Between Classes and Hearts

21 3 0
                                    


Sapne insaan ko kuch accha aur behtar karne ke liye prerit karte hain, lekin sapno ko haqeeqat banane ke liye sirf kadi mehnat hi nahi, balki acchi kismat ki bhi zaroorat hoti hai, kyunki sahi se chalne ke liye dono pairon ka mazboot hona zaroori hai. Yahi soch hamare kahani ke nayak, Sanket ki hai. Sanket 11th ka student hai. Padhai mein accha hote hue bhi usse kayi kathinaayi ka samna karna padta hai, kyunki uski aarthik sthiti bahut mazboot nahi hai.Sanket kushwaha, ek yesa ladka ko chamkte sitare ki tarah hai - jiske aas pass hote huye usse ignore karna muskil hai, pr eo show off nahi karta. Iski height 5'6 hai, gora rang, sunhare kale baal, nashli aur mysterious bhuri aanhke. Wo school topper hai, shrif padhai me hi nhi eo har cheez me behtareen hai, cheezo ko bhut gahrayi se aur apni umar ke logo se alag dekhta hai.
Sanket multi talented hai aur itna hi. Uske dosto ke parents apne baccho ko Sanket ki tarah banne ki salah dete hai. iski maturity uske umar se kahi jayda hai, uske apno ko us proud hai kyuko wo har riste ko bhut ache se aur nibhata hai aur unme apna best deta hai. Wese to wo hamesha normal rahta hai par asal me wo apne ander sapno aur jimmedariyo ka bhoj lekar chal raha, wo kismat se hara hua hai par phir bhi haar Marne ki nhi sochta. Wo jaha bhi jata, jisse bhi milta log uske diwane ho jate hai. Iski hashi bhut jyda infectious hai par wo hasta bhut kam hai. Sanket ke liye sapne hi sab kuch hai, wo life kuch bada aur behtareen karna chahta hai. Wo jab bhi bolta hai to sunne wale chahte hai ki bas wo bolta rahe Sanket aaj me to jeeta hai par hamesha apne aane wale kal ke liye aaj mehnat karta hai.
Har subah vo apne pita ke sth kaam ghar ke Garden me unki madad karta tha, phir school jaata tha, aur jab shaam ko ghar lautta, to thakaan se choor hokar.Sanket ko football khelna bahut pasand tha, lekin uske pita bahut sakht the. Isliye jab bhi uske pita ghar par nahi hote, Sanket apni maa ko koi naya bahaana banakar use football khelne ke liye jaane ki ijaazat le leta aur bina kisi chinta ke, poori befikri se khelta-na padhai ki fikr, na ghar ke kaamon ki chinta. Lekin jab khelkar der se ghar lautta, to use daant padti. Uske pita kehte, "Agar agli baar tumhara pradarshan behtar nahi hua, aur tum acche ank laakar paas nahi hue, to koi kaam sikh ke kamana suru kr dena.

Sanket ek honhaar chhatr tha. Jo bhi saadhan uske paas the, vo unka poora upyog karta hai aur aksar apne dosto se behtar pradarshan karta tha. Vo apne shikshakon ka bhi pasandeeda chhatr hai. Jab zyada tar bachche apni maaon ya dadiyon se raat ko sone se pehle kahaniyan sunte hain, Sanket aksar apne parents ki baatein sunte hue so jata tha-kaise ghar ka khayal rakha jaye aur kaise uske liye ek behtar future banaya jaye.

Har raat, sanket apne sapno mein kuch aisa khojta tha jo usko inspire kare aur aage badhne ke liye himmat de. Uski duniya school aur tution se shuru hoti thi aur uske dekhe gaye khwabo pr khtm ho jati,
Ghar lautne par, sanket ko dant sunne ka silsila chalta rehta tha. Uski kismat me kuch alag tha, kuch aisa jo use sapno tak pahuncha sakta tha.
Sanket padhne me to thik tha isliye shirf padhne me hi dhyn deta, baki kisi cheez me uska dhyn nhi jata, yun to school me popular ladka tha pr uske jyda dost nhi the aur girlfriend ke bare me to usse sapne me bhi khyl nhi àata aur wese bhi uske papa ne kah rakha tha agr acche marks nhi aaye to usse bhi kaam pr lga diya jaega isliye wo in sb se dur hi rhta tha.
