Meri jaann ho tum

2.7K 138 137
                                    

Wo jaanta tha ke Ilman kabhi usay wo pyar nahi de sakti jo wo us se chahta hai ..par wo ye baat bhi jaanta tha ke wo haar maan'nay waalon main se  nahien.

Jis shiddat se wo Ilman ko chahta hai , agar Ilman ko thora bhi andaza ho jaaye to wo dar jaaye gi , haan is hud tak wo usay chahta hai.

aur is waqt jub sub ek doosray ke saath is function ko enjoy kar rahay thay , wo ek konay main akelay bethi apnay hi khayalon main ghuum thi.

Aur uskay chehray par pheli udaasi Aun ke dil ko takleef de rahi thi. Wo usay khush dekhna chahta hai , usay apna banana chahta hai, par Ilman apnay maazi ki wajah se aisa honay nahi de rahi.

Bina kuch sochay wo us ki taraf barha aur uskay saamnay khara ho gaya.Ilman ne sar utha ke herangi se usