ Chalo to sahi dikhati hu
Abhira Armaan ko balcony mein le kr jati hai
Armaan ~ wow Abhira kitna sundar setup kiya hai tumne hum dono movie dekhenge
Abhira ~ movie ke liye hi setup kiya hai Aaj itna sab hogya ki socha ki mein apne khadus maan ko khush kar du
Chotu sa surprise de du.
Armaan ~ thank you Abhira
Abhira ~ chalo dekhte hai na
Armaan ~ Haa
Dono baith jate hai aur projecter par movie play ho jati hai.
Aur dono dekhne lagte hai.
Next day.
Downstairs
Abhira ~ Maa mein nikalti hu aj der hogyi hai bhot.
Vidya ~ thoda sa kha lo beta
Abhira ~ mein kha lungi cafeteria se breakfast
Manisha ~ beta kuch kha ke jao .
Tabhi waha Armaan aa jata hai
Vidya ~ Dekh na armaan yeh kuch kha kr nhi ja rhi hai iski tabiyat bhi theek nhi hai
Armaan abhira ko dekhta hai
Armaan ~ chalo kha lo thoda sa chalo
Abhira ~ par..
Armaan usko sandwich khilata hai.
Armaan ~ Bacchi ho bilkul
Abhira ~ tum na
Dono nashta kar lete hai
Abhimaan ~ hum nikalte hai
Wo dono nikal jate hai.
Car.
Abhira~ Armaan aaj mein tumhre office aaungi lunch time mein
Armaan ~ Aa jana baba
Abhira ~ tumne aisa kyu kaha tha ki tum mussorie chali jao occasion par mila kareinge?
Armaan ~ mazak kar raha tha .
Abhira ~ bhot khrab mazak tha wo
Armaan ~ Sorry baba
Abhira ~ it's ok
Dono pauch jate hai
Abhira ~ Bye khadus maan
Armaan ~ Bye meri drama queen
Abhira andar chali jati hai aur armaan office chala jata hai.
Office.
Armaan enter karta hai sab use good morning bolte hai.
Cabin.
Armaan abhira ki photo dekh raha hota hai jo uske desk par rakhi hui thi.
Armaan smile karta hai.
College.
Abhira ~ hii Neha
Neha ~ hii Abhira
Abhira ~ assignment submit hua?
Neha ~ Nhi Abhi nhi hua
Lunch time
Abhira armaan ko phone karti hai.
Abhira ~ hello
Armaan ~ hello
Abhira ~ Aa rahi hu mein
Armaan ~ Aa jao
Evening 7:00pm
Abhira Armaan enter karte hai haste muskurate.
Armaan ~ mere pass tumhre liye ek surprise hai
Abhira ~ sacchi
Armaan ~ muchi
Armaan Abhira ko garden mein le kr jata hai waha bhot achi decorations hoti hai
Abhira ~ bhot acha hai setup
Armaan ~ tumne kha tha na ki tumhe shayri karna acha lagta hai to socha ki tumhre liye aisa setup kar diya jaye.
Abhira ~ waise tumhe yeh idea aaya kaha se?
Armaan ~ Chorous gang ne diya.
Tabhi waha chorus aa jati hai .
Abhira ~ to sajao mehfil betho sab aur ek poetry kro
Sab baith jate hai aur mehfil sajti hai .
Precap ~ ek acha din.
__________________________
YOU ARE READING
Hum Mile Bhi Toh Bichadne Ke Liye (Discontinued)
FanfictionDo log jab milte hai to anjaan hote hai Jo apne hi duniya mein rehte hai ek apne parivaar ke liye bhot kuch dav par laga sakta hai sirf unki khushiyon ke liye kya wo kabhi apne khushiyon ke liye sochega? Aur dusri taraf wo ladki jo bhot kuch hasil...