It's you, always you.

50 1 1
                                    

She came here with another poetry where she craves for love from the loved ones she always thought for. She described her feeling in words "hinglish" where people often fails expressing their feeling and drown into them.
The hopeless romantic people who seek for love and care and defines the beauty of it in different forms.
" MY HEART IS YOUR's. IT's YOU THAT I HOLD ON TO.."

Now this time she collaborated with one of her friend name mohammed saqlain

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Now this time she collaborated with one of her friend name mohammed saqlain.he usually tends to write about the deep thoughts that he feels inside his mind which indicates about so much of love and nature aspects.
Nothing ever ends poetically. It ends and we turn into poetry. All that blood was never once beautiful. It was always red.
Turn on the light mode .
Ig- imagarwal_ (sakshi agarwal)
md__saqlain__001 (mohommed saqlain)

—————————————————————————
•The night has a thousand eyes.

Waqt guzar gaya
Log guzar gaye
Andheri rath mein
Lafz badal gaye
Vo kehte the kabhi nahi badlenge
Guzarte guzarte
Unke alfaz badal gaye.

Guzarte waqt ke saath
Dil ki duniya bhi badal jaati hai
Kuch rishte toot jaate hai
Kuch rishte ban jaate hai..
Kuch yaadein tadpati hai
Kuch Rahat bhi deti hai
Dil ki duniya me
Kuch lamhe hamehsa rehte hai...

Vo lamho mei
Tum qayanath banke rehti ho
Sochna na hoga tumne
Yu dhadakan banke rehti ho
Es duniya ki kash ma kash mei
Tum umeed banke rehti ho
Lakho hoge jo tumhe chahte hoge
Par tum sirf meri banke rehti ho.

Tum bhi kya khayal me rehti ho, mere saath rehti ho
Har lamha, har pal, har dum saath rehti ho
Mere dil ki dhadkan me, tum dhadkan banke rehti ho
Mere saanso mein, tum khushboo banke rehti ho
Mere liye umeed ki chamak banke rehti ho
Mere andheron mein, tum roshni banke rehti ho
Lakho mein ek tu, mere dil me rehti ho
Tum mere pyar ki, yaadon me rehti ho

Tum neendo mei rehti ho
Tum khawabo mei rehti ho
Fir pata nhi kyu tum ,
Haqiqat mei sath nhi deti ho.
Ankhein bandh kro tum
Ankhein kholu toh tum
Tum paana jese
Chandh ko pana hai
Aur tumhe khina jese ek tutta tara
Tumhari awaz ek madhur koyal
Jo neendh ko rahat si de
Par us rahat ka kya
Jab tum pass na ho

Tum haqiqat me nahi, khwabon mein rehti ho
Fir bhi tumse mohabbat, kabhi kam nahi hoti
Aankhein bandh kru toh, tumhe dekhta hoon
Aankhein kholu toh, tumhe yaad karta hoon
Tum chand se bhi pyaari, aur taro se bhi chamakdar ho
Tumhari awaz mein, mere dil ki dhadkan ho
Tum pyaari si koyal si, mere dil ki baat samajhti ho
Tum mere sath nahi, phir bhi mere saath hoti ho.

Tum ek subha ki tarah ho
Jo roz mujhe uthti hai
Ek kiran jese
Mere dil ko sehlati hai
Tum phulo ki khushbu ho
Aur mei titli ban tumhare pass phiru
Tum chaho toh tumhe hamesha pass rakhu ,
Aur tum naa chahu toh tumhari yaadho ko sameth ke pass rakhu.

Tum ek shaam ki tarah ho, jo roz mujhe bulati hai
Ek nazar jaise, mere dil ko bhulati hai
Tum Chand ki chandni ho, aur mei ek sitara hu
Tumhare sath rehta hoon, mere dil ki dhadkan mehsoos karta hu
Tum chaho toh tumhe hamesha sath le chalu...
Tum chaho toh tumhe hamesha sath le chalu
Aur tum naa chaho toh tumhari yaado ko dil se mehsus karlu
Tum mere liye ek anmol khwab ho
Ek khubsurat lamha, jo kabhi bhula nahi sakta.

Tum ek jharne jaisi
Mei tum mei behta hua
Tum koi kinare ka phool
Aur meii usko dekhta rehta
Tumm pehli baarish ki tarah
Aur uss baarish mei jhumta rehta
Tum ek khoobsurat sa nazm
Aur mei usse padhta rehta
Tumhe apni kitaab banke apne paas rakhta
Kabhi na khone deta
Aur agar bhi kho jau tohh
Kahi se khoj lata

Tum ek dariya ki lehar, Mei tum me doobta hua
Tum koi gehra samandar, Aur mei usme khota raha
Tum pehli nazar ki tarah, Aur uss nazar me khota hua
Tum ek khoobsurat si manzil, Aur mei use paata raha
Tumhe apni dhadkan banke, apne seene mei rakhta
Kabhi na juda hone deta, Aur agar juda ho bhi jau toh
Kahi se dhoond lata, Aur phir se milta rehta.

Tumhare yaado ka saaya,
Har pal mere saath rehta hai.
Tumhare bina yeh dil,
Har lamha tanha sa rehta hai.
Tumhari muskurahat ki goonj ,
Ab bhi kaanon mein goonjti hai.
Tunhare bina yeh duniya,
Sooni sooni si lagti hai.
Tumhari Khushboo ka ehsaas,
Ab bhi hawaon mein basa hai.
Tumhare bina yeh zindagi,
Jaise adhoori si lagti hai.
Tumhari aankhon ki chamak,
Ab bhi dil ko bhaati hai.
Tumhare bina yeh raatein,
Jaise khamosh si lagti hain.

Tumhari muskurahat me
Meri khushiyon ka jahan hai
Tumhari khamoshi mein
Meri tanhaayi ka asar hai
Tum ek patang ho
Aur mein tumhari dor
Tumhare bina, meri zindagi
Bas ek adhoora safar hai
Tumhare sath, har pal
Ek nayi kahani likhta hai
Tumhari yaadon mein
Mera dil bas ek shayar hai
Agar tum na hote
Toh yeh shayari bhi adhoori hoti
Tumhare bina, meri zindagi
Bas ek khamosh dastaan hoti.

Tum ek khoobsurat si kala ,
Jisko mei kabhi naa cho saku .
Tum rango se bhari
Aur mei berang sa
Tum aane se zindagi
Rango se bhar gai
Fir najane kyu tum
Juda hogar vapis berang kargai.
Tum ek patang aur
Mein uski dhor ko thama hua
Tumhe paakar bhi khudko khoya hua!

Tum ek thandi hawa
Aur mei bhujta hua dia
Tum ek samundar
Aur mein usme dubta hua
Tum es dopeher mein
Meri nirasha ki sabse gehri vajah ho
Tumhari es dhundhli aankhon mei
Bas dard chamakta hai
Agar hamari sahi waqt par mulaqat na hoti
Toh abhi hamari beech dooriyan na hoti.
—————————————————————————————————

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Sep 02 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

It's you, always you.जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें