part 2 (raman's pov)

3.4K 92 8
                                    

If there is an internal battle going on the couch then one other soul on bed is equally restless .

Raman's pov:

Jiski jannat uske saamne ho woh khuda se aur kya chaah sakta hain

Aaj iss kamre ki khushi samaaye nhi sambhal rahi hain

Yeh diwaarein inme alag hi noor chamak raha hain

Wardrobe chilla chilla ke kehraha hain - "Ki usne mujhe chua".

Mano hum sab ko jalaa raha hain

Yeh hawayein jaan boojhkar tej chal rhi hain taaki usse baar baar choone ka bahana bana sakein

Aur yeh

Meri sautan





Mr. Couch😈😈😈😈😈😈

Chain se so rahein hain meri jagah lekar

Usse mujhpar sona chahiye tha lekin mujhse itni naraaz hain ki couch par jaakar so gayi madraasan.......

Mr. Bed kuch karna padega iss couch ka kya kehte ho bada itra raha hain

Sochlo agar tum aur hum miljaayein toh

Bed: jaao jaao tum kya couch se kam ho
Tum kaunsa usse mujhpar sone doge

Tum toh itne bhookhe ho, pyaase ho ki usse ek minute bhi  mujhe choone toh door ki baat pata nhi dekhne bhi doge yaa nahi.......

Tumhaare sapnon mein nhi ghus sakta main lekin jo tum har subah neend mein bad badaate ho naa

Uska andaja hain mujhe tumhaari tadap ka isliye mujhe mat behlaao.........

Main apna khud kuch intejaam karloonga

Room: tumhe jo karna hain karo lekin agar ishita mujhe dubara chod kar gayi toh dekhna tum

Aur haan raman mujhe bilkul pasand nhi hain yun shagun ka mere kareeb ana usse samjha do main usme interested nahin hoon

I m married and very much in love with her and hamare bacche bhi hain aur baaki ki taiyaari hain ......

Raman: abbe saale woh meri hain..... aur main uska pati aur uska pyaar hu samjha aur bacche mere hain aur hone wale bhi mere hi bacche hain
.......

Room: toh main kiska hoon

Main bhi toh tumharaa hoon

Wardrobe,couch and bed in union hum bhii...........

Raman after wakeup from his thoughts: bas maine faisla karliya hain meri aur madraasan ki suhaagraat  iss kamre mein toh nhi karunga waise pehle bhi kaunsi yahaan manayi thi but in sab ki neeyat inke khyaal meri jhansi ki rani ko leke theek nhi hain.....

Ishra SS: Himmatजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें