ZAROON 30 JANUARY CONTINUED

473 21 3
                                    

  " Mujhe maaf kar do please"
"Yehi ek rasta hai."
"Osama Bhai tu Asmara ko sambhal aur iske dimag ka moina zarur kara lena jald se jald kyu ki yeh pagal ho chuki hai."
Maine uthte huye kaha.
"Chup chap chair pe baith jao Zaroon isse pehle ki main sach me tumhe apna pagalpan dikhaun."
"Bhai jo tum keh rahi ho wo hargiz nahi ho sakta "
"Kyu nahi ho sakta. Pata hai wo kitni khush hogi agar wo tumhe apni khidki par dekhegi?"
"Haan itni khush hogi ki mujhe wo wahi se neche dhakel degi."
"Ji nahi uska dimag kharab nahi hai aur baharhal ladkiyon ko aise chizon ki tavakku hoti hai ladkon se. "
"Wah bhai matlab sari ajib o garib harkatein tum chahti ho hum karein aur uske baad hume hi pagal kehti ho."
"Topic ko ab change na karo. Tum pohncho uske ghar aur mujhe pohnchte hi khabar dena."
"Main yeh nahi karunga."
"Tumhe karna hoga ."
"Hargiz nahi."
"Tumhe..tumhe..tumhe Kashaf ki kasam."
"Yeh sahi nahi hai."
"Maine kaha jao."
"Theek magar agar meri pitai huyi kasam se Asmara main tumhe nahi chorunga."
"Iske baad tum mujhe humesha bless karoge i know."
Main Asmara ki baat sun kar bahar to nikal gaya flowers aur chocolates bhi le liye par kasam se himmat abhi bhi nahi ban pa rahi thi magar phir main age badha aur badi koshish ke bad main uske khidki tak pohncha. Maine halke se awaaz lagai.
"Kashaf"
Kareeban teen bar par koi jawab nahi aya.kamre ka parda ghira tha to maine use hataya to maine kashaf ko kamre me akela paya maine is bar zor se awaaz lagai
"Kashaf."
Wo kuch chauki aur khidki aur dekhte huye usne lagbhag ek thandi aah bhari aur gusse se meri odh badhi.
"Tum? Yaha kya kar rahe ho."

Uske awaaz sun kar mera mann mujhse bhagne ko keh raha tha. Yakeenan agar main dusri manzil par na hota to main bhag jata magar yaha se bhagna maut ko dawat dena tha. Khair dono taraf hi maut thi magar phir bhi maine hosla kiya.
"Dekho Kashaf mujhe tumse kuch baat karni hai."
"Mera nahi khayal. Tum yaha kyu aye ho mujhe nahi pata magar tum wapas chale jao."
"Kashaf meri ek baar baat to sun lo."
"Tum ja sakte ho Zaroon."
Yeh kehte huye usne parde ko phir se laga diya. Par main is bar ruka nahi "Dekho Kashaf I am really sorry and i mean it. Maine to bas apne dil ki baat ki thi. Main sach much tum se mohabat karne laga hoon. Magar iska hargiz yeh matlab nahi ki main kabhi bhi tumhare is situation ka galat faida uthaunga. Main kabhi bhi tumse zabardasti shadi nahi karna chahta Kashaf. In fact Kashaf main tumse mohabbat to karne laga hoon magar main khud ko tumse ya kisi se bhi shadi karne ke liye manzur nahi kara paya hoon aur shayad main kar bhi nahi sakunga ya yeh
kahun mujhe yeh na insaafi kisi ke saath karni bhi nahi chahiye. Aur maine tumse wo baat bina kuch soche hi kahi thi. Kashaf main tumse return me kuch nahi mang raha bas humari shayad agar main use dosti keh sakun to use wapas la do please. Meri zindagi me bas chand log hi bache hai ab tum,osama aur Asmara. Tum teeno ko main nahi kho skta. Main ammi se bohot mohabbat karta tha magar maine unhe kho dia. Maiin yeh dohrana nahi cha..ea..ss..e."
Yeh kehte kehte meri ankhein kuch bhar si ayi aur main chup hogaya. Mujhe yakeen tha Kashaf nahi mane gi iskye main utarne ki tayarri karne laga magar usne parde ko wapas khol dia aur mere hath ko halke se pakad lia .
"Tumne mujhe call kyu nahi kiya?"
Main ek lamhe ki liye sahem gaya.
"Tum meri call receive karti?"
"Zarur karti.main manti hoon forhi taur par mujhe gussa bohot aya tha magar sach kahun toh in chand dino me mujhe ek chiz ka ehsas ho chuka hai ki shayad main tumhare begair nahi reh sakti."
Main khule ankh se use dekhta raha aur ansu uske ankhon se neche girte gaye. Unhe pohchte huye usne kaha
"Kuch kahoge nahi?"
"I love you."
"Janti hoon."
"Tum nahi kahogi?"
"Hmm..sochungi."
"Kya matlab? Filhal mujhe nind a rahi hai."
"Not fair Kashaf."
"Good night."
Yeh keh kar usne is har khidki hi band kar di aur main thode dair shock me reh kar waha se utar gaya. Mujhe aaj yeh toh malum hogaya ki Kashaf bhi mujhse mohabbat karti hai. 


Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now