Aaj jb wo apni class room me ja rha tha to samne se ladkiyon ka group aate dekhta hai pr uski aanhke us group me samil ek chere pr jati hai jisne chasma pahan rakha hai, baalo ka ban banaya hai, chehre ki mausamiya aur hashi Sanket ko yesi lag rhi thi jaise koi phool khil rha ho. Lunch hone hi wala hota hai tabhi alert ring bajti hai aur students ko ground me bheja jane lgta hai, darasal school ke 3rd floor me kisi short circuit ki wjhse aag lag gyi thi, sare baccho ko ground me bheja jane lga. Jb sare bacche niche aa gye pr Kartik aur uske dost jisse dhund rhe the wo kahi dikh nhi rha tha. Kartik jo sanket ka best friend hai, yun to dono ekdusre se bilkul alg hai Kartik jo flow ne jeene wala aur Sanket plan kr hi kuch krta pr unki dosti pure school me famous hai qki ek brilliant student hai to dusra school k gundo ka boss hai.
Akhshay jb idhar udhar sanket ko dhund kr preshan hone lgta hai aur nhj milta to wo 3rd floor pr jane ki sochta hai pr tabhi thodi der baad sidhiyon see dhuye ke beech se aate huye ek ladka dikha jisne ek bag kandhe pr tang rakha tha aur hath me ek aur bag le rakha tha. wo sidhe usse bag ko reception pr jama kr ke jldi se group me intezar kr rhe apne dosto ke pass jata hai usse aate dekh jin ladkiyon ko aaj usne subha corridor me dekha tha usme se ek chidhte huye kahti hai' ye toppers ko itna attention kyu chahiye hota' ye sun kr baki ladkiyan uski baato pr haste lgti hai.
Jb Sanket apne dosto se milta hai to unke dosto ke jaan me jaan aayi, Akshay usse puchta hai ki kha rah gye the, Sanket usse batata hai ki jb wo apne class se aa rha tha tabhi usne dekha ki uske bagal me jo class hai usme ek hi bag tha aur wo aag ki lapat me aane wala tha ki sanket ne wakt ki najakat ko samjhte huye khud ki parwah na krte huye dhooye aur aag ki lapat ke beech se hote huye kisi trh us bag ko jalne se bachaya.
Idhar jis student ka bag hota hai wo bhut preshan hai, wo khud ko kosh raha ki uski wjhse uska bag jal gya, usse kuch samjh nhi aa rha, ab wo sare subjet ki copies kaise complete kare, ghar pe kaise bataye, exams aane wala hai to uski preparation kaise kare, sawalo ka tufan uske ander sunami la rhe the.
Uski aanhko se bas aashu bah rahe itna ki uska sar dard krne laga hai.
Agle din jb assembly khadi hoti hai to principal sir speech dete hai aur announced krte hai' tanvi shirnet come on the stage ' tanvi ke liye ye ekdam unexpected tha aur usse samjh nhi aata ki usse stage pr kyu bulaya ja rha pr jb wo jati hai to usse uski aanhko pr yekeen nhi hota kyuki usne apna bag dekha, thodi der bad usse uska bag principal sir dete hai, wo apna bag dekh kr hairan ho jati hai, usse samjh nhi aata uska bag aakhir jalne se bach kaise gya, usse us wakt kuch bhi samjh nhi aa rha hota hai. Wo apna bag lekar apne class ki row me khadi ho jati hai phir principal sir apni speech ko aage badhte huye Sanket kushwaha ka Naam lete hai aur batate hai ki 'jb wo class se aa rha tha tabhi usne bagal ke class me ek bag dekha aur us bag ko janle se bachaya. uski is Bahaduri ke liye sabasi dete huye aur sth me school ki trf se 26th Jan ko bravery medal dene ka bhi announcement krte hain'. Prayer k bad tanvi ko principal office bula kr usse uska bag de diya gya. Tanvi ne apne bag ko kash ke pakda aur books aur notebooks k bhaar ko mehsus krne lagi jaise ki wo bag uske liye sb kuch hai mano jaise tej tufan me kisi farishte ne kisi parinde ka ghoshla ujadne se bacha diya ho.
