qist number 01

225 3 5
                                    

"jannat! Khuda ke liye"
Drawing table ka samaan bikhar gaya. Deewar gair almari ke sheeshe jhamake se toot Gaye. Kaanch ka guldaan Jo shadeed nafrat aur inteqaam se farsh per phenka gaya tha, uske tukde yahan wahan bikhar gaye the.

"Jannat.....!jannat Aise na karo.....!jannat nahi.....!jannat mera bacha....!jannat! Khuda ke liye....."
Ek tadap....ek pukaar....ek iltijaa

Isne palkein jhapka kar dekha. Manzar ek lamhe ke liye dhundla hua tha. Shayad aankhon ki nami badi thi. Shayad roshni madham padi thi.

"Burhan....!burhan....!mujhe bacha lein"
Dil qaraash cheekh ke saath hi uski aankh ek jhatke se khuli thi. Bed crown ke saath laga apna sar uthate hue wo bad bada kar seedhi ho baithi thi. Daahina haath be saakhta maqaam qalb pe aa baitha tha.

Maqam-e-qalb....maqam-e-"alam" tha.
Maqam-e-alam.....maqam-e-"ibtila'a" tha.
Tanaffas bhari, halq khushk aur khauf ke ahni shikanje mein jakda dimaag maaouf.
Night stand ki sarkaar roshni mein, kaamdaar urusi jode ke daman per nazar padte hi wo apne khwaab ke asar se bahar aagayi. Be saakhta sar utha kar usne matohash nigahon se aitraaf mein dekha.
Safed aur siyaah rang ki theme mein khoobsurti aur nazakat se saje, ek wasii wa areez bedroom mein wo jahazi size bed per golden bridal dress mein malboos baithi thi.
Ye Ghar uska nhi tha.....ye kamra bhi uska nhi tha.
Second ke hazaarwein hisse mein Chand ghante pehle nikah aur phir rukhsati ka manzar uski aankhon ke saamne lehra Gaya. Khushk labon ko tar karte hue urusi jode ka daaman apne haathon mein sambhal kar wo bed se utar gayi.
Choodiyan khanak uthin, bindiya motehrik hui. Sone ke nafees aaweze uski surahi numa gardan per aage peeche jhul jhul gaye.
Wo insaan ho kar saakit thi. Laakhon ki jwellery bejaan hokar motehrik....

Kap kapati ungliyon se darwaza khol kar wo kuch khauf, kuch ghabrahat ke saath bahar aagayi. Master bedroom ki dayein samit, ain saamne gol zeena tha jo neeche ki taraf jata tha. Usi zeene ki ibtedaai seedhiyon per wo use baitha dikhai de gaya tha.
Jannat ki dhadkan ek lamhe ke liye jaise tham si gayi thi.
Sar gira hua, kandhe jhuke hue aur mutthiyan us sakhti se bheenchi huin jaise wo zabt ke aakhri marahal se guzar raha ho.
Daurane safar us ka mood khush gawar nhi tha, wo jaanti thi. Nikah ke waqt bhi uske tewar theek nhi the wo ye bhi jaanti thi.

" Bade Ajeeb hain ye faris Bhai". Sidra ne khaas tor per nosh Kiya tha. "Nikah ke paper per aise sign kar rahe the jaise....." Kuch kehte kehte wo yaka yak khamosh hogayi thi.
"Jaise.......?" Usne ganbhir palkon ki jhalar utha kar use dekha tha.
" Jaise......kuch nahi" labon pe muskurahat saja kar usne baat adhuri chod di thi.
Aur wo adhuri baat jaise abh mukammal hone ko thi......
Khud per taari us jamood ko todte hue wo ek jhatke se uthkar uski taraf muda tha. Iski teekhi gehri aankhon mein ghaiz wa gazab ka badta hua ta'asur jannat bint-e-kamaal ki reedh ki haddi mein sansanahat daudha gaya.

" Tumne abhi tak change nhi Kiya?" Bhari gambhir awaaz, pathreela sakht lehja.
Lehenge ka fall sambhale jannat ki makhrooti ungliyon ki giraft itni mazboot hui ke moti aur nageene hatheliyon mein chubne lage.

"Ye ek kaagzi rishta hai jannat kamaal....!ye sirf kaagaz tak mehdood rahe ga". Ek ek lafz nafrat se adaa karte hue uske aur apne maabain Chand kadmon ke faasle ko isne ek hi lamhe mein paat liya tha.
"Kaagzi rishta....!" Wo phati phati aankhon se use dekh kar reh gayi thi.
"Mummy ko ek bahu chahiye thi.....sirf ek bahu...!" Baazu se pakad kar qaase chaarhana andaaz mein use raaste se hataya Gaya. " Yahan sirf bahu ban kar raho, biwi ban kar mere sir per musallat hone ki koshish bhule se bhi mat karna! Warna bohot bura karunga mein..."
Aankhon mein sakhti se dekhte hue usne ungli utha kar dhamki di, phir usi Sarat se wo kamre mein chala gaya tha.

Sadme se mauf hote dimaag ke saath jannat ne mud kar use beyakini se dekha tha.
Wo jo bohot izzat aur Maan se use rukhsat karke apne ghar laya tha, wo abh kuch nafrat aur hiqarat se bed per bikhri gulaab ki pattiyon ko hata raha tha. Phool beelon ko noch khot kar phenk Raha tha. Taaza gulaab ka bouquet toh usne farsh per de maare the.
Wo mushtail tha. Uska bas nhi chal raha tha, wo kamre ki ek ek cheez tehes nehes kar de. Aag laga de. Sab tabah kar de.

