KASHAF 19 JANUARY

469 15 0
                                    

Zaroon ke chale jane ke baad kisi ne mujhse koi baat nahi ki is hawale se. Magar aaj subah daftar jane se pehle ammi mere kamre mein ayi thi.

"Kashaf mujhe tumse kuch baat karni hai."

"Kahen."

"Dekho tumhare abba ko aur hume bhi Zaroon acha laga hai. Magar hum usse ek baar aur milna chahte hai. Tumhare abba aur meri jo anniversary ki party rakhi hai hum chahte hai Zaroon usme aye aur ho sake toh apne kisi ghar wale ko bhi saath laye uske ammi abba ke bare mein toh hum jaan te hai par zahir hai koi toh hoga uske ghar mein. Tum use itelah kar dena."

Main bas ammi ki odh dekhti rahi. Mera Zaroon ko tang karne ka zara bhi jee nahi chah raha tha. Yakeenan use kal raat yeh sab bilkul acha nahi laga aur mujhe pata nahi tha ki ab woh phir meri madat karega ya nahi.

"Ammi kal toh aaplog usse mile the aur ab roz roz main use hazri dene toh nahi bula sakti. Kya sochega woh."

"Isme sochne wali kya baat hai. Hum aise hi toh tumhara haath use nahi de denge na. Ki bhai ek baar mile aur haan kar diye. Pehli mulakat mein sab ache lagte hai.Agar tum khud use nahi bulaogi toh majburan mujhe khud call karna hoga."

"Main usse baat kar lungi."

Yeh kehte hi main kamre se nikal gayi. Mujhe nahin pata main yeh sahi kar rahi hoon ya nahi. kya main abba ko isse aur dukh pohchaungi mujhe nahi pata. Par main Sahir se shaadi nahi kar sakti aur agar Zaroon ki baat jhuti nikli toh yakeenan woh ek din bhi intezar nahi karenge mere haath peele karne mein. Khuda ab tu hi meri madad kar, yeh sochte sochte main daftar pohnchi. Zaroon kuch busy tha isliye main usse milne nahi jaa paa rahi thi. Maine kayi baar koshish ki,magar woh busy tha. Mujhe darr tha ki woh shayad mujhe avoid kar raha tha aur woh meri madad nahi karna chahta tha. Magar usne mujhe phir khud apne cabin main bulvaya.

"Assalam walekum sir."

"walekum assalam baithe Kashaf."

Usne bina meri taraf dekhte huye kaha.

"Sir ek aur darkhast hai."

"Kab ana hai mujhe tumhare ghar."

Usne apna kaam karte huye kaha.

"Apko kaise pata ki main apko ghar bulwane ayi hoon."

"Kashaf zahir si baat hai koi bhi maa baap ek mulakat mein apni beti ka future nahi decide kar sakte. Kab aur kitne baje ana hai yeh bata dena aur please tum mujhe apne plan ke bare mein bhi kuch bata diya karo. Taki main apna muh khol sakun."

"Ji sir. Actually parso ammi abba ki anniversary hai aur woh chahte hai ki aap kisi gahr wale ko bhi saath le ayein."

"Kashaf mere ghar mein mere siwa koi nahi hai. Ammi him thi meri ek akeli rishtedar magar unke jaane ke baad ab mera koi nahi hai. Haan mere ek dost hai jo bilkul mere bhai ki tarah hai. Woh shayad aa jaye mere saath apni biwi ke saath."

"Jaisa ap sahi samjhe."



Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now