Wo explain nhi kr skti hai uske bag ko jalne se bachane wale insan ne uski kitni badi madad ki hai, usse yesa lg rha tha ki koi to tha jisne uski help ki uske smallest aur biggest me. Tanvi jiski height 5'4 hai, sunahare rang, samundar jaisi nili aanhke, ghunghrate baal, wo bhut suljhi aur samjhdar ladki hai, usse khud ko hamesha limelight me rhna pasand nhi hai, wo jyda tar school k library me kitbao wali duniya me hi apna wakt bitati hai. Uski dosto ne bataya ki kl jo ladka sbse last me 3rd floor se aaya aur jiska un sb ne joke banaya tha ussi ne uska bag jalne se bachaya hai jiska Nam Sanket hai jo hamare hi class ke section A ka student hai. Tanvi ko bhut bura lgta hai jo bhi uske dosto ne kiya tha kl. Wo sanket ko dhundne uske class me jati hai pr aaj Sanket school nhi aaya hai.
uske dosto se puchne pr pta chala ki kl aag aur dhuye ki wjhse se suffocation ho gya hai aur uska dress bhi kahi kahi jal gya hai. jb 2 din bad Sanket school aata hai to tanvi usse milti hai, usse thank you kahti hai batati hai ki Sanket ko nhi pata ki usne uski kitni badi help ki hai, wo usse batati hai ki wo kitna preshan ho gyi thi, usse khaya bhi nhi ja rha ye soch kr ki uska bag jal gya, din raat mehnat kr ke jo notes banaye the wo jal gye, ab wo phir se sare notes kaise banaegi.
Sanket usse bechain dekhte huye bade aaram se kahta hai " sant ho jao and its okay, meri jagah koi aur hota to wo bhi yehi krta jo maine kiya' aur ab acha socho, stress mt lo.
tanvi ko Sanket ki ye sadgi, saralta aur humbleness bhut acha lga, Sanket ke chehre ka bhaw yesa tha ki mano kisi andheri jagah me koi tuta hua sitara achanak se gujra ho, jiski roshni tanvi ke dil k hr kone ko ujale se bhar diya ho.
ab jb kabhi dono milte to ekdusre ko dekh kr smile pass krte aur kabhi ekdusre ko 'Hey, hello' bhi bolte, dono ekdusre se baat krne k bahane dhundte, jb kabhi Sanket nhi dikhta to tanvi Sanket ke class se hokar dhire dhire jati aur yehi haal sanket ka bhi hai, chuki wo school topper tha uske dost Tanvi ke class me bhi the isliye wo unse baat krne k bahane jaya krta. Tanvi ke class me Sanket ke dost sochte ki jo ladka bulane pr bhi unke class me nhi aata hai wo bina bulaye aata hai aur kayi baar aata hai. sometimes jb dono ek sth corridor me mil jate to ekdusre se bade payar se baate krte. Dono Jitna jyda wakt ekdusre ke sth bita rhe the utna ekdusre ko Jan pa rhe the, tanvi ko Sanket acha lagne lga tha, wo yesa ladka tha ki jisse hr ladki pasand kr le.
wakt ke sth pata nhi chala kb dono ache dost bn gye ya phir sbse acche dost, dono ek hi class 11th me hi the Pr dono ka alg alg section tha. Wo ekdusre ke dil me to the Pr ekdusre ke class me nhi the.
ek din jb class 11th A aur 11th B Kuch ladkiyon aur ladko me duster ko lekar ladyi ho jati hai, monitor hone k nate sanket ko beech me aana padta hai aur mamle ko garam dekh kr usse light krne k liye khta hai ''school me aur bhi bhut sari kimti cheeze hai uske liye lado" phir tanvi ki trf dekh kr bolta hai "Aur ha miss, na to ye school koi jang ka maidan hai aur na hi aap rani lakshmi bayi to bhetar hoga ki jis liye school aate hai wahi kare aur ussi pr dhyn de." Itna kah ke wo waha ikktha dono class ke ladko ko class me bhejne lga.
sanket ki baat ko sun kar tanvi ko lga ki Sanket ne uska mazak udaya hai.
