1.Ek dil mere dil ko jalan de gaya,
Zindagi Ko mout ka kafan de gaya,
Karodon me se ek phool chuna tha maine,
Kaanto se jyada chubhan de gaya....
2.Haste hai sitare ki gagan badla hai,
samajhte hai panchi ki chaman badla hai.
magar samshan ki khamoshi to ye kahti hai,
ki laash to vahi hai bas kafan badla hai...
3.phulon ki tareef sab gaur karte hain,
badi mushkil se log kanton pe gaur karte hain,
Mali to sirf naam ke hote hain,
phulon ki hifazat to kante hi karte hain.
4.Rakh haosala buland ye,
Manjar bhi *kabhi* Ayega,
Pyase ke pas chalke,
samandar bhi *kabhi* ayega....
5.Dard banke dilme chupa kaun Hai,
Reh rehkar isme chubta kaun Hai,
1 taraf dil H or 1 taraf aaina,
Dekhna H is bar pehle tutta kaun Hai...........
6.Jis ghari teri yadon ka sama hota hai,
Phir hme aram kahan hota hai,
Hosla mujh me nhi tujhko bhula dene ka,
Kam sadiyon ka lamhon me kaha hota He..........
7.naam naa lo us mohabbat ka,
mohabbat to hum bhi kar chuke hain,
log kehte hain mohabbat zindagi hai,
par hum to kab k mar chuke hain
8.log kahte hai ki isqe itna mat karo ki husn sar pe sawar ho jaye,
hum kahte hai ki isqe itna karo ke pathar dil ko bhi tumse pyar ho jaye.........
9.Koe mila hi nahi jis ko wafa dete.
Har ik ne dokha diya kis kis ko saza dete.
Ye humara zarf tha k khamosh rahe
Dastan sunate to mehfil ko rula dete.
10.1 Lamha 1 Manzr Guzar Jata Hai,
Jab Apna Koi Begana Nazar Ata Hai,
Yu To Awaz Aati Hai Har Sheeshe Ke Tutne Ki,
Par Kabhi Bin Awaz Ke *BHI* Bohot Kuch Toot Jata Hai......
11.Kyu Me Karu Yakeen Tujh Par Kyu Me Karu Aitbaar Tera
Gar Meri He To Aaja Phir Ya Chod De Khyaal Mohabbat Ka
Ab To Milegi Mohabbat Hume Ya Rukh Hoga Mehkhane Ka
Ya Tera Saath Hoga Zindagi Me Ya Sahar Hoga Teri Yaado Ka
12.HAM YAD RAHE TO THEEK WARNA BHULA DENA,
HUYI HO KOI KHATA TO SAJA DENA,
WAISE TO HUM HAI KORE KAGAZ KI TARAH,
LIKHA JAYE TO THEEK WARNA JALA DENA...
13.KYA HU MAI AUR KYA SAMAJTE HAI MUZE ZAMANEWALE
SAB RAZ NAHI HOTE BATANEWALE
KABHI AAKAR DEKHNA TANHAIYON ME HAMARI