Zaroon 24 February

391 15 3
                                    

Aaj jab main utha toh Kashaf chai ka cup liye room me aa rahi thi. Aamtor par to woh is waqt tak tayyar rehti hai office ke liye magar aaj wo ghar ke hi kapdo me thi
"Aaj kya uthne me dair hogayi? "
Maine usko apni odh khechte huye kaha.
"Nahi toh"
Usne ek confused look diya mujhe aur mere pas aa kar baith gayi.
"Toh kya aaj office jane ka irada nahi hai. "
"Mat kehne ki tum bhool gaye ki aaj hume mere ghar jana hai. "
"Are haan zehan se nikal gaya tha. "
"Yehi tavakku rehti hai mujhe tumse khair Main soch rahi thi hum saath ghar chalte toh acha hota. "
"Haan acha toh hota par meri chutti nahi hai yaar. Infact aaj bohot hi important meeting hai.Main chahta tha tum bhi raho usme par koi baat nahi.Haan par wo meeting toh kareeban 3 baje tak khatam hojayegi. To main jaldi aa sakta hoon. "
"3 baje tak. Tab toh main bhi chalti hoon. "
"nahi kashaf sahiba aap ghar par hi rahein aaj. Main nahi chahta befizul thakan ho tumhe."
"Par ye toh roz ki baat hua karti hai."
"Hua karti thi par ab nahi. Main hoon hi us meeting me, sari details de dunga tumhe. "
"Jaise tum sahi samjho. "
"Wah tum itni farmabaddar kab se hogayi. "
"Ye farmabaddari to nahi hai. Bas yehi sahi laga mujhe. Chalo ab tum tayyar ho jao main tumhara breakfast tayyar karti hoon. "

Meeting kaafi achi hui aur jaldi bhi khatam hogayi against odds. Maine socha ki ghar jaldi chala jaun.
"Assalam walekum. "
"walekum assalam. Itni jaldi agaye."
"Kyu koi aitraaz? Kehti ho to wapas chala jaun"
"Mujhe kya aitraaz hona hai. Ye toh khushi ki baat hui mere liye. "
"Acha.. toh khushi kyu nahi dikh rahi tumhare chehre pe. "
"Har chiz zahir ki jaye zaruri nahi. "
"Magar kuch cheezein zahir karni chahiye. "
"Haan taki logon ka dimag saathwe asman pe raha kare. "
Usne mere hatho se bag lete huye kaha.
"Khair saathwe asman pe toh nahi magar kuch mukamal hone wali khushi zarur hogi. "
maine uske haath ko pakadte huye kaha. Is baar usne haath nahi churaya aur apne sar ko mere seene pe rakhte huye kaha.
"Main kabhi nahi sochti thi Zaroon ki mujhe tumhare jaisa koi jeevan saathi milega Jo meri itni kadar karega.I love you"
"I love you too. "
Maine uske mathe ko chumte huye kaha.
Wo kuch dair waise hi khadi thi. Aise mauke mere zindagi mein bohot kam hi aye hai jab Kashaf apni feelings ka izhar kar rahi ho, to maine socha iska todha faida uthaya jaye
"waise Kashaf mujhe yakeen nahi ho raha ki yeh sab tum mujhse keh rahi ho. "
"Toh tum kya chahte ho koi aur tumse ye saari baatein kare. "
"Main yeh toh nahi kaha. "
"To shayad matlab yehi tha. "
Usne hasi dabte huye kaha.
"Kashaf tum bohot smart hogayi ho. Shayad mera asar hai. "
"Khushfamiyan na palo. "
"Le ab main khush faimi bhi nahi pal sakta. "
"Nahi nahi kyu nahi. Par aise betuke khushfamiyan to na palo."
Maine uske haath ko dobara pakda aur use apni odh kheech lia.
"Zaroon mujhe choro tayyar hona hai mujhe. "
"Wo toh tum bad me bhi ho sakti ho. "
"Hume dair hojayegi. "
"Hone do."
"Choro mujhe. "
"ek baat par chorunga. "
"Kis baat pe? "
"Agar tum meri koi bhi matlab koi bhi baat nahi talogi aaj. "
"Ye toh hone se raha. "
"To main bhi chorne se raha. "
"Acha acha theek hai. "
Uske yeh kehte hi maine use chor dia.
Wo usi waqt age chali gayi aur mudte huye kaha
"Oho Zaroon tum bhi na bade hi bewakoof ho.Maine kaha tha na ki koi bhi betuke khushfaimiyan na palo. "
Ye ladki kabhi nahi manegi yeh main janta hoon. Par phir bhi usse tang karne ka maza hi kuch aur hai. Ab dekhein abba ke ghar kya hota hai. Jaise gaariyon me seat belt safety k liye hoti hai, bike ke liye helmet kaash Kashaf ke ghar jaane ke liye bhi koi aisi safety hoti kyun ki ye log meri jaan itni asaani se nahi chorenge.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now