Agle din tanvi aur uske dost school k ground me pedo k niche baith kr lunch kr rhe hote hai tabhi ek ladka unke samne aa kr khada ho jata hai, Tanvi aur uske dost dar jate hai ki ab aur kuch bura na ho jaye tbhi wo ladka bolta hai ' I'm sorry tanvi' agr tumhe bura lga ho jo maine kal bas yun hi bola diya tha, tumhe hurt krne ka mera koi intention nhi tha. Darasal ye ladka koi aur nhi Sanket hota hai aur uske muh se ye sun kr tanvi hairan aur ander hi ander bhut khus hoti hai pr usne jahir na krte huye kha ' koi baat nhi' Sanket usse ' thank you' kah ke jane lga.
Sanket ko jata dekh Uski classmate shrishti usse tiffin share krne ko kahti hai, Sanket ko waha der tk rukna sahi nhi lgta hai isliye wo 'phir kabhi' kah kar chala jata hai. Uske jane par us girls group me ussi k bare me hi baat hone lagi kyuki mansi shrishti se kahti hai ki ''ye tumhare hi class me padhta hai na, shrishti"
lunch box se sandwich nikal kr khate huye khti huye 'ha'
mansi puchti hai 'padhai aur top krne k alwa kuch aur v krta hai ?' shrishti ne kha "ye ekdam sahi ladka hai, agr ye na ho to hamare class me roj jang ho, mere class ke ladko ko na baat krne ka dhang hai aur na kisi ii ijjat krne ki, shirf apne me hi galiya dete, bunk marte aur ulti sidhi harkrate krte, agr ye class me na rhe to ladkiyon ka rhna muskil ho jaega, kyuki sare k sare ladke battmizi hi krte hai"
Shrishti Sanket ki bhut tarife ke pool bandhna jari hi rakhti hai aur ye sab sun kr tanvi man hi man khti sochti hai' koi to hai yeha jo ladkiyon ki respect krta hai, unke aajad hone se dar nhi lgta aur na hi unhe shirf ghar me khane banane k najar se nhi dekhta pr usne mujhe kal sbke samne ajeeb tarike se wo sb kyu kha.
Lunch time khtm hone ke bell ring k sth shrishti ke tarife ka pool tut'ta hai aur tanvi jis khayalo ki naav me dubi thi wo ab uper aa gyi, sab apne apne class me chale jate hai.
Kuch dino baad jb Sanke apni fee pay krne account office ja rha tha to us wakt to achank se usse tanvi dikhi pr wo usse najarandaj kr k jane lga. 'Sanket' tanvi ne usse aawaj di, Sanket uski trf dekhta hai aur ruk jata, ekdusre se baat krne pr pata chla dono account department hi ja rha fee jama krne, jb dono sth ja rhe hote hai to tanvi corridor k bahar dekhte huye flirtatious tarike se khti hai ki "aaj suraj bhut chamk rha hai"
Sanket bade masumiyat k sth kahta hai "Ha, Uski sunflower itni khubsurat ho to uska chamkna to banta hai"
tanvi itna sunte hi muskurate huye dhimi aawaj me khti hai "uske suraj ne to kabhi usse yr baat kaha hi nhi." Phir tanvi usse khti hai "sabke samne yun school ground me Sanket ko sorry bolne ki koi need nhi thi"
Sanket ne bhut pyar se kaha "Galti sabke samne huyi thi to mafi bhi sabke samne hi manga chahiye'', uski is baat se tanvi bhut khus huyi aur sth me hairan bhi kyuki apni galti manne k liye bhut himmat chahiye hoti hai, wo man hi man sochti hai 'Ufff ye ladka kya hi cheez hai yrr.'
us din ki mulakat k baad dono apne class me to chale gye pr dono ka ekdusre se kuch na kuch rah gya.
