Aaj main office jaldi pohnch gaya tha kisi kam se aur jab masrufiat khatam huyi toh main baith kar apne glass door se bahar dekh raha tha tabhi Kashaf ko maine ander ate huye dekha. Kuch kashmakash mein thi. Kya yeh ladki hamesha isi tarah rehti hai? Hamesha ka toh nahi pata par zyada tar maine iske chehre par yehi kashmakash dekhi hai. Idhar udhar dekhti huyi age badh rahi thi. Pagal hai bilkul. Yeh sochte huye maine usse apne kamre me bulwaya. Jab woh cabin mein ayi toh kuch dabi awaaz mein mujhse baat kar rahi thi aaj.Strange! Woh kuch samjha rahi thi mujhe magar main usse dekhta raha. Maine kabhi notice nahi kiya tha use aise. Kashaf wakai bohot sundar hai especially uski ankhein aur gaur karne wali baat yeh hai ki usne koi fizul make up nahi lagaya hua tha. Kuch toh baat hai Kashaf mein pata nahi kya jo shayad mujhe uske taraf sach much attract kar raha hai. Kya maine sach much yeh kaha? Haan shayad. Attraction kahun ise ya kya pata nahi par shayad main use pasand karne laga hoon. Usne confusion mein mujhe dekha
"Aap meri baat sun bhi rahe hai."
"Sach kahun?"
"Ji."
"Mujhe kuch samajh nahi aya Kashaf."
"Toh ap yeh baat pehle nahi keh sakte the. Main apni baat khatam karne par hoon aur ap ab kehte hai ki apko kuch samjh nahi aya. Hadh karte ho Zaroon."
Aaj usne mujhe sir ke jagah Zaroon kaha. Bohot ajib laga sun ke shayad isliye kyu ki mujhe iski adat nahi hai. Par sach kahun toh acha laga.
Main uske muh se apne naam ko sunkar muskurane laga.
"Mera matlab hai apko.mujhe pehle kehna chahiye tha sir."
"Maaf kar dein please aur ek kaam karte hai todhe break ke baad mil lete hai."
"Jaisi apki marzi."
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...