€€€€€€€€€€€€€€€€€
Characters. ¥
Zoya.main girl. ¥
Shariz. Tahreen. ¥
Anaam. Fusilath. ¥
Hadid Nisa . ¥
Best Friends. ¥
Saffat . zila. ¥
Afraima. ¥
classmates. ¥
Taufeeq main guy. ¥
Tashliq friend. ¥
$$$$$$$$$$$$$$$$$$Zoya kya huwa aj kya tension lekar baiti ho exams ka hamesha tho top hoti ho aj kya hai?
Shariz aaj accounts hai aur uska problem bahut tough hai kya karu samaj mein nahi aa raha hai
Mujey toh todi athi hai phir bhi kya karu pass toh ho jayegi inshallah
Aj subah exam se pehley Taufeeq uske
Dosto k sata veranda se dekh raha tha
Aur tashleeq mere paas aa kar kaha kya huva Zoya Teri madath chahiye thi Mujey kya tum Mujey madath karogi.,? Kya? Kehkey dheemi awaz sai poocha hum nai tashleeq nai kaha.badh mein exam k badh ok hum ney kaha right.
Aj toh accounts exam+1 ka yeh toh thesra paper hai kya karu exam hall ka bell mara aur hum exam hall k undhar gaye aur ithifaq sai Taufeeq bhi mere kuch agey tha question papers diya sabko hum sub ney likhna shuru kiya aur achanak sai usney Hume bulaya dheemi awaz sai kuch help kar do na Zoya humey toh kuch atha nai apna ek sheet humey deydo.humey beezar hokar humney ek sheet pass karliya
Par pass toh kar Liya lekin inspector na aye yahi Dar tha achanak sai kya huwa malum inspection k liye aye inspectors kya karu Darr Darr k haal bey haal ho raha tha achanak sey us key agey k ladkey ko pakad Liya hum itna dare lekin dua kartey
rahe k usko na pakdey
Exams achey sai gaya humara
Aur jab Mey apney Dosto sai baath
kar rahi thi ek pokar ayi aur
wo awaz thi Tashleeq ki
Kya huwa Zoya exams teek tha na?
Ha accha tha alhumdulillah
tha jawab humara
Aur usney kaha k mein tumsey
ek ladki ki baath karna chahta
hu aur woh tumari dost hai Nisa
mein used chahta hu......................
Usi waqt uska dost Taufeeq bhi tha
Usney kaha par mein jisey chahta hu
Wo tum hoo Zoya..........
Yeh sun kar heyran ho gayi
Bezuban ho gaye hum us ney samaj kar kaha humko ki humey maaf karna
Humney jo kaha ussey tumey taqleef hogayi toh maaf karna humey yeh kehkar kamoshi sey chaldiye. Kya karu kuch patha nahi peet mein choohey daud rahey tey Dar k marey phir
mein jab aagey gayi phir
usney hamara rasta rookha
aur khaha ki Mujey madath
karney k liye shukriya aur hum shukruguzar hai app
k ki app nai humey
madath kar diya aur kaha
ki soch naa ek bar humari
vishay par aur chaldiya
apni Dosto k saath aur jatey
jatey phir mod k dekha humey
hum tub gate k pas rokhey
aapni dost ka intezar kar rahey tey....... Tub phir a kar bye khehkey chala gaya.
Dost banna chahta tha dheere
dheere ashiq par humey dost tak hi
Qafi tha humey woh pasand nahi tha
Phir meri dost Anaam nai Mujey samjaya ki eyse math karo agar
Eyse karogi toh sab tumey nafrat karengai eyse bataya jab usney toh mein pareshan ho kar gum sum sai rehney lagi apney ap chup chap sai
Rehne lagi aur woh jab Taufeeq miley
Aya toh hum udar sai chaley gaye
Taki use humari nafrat na dikey
Phir humara last year tab usney
Humari birthday tak dosro sai
Pata laga kar ek taufa baaja wo
Itna khubsoorath tha ki fekney ka Mann na kara Mujey lekin woh taufa
Humney naa kola ya humney na
Liya lekin uski koobsoorathi tareefai aftab thi isliye lekar ghar aney k liye
Majboor ho gaye hum. Phir wo chala gaya aur hum bhi ghar k liye chal padey aur din guzar gaye humara
+2 ka exam shuru ho gaya aur as pas
Nazar kiya toh Taufeeq na dika magar
Tashleeq humarey paas Aya aur kaha
Taufeeq chala gaya app ki waja se
Wo aap ko bey intiha mohabbath karta ta magar jab usey kisi aur sey
Pata chala ki aap nafrat karte ho ussey toh usey bardash naa hokar woh
Chal basa beezar hokar wo abb wapas
Kabi na ayega usney maafi maga hai
App se agar aap ko uski Kahi batey taqleef huvi toh aur tashleeq chala gaya aur hum bhi chal basey phir wapas Kabi ussey mulaqat naa huvi....." na hum miley ussey
Na wo mila humsey
Bus hai toh sirf yadien
Wo bhi mit jayegi
Par naa milegai hum ya
Woh lamhey joh
Beeth gayi hai
Aur naa milegi wo din
is liye mere dost jeena
Har din khushiyo sai
Bar deeyna har din ko
Phook ki Kushbu sai
Mehka deeyna Kahi
Ye din naa pisal jaye
Aap k hath sai "