Ab dono comfortably ekdusre se baat krne ka bahana dhundhna lage, bina kaam ke ekdusre se sth rhne lage, class k bad doubts discuss krne lage, chupe chuke dono ekdusre ko dekhte rhte aur pakde jane pr apne najre pher lete ekdusre ko bahane dete ki wo kuch aur dekh rhe the.
syd dhire dhire dono ko ekdusre me apna koi hissa nazar aane lga hai. anjane me sahi pr dhire dhire dono ekdusre k bhut karib ho gye. Kahte hai pyar ke phool ki khilne ki suruaat tabhi ho jati hai jb chahat ka paudha lagaya gya tha, dono ke beech bhi yesa hi tha lekin dono ekdusre se payr to krte hai is baat se anjan the.
School 10 bje subah se suru hota hai par dono 9 bje hi ab school kisi tarah aa jate taki dono ekdusre ko dekh sake. Kabhi Sanket der se aata to tanvi uske aane ka intezaar krti aur jb kabhi tanvi der se aati to sanket intezar krta uske aane ka, uske Tanvi apne class ke samne corridor me khadi hokar ground me dekhti aur udhar sanket ground me jakar walk krte krte usse dekhta. Kabhi kabhi to Sanket is moment ke liye subah ka breakfast bhi skip kar deta hai taki usse late na ho jaye school pahuchne me.
Dono ekdusre ko yese dekhte rhte, baate bol kr nhi ho pati pr bina bole bhi dono ekdusre se khub baate krte ekdusre ki aanhko se. Ekdusre ko dekhte huye unki aanhko me ek alag hi chamk hoti, yun to Sanket ke hisse bhut sari preshaniya hai pr us moment usse kuch yaad nhi rhta, wo sb kuch bhul jata, jb bhi wo tanvi ke karib hota to us wakt is duniya usse jyda khus koi aur insan nhi hota, yese dekhne ka silsila dono ke beech me yese chalta rha, phir ek din Sanket ne tanvi se himmat kr ke kahta " tumhe pata hai ye 'Maniram colony' kha hai ? mujhe aaj waha jana hai pr rudrapur ke bad waha jane ka rasta nhi pata''
Tanvi thoda hesitate feel krti hai phir Sanket ki chehre ki mausamiyat dekhte huye khti hai " thik hai main tumhe waha aa rasta dikha dungi, chutti ke bad mere sth chalna, main dikha dungi.
School ki chutti hoti hai Sanket aur tanvi dono apni apni cycle pr se chlne lgte hai, raste bhar Tanvi usse bhut sari baate batati, Sanket usse dekhta rhta rhta aur uski baato par muskurata rhta. Sanket ko tanvi ka chehra ugate huye suraj ki tarah lag raha tha jb wo baate krte huye muskura rahi thi,usse baate krte dekha aur wo bhi itne karib se dekhna to Sanket ke liye chand ko karaib se dekhne jaisa tha. Thodi der me dono rudrapur city me pahuchte to Sanket playful way me khta hai "itni der se cycle chala rhi aap aur sth me muh bhi to thak gayi hongi, isliye ma'am kahi ruk kar kuch kha le"
Tanvi usse gusse ghur ke dekhne lagti hai.
Sanket usse phir chedte huye khta hai " lgta hai sherni bhuki hai, jldi kuch khilana padega wrna mujhe kha jaegi"
Tanvi chehre pr bina kisi bhaw ke khti hai "tumhe rasta dekhna hai ya nhi ?"
Sanket dhire se bolta hai "manzil milne se phle Mehboob ke sth thoda wakt gujarna koi buri baat to nhi"
Tanvi ne uski tarf dekh kr kha " kuch kha tumne"
" nahi kuch nhi, chalo momos khate hai mujhe bhut jyada pasand hai"
Dono ne moms khaya tabhi pass me dikh rhe cake shop se Sanket ne jladi se tanvi aur khud ke liye 2 plate cake lekar aata hai.
Ye sb dekh k tanvi khti hai "kya kr ho Sanket, late ho rha" Sanket khta chalo jaldi se kha lo phir chalte hai"
Tanvi ne Sanket ka ye version kabhi nhi dekha tha kyuki Sanket sabke samne bhut formal rhta hai, hasta v kam hai aur sarcasm to dur ki bat hai. Ye sb dekh kr usse Sanket ke liye bhut pyar aa rha pr wo khud ko control kr rhi.