Jannat ki shehed aankhon mein armaano Ka khoon rach Gaya. Kap kapati labon per sakoot teher Gaya. Wo sara paye hazn bani aankhon mein hairat, sadma aur beyakini liye use dekh kar reh gayi thi.

Maghribi deewar per Victorian tarz ka ek Aina istetaat tha. Jo uska aks khud mein samaaye poshida Haqeeqat ko uske chehre per le aaya tha. Haqeeqat....sachai ka roop dhaare ek baddua thi jo iske peeche peeche yahan tak chali aayi thi. Yahan tak.....
Ghar chodne se, sheher badalne se, naye rishte banane se iska naseeb nhi badla tha.
Nafrat aur dhutkaar abh bhi iska muqaddar Rahi thi. Laanat, phatkaar abh bhi iska naseeb tehri thi.
"Get lost....!" Daant pees kar, mutthiyan bheench kar usne hukm diya tha. Magar wo patthar hui khadi thi.
Zara sa irtiaash bhi uske wajood mein paida nhi hua tha.
"I said.....get lost....dammit...!" Abh ki baat wo halaq ke bal dhaada tha.
Bhaari kaamdaar libaas ka phaila hua ghera do dehai hatheliyon mein sambhale wo beiqtiyaar peeche hat gayi thi. Darwaza ain uske muh per band hua tha. Khataak ki awaaz ke saath maqfil bhi hua.
Ek ek kar ke khushgumaani ke tamaam diye bhuj gaye. Ek ek kar ke saari ummedein khaak ho gayin.

"Hamesha acha sochna!....sab acha hoga".
Usne acha socha tha,magar acha na hua tha.
"Har "usri" ke saath "yusra" hai".
Aur uske aage, peeche, dayein, bayein, upar neeche....har taraf use hi usr tha.
Mushkil hi mushkil.....aazmaish hi aazmaish....mehroomi hi mehroomi....saza hi saza...
Wo ulte kadam peeche hoti gayi yahan tak ki deewar se ja lagi. Rahadaari ke sire per seedhiyan thin aur dusre sire per chota sa lounge.....jiski deewargeer khidkiyon se pura lounge nazar aa raha tha.

"Tumne maheen ke saath jo kiya hai jannat.....khuda tumhe uski wo saza dega Jo tum saari umar yaad rakhogi.". Siskiyan seene mein machal gayin. Aansun palkon per Lazar gaye.
"Saari zindagi tumne ammi ko dukh diye hain. Saari umar tum unke liye azaab bani Rahi ho". Seene mein dard utha. Tanaffus bhari hone laga. Nigah band darwaze per theher gayi.
"Aisi betiyon ko paida hote hi mat jana chahiye". Lafz nashtar the, rooh ghayal hui thi.
Bamushkil kadam uthate usne lounge ka rukh Kiya tha. Puri taarikon ke munawwar
Chand ke saamne wo benoor crystal faanus ke neeche sofe per baith gayi. Abh wo ek ek karke pins nikaal rahi thi. Shor abh bhi tha, awaazein abh bhi gunj rahi thin.
Wo sar se dupatta utaar kar apne hair style ke baal kholne lagi. Hair spray se baal akde hue the. Bamushkil seedhe ho paye. Usne phir kaankn ke awaaze utaare. Gale ko necklace ki giraft se azaad kiya. Bindiya utaar kar mez per rakhi.
"Inhein mat utaaro jannat! Abhi jee bhar kar dekhne do mujhe"
Halaq ki ubhri guilty ko bamushkil neeche utaarte usne lab bheench kar qayalaat ko jhatakna chaha. Ufkaar ko bhatkaana chaha....Magar nakaam Rahi. Aaj ki raat kuch bhi uske zehen se  maho hone wala nhi tha. Reh reh kar ek ek pal, ek ek lamha, ek ek saat yaad aa rahi thi use....

"Khuda tumhe iski wo saza dega Jo tum saari umar yaad rakhogi".
"Saza....!" Palkon ki deewaron mein shigaaf daalte Chand aansun uske gaalon per ludak gaye.
"Ye bhi burhan ka ehsaan hai ki usne tum per case nhi kiya warna socho, wo kya nhi kar sakta tha".
Haan tum socho....!
Abh tum socho....!
Aaj tum socho....!
Kamre ki har ek shae awaaz ban gayi. Qalbo jaan ko azaar kar gayi.

"Baddua....!baddua...." Khidkiyon se sard hawayein sar sara kar guzri thin.
"Saza.....jaza....!" Lawn mein austere aur arctotis ke beshumaar phoolon se hoti hui sada berooni deewaron ke us paar, sadak per jhuke amaltas ki darakhton per theher gayi thi.
Halaq mein ubharti guilty ko bamushkil neeche utaare jannat ne ghutnon per sar rakh diya.
Aaj ki raat ek mushkil raat thi uske liye.... Aur uske liye bhi jo band kamre mein apna sir thame Khamosh baitha tha.

____________________________________________
Thank you for reading. If there are any spelling mistakes, please correct me. I'll make the necessary changes.

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 11 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Usri Yusra ( husna hussain)Where stories live. Discover now