Zaroon 18 January

403 17 0
                                    

Itna ajeeb mujhe shayad aaj pehli baar mehsus hua hai. Saari nazrein mujhe par tiki thi. Saari nazrein kuch na kuch sawal karti rahi aur main akela is kashmakash mein baitha raha.
Salam ka jawab dete dete toh kam az kam adha ghanta beeth gaya hoga aur. Woh khila toh aise rahe the jaise main janmo se bukha ho. Kashaf ki family itni badi hai mujhe toh andaza hi nahi tha. Main sab se mil liya tha Kashaf ko chor ke.
Main itni kashmakash mein isliye bhi tha kyu ki meri Kashaf se uske baad aur baat nahi hui thi. Usne mera phone jo nahi uthaya tha. Bohot afat hai yeh ladki. Mujhe sawalon ka kya jawab dena tha is lehaze se kuch nahi malum tha. Dekha jaye toh mujhe kisi bhi lehaze se kuch nahi malum tha. Bas itna pata tha ki main Kashaf se mohabbat karta hoon. Bohot ajeeb lagi yeh baat mujhe par ab todhe dino tak toh yeh karna hi hai.
Main baitha tha jab Kashaf ko bhi kamre mein bulvaya gaya.
"Assalam walekum."
Usne dhimi awaz mein kaha.
"Walekum Assalam."
Maine bhi dabi awaz mein kaha.
Abhi tak toh sab theek tha phir shuru hua mera rapid fire round.
"Ghar pe kaun kaun hai? Kitne bhai bahen ho? Kitna kama lete ho? Kashaf ke boss ho? ..."
Aise ek pe ek sawal ate gaye jinka main jawab nahi de pa raha tha kyun ki koi bhi sawal karne ke bad mujhe bolne ka mauka hi nahi deta tha. Meri mushkil hal karte huye Kashaf ke abba ne kaha
"Main Zaroon se akele mein baat karna chahta hoon."
Yeh sunte hi mano mera dam atak gaya ho. Main kya kehta unse? Mujhe kuch malum nahi tha. Maine Kashaf ko ishara kiya magar usne koi jawab nahi diya. Par shayad mere chehre se utarta rang dekhte huye abba ne Kashaf ko rok liya aur maine thandi saas li.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now