Dono ab chalne lgte hai, thodi der me Maniram colony aati hai.
Tanvi khti hai " yehi Maniram colony hai aur wo jo waha white aur pink color ka jo ghar dikh rha wo mera ghar hai."
Sanket bhut jyda khus hota, uske ander hi ander diwali man rhi thi pr usne khud ko normal dikhte huye kha "thank you"
Tanvi uski aanhko me dekhte huye khti hai "colony dikhne k liye ya ghar?."
Sanket muskurate huye khta hai " jo aap samjh le"
"Acha thik hai main chalti hu, tum bhi time se ghar chale jana, bye" tanvi ye kah kr jane lagi
Sanket ne usse bye kha aur tanvi ko jate huye dekhne lga, uska jee chah rha tha ki wo bas thodi der aur rok le, usse thodi aur baate kar le, usse thoda karib se dekh le. Wo tanvi ko tb tk dekhta raha jab tak wo ghar ke ander chali nhj jati. Ab wo apne ghar jane lgta hai
Aaj school se aane k bad Sanket tution nhi gya kyuki usse aane me der ho gyi thi aur barish bhi bhut jyada ho rhi hai uper se November ka mahina par mausam khusnuma hai isliye usne aaj kitabon ko aaram aur phir se apne cycle ko thoda preshan krne ka irada banata hai. Wo barish me hi ghar se bahar ghumne nikal jata aur bahar sadko par chalti gadiya, Tej hawaye, un hawaon me jhumte nachte ped aur un pedo pr baithe parindo ki aawaz, kaale badal, barish me mitti ki khusboo aur achank bijali ke kadakne ki aawaz usse behad bhut romanchit kar rhi hai, mausam itna khubsurat hai ki mano kaynat ne aaj dharti ko dulhan bana ke ka irada kiya hai.
Sham hone wali thi tab jake Sanket ke sar se Mausam ki mohobbat ka bukhar halka hua aur wo ab sidhe ghar jane lga. Ghar aa kar bina sham me khana khaye hi sone jane se phle mummy se khta hai "aaj bahar dosto ke sth kayi sari cheeze kha liya hai to usse sone k bad khane ke liye jagaye nhi."
jab agli subah utha to usse school barish me bheeg ke jana Pada kyunki barish abhi bhi ruki nhi thi aur uske papa ne usse school jane ko kha hai.
Jb school pahucha to dekhta hai corridor me baccho ki bheed kam hoti hai, dusre classes me bhi school bag kam dikhte hai jb wo apni class me jata hai to waha wahi najara hota, uski class me bhut kam bachhe aaye hai, Sanket apna bag side me rakh ke apna bench saaf karne lga tabhi piche se ek aawaj aati hai "kuch bhi ho jaye bhagwan bs toppers prajatiyo se dur rakhna'' Sanket piche mood k dekhta hai to mansi hoti hai jisne ye baat Sararti tarike ye kha.
Sanket usse mazakiye andaj me khta hai ''tumhara class marin drive bana hua hai kya jo aaj mere class me darshan ho rhe aapke."
Mansi muh banate huye khti hai "dube sir ne class combine krne ka order diya hai kyuki bacche kam aaye hai"
Sanket uski baato par has padta hai aur khta hai 'jao kisi desk pr baith jao'
Mansi Sanket ke aage wali seat par baithte huye khti hai "aaj tanvi nhi aane wali hai barish ki wjhse."
Itna sunte hi sanket mansi ka bag uthata hai aur dusre row ke bench par rakhte huye khta hai ''mere samne wali desk par baithogi to baate aur pareshan dono krogi.''
Mansi usse khti hai ''main yehi baithungi, tumhe preshani hai to dusre row me chale jao."
Sanket uska chehra dekhte huye kha ''ye mera classroom hai, aur main yehi baithta hu, mere aage wali bench sant log baith'te hai na ki siner ki tarah bar bar bajne wale log aur tum baith kr shrif preshan hi krogi."
Itna sunte hi mansi usse Marne ke liye daudti hai par tabhi dono ne notice kiya ki darwaje ke samne koi khada hai.
