16 February Kashaf

433 16 0
                                    

Aaj akhir wo din a gaya. Ye sab itni jaldi mein hoga Maine kabhi nahi socha tha magar yeh ho chuka hai. Abhi main Zaroon ke  kamre mein baith kar uska intezar kar rahi hoon Ata hi hoga woh aur shayad neeche Sidra,Asmara aur Osama use tang kar rahe honge. Khair aj main Zaroon se pure dus din bad akele me Milne wali hoon kehne ko toh  chand hi din huye hai magar main janti hoon kis  kadar Maine yeh din guzare hai. Itne din se main itni musruf thi ki diary likhne ka waqt hi nahi mila. Aur aaj jab mujhe baithe uska intezar karna chahiye tha toh main baith kar diary likh rahi hoon. Mujhe abba ke reaction ke bare mein soch kar hasi aa rahi hai jab Zaroon ghar rishta le kar dusre hi din agaya tha.
"Bhai tumlogon ko 1 din pehle tak to yeh shaadi hargiz manzur nahi thi aur aaj tum khud age se  rishta lekar aye ho. Badhiya hai. Khair mujhe to na  tab inkar tha aur na ab aur  nahi Kashaf ki ammi ko koi inkar hai main phir bhi Kashaf se ek bar baat karna chahta hoon."
"Ji zarur."
Mujhe Zaroon ko Abba ke samne dekh kar itni hasi ati hai  ki uski koi hadh na ho. Bilkul bheegi bili ko tarah wo sar jhukaye baitha rehta hai. Lagta hai Zaroon agaya main ab rakhti hoon. Good night diary and a happy married life to us.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now