Wo tanvi hoti hai jo in dono beech chal rhe yudh ko dekh kr has rhi thi. Sanket aur mansi aksar bhai bhen ki trh ladte rahte hai, pure school me mansi hi hai jo sanket ko kuch bhi bolti rahti hai, irritate karti hai, bewajh distrub karti hai ya usse ladti rahti hai par wo sanket ki bhut respect bhi krti hai lekin show nahi karti kyuki dono ke beech ka love language hi ladayi hai."
Tanvi dono ke pass aati hai aur Sanket ki taraf dekhte huye ''good morning'' kahti hai.
Abhi Sanket kuch bol pata ki tabhi mansi beech me bol padti hai ''behan main bhi hu yeha, ek najar mujhe bhi dekh lo.''
Mansi ki is baat par Sanket aur tanvi has padte hai.
Tabhi sanket mansi ka bag dusre bench se lakar apne bench ke samne wali bench pr rakhte huye khta hai "dono yehi baith jao kyuki fan bilkul uper hi hai to garmi nhi hogi"( uper chatt pr lage fan ki trf dekhte huye kha)
Itna sunte mansi ekdam gusse se laal hokar fatne hi wali hoti hai ki Tanvi ne wakt ki najakat ko samjha aur Sanket se khti hai ' dube sir se jake ke mil lo, jb main aa rhi thi to unhone mujhe tumhe unke pass bhejne ko kha tha''
Sanket "abhi"
Tanvi khti hai "jao bhi ab"
Sanket samjh jata hai tanvi usse jane ko kyu kah rhi aur wo haste huye chala jata hai.
Sanket jb chala jata hai to mansi tanvi se khti hai " behan tune bacha liya aaj usse wrna tu bidhwa ho jati aaj'
Tanvi khti hai " wo mera bas dost hai aur tum ye kya kah rhhi aur main nhi chahti thi ki tum dono ekdusre se lado isliye maine usse jhooth bol kr bahar bheja hai."
Mansi itna sunte hi chidd jati hai aur khti hai "wah, tum dono ka hi sahi hai , hr taraf se apne fyde ke hisab se mujhe dhol ki tarah baja rho tum dono''
Tabhi bell ring hoti hai aur bache class me aane lgte hai.
Thodi der bad prayer hota hai phir dono class ki attendance sth me suru hoti hai, section A ke attendance ke bad dube sir ab section B attendance lena suru krte hai. Tabhi sanket ke dimag me ek idea aata hai aur Jaise hi roll no. 10 aata hai tabhi sanket apni chemistry ki book janbhuj kr niche girate huye dhire se ' Unquadtrium' khta hai aur udhar tanvi 'yes sir' khti hai. Tanvi ko ek dhakka lgta hai mano jaise nind se uthi ho, uske chehra gulabi ho chuka tha jisse chupane ke liye wo desk pr pade notebook me dekhne lgti hai. Wo sochne lgti hai kya usne wahi suna hai jo sanket ne kha hai ya phir wo sahi se sun nhi payi. Ya phir jo usne kha hai wo usne mujhse kha hai ya phir kisi aur se, ya bs yun hi kha ?
Tanvi bench pe baithte huye Mansi se dhimi aawaj me puchi 'Sanket ne abhi kya kha hai'
Mansi piche mud ke sanket ko dekhne ke bad tanvi se kha "kuch to nhi, wo kuch padh rha hai."
Jb 1st period khtm hone k bad tanvi se khti hai ki wo Sanket se pucho ki usne attendance ke time kya kaha tha. mansi tanvi se kahti hai" chodo na jo bhi usne kha ho usse hume kya hi fark padta, wese bhi to wo dost hai tumhara. "
Tanvi ke jore dene pr wo piche mudati hai aur Sanket se badi badi aanhke krte huye puchti hai ''tumne tanvi ke attendance ke time yesa kya kha tha jisse janne ke liye wo preshan hai'
Sanket bilkul innocencncy ke sth khta hai' tumne kuch suna ?? ''
"Suna hota to puchti kyu tumse, thoda to logic lagao" mansi ne kha
Sanket chemistry ki book dikhate huye khta hai "Unquadtrium ka
atomic no. yaad kr rha tha.''

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 15 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Sunflower's SunsetWhere stories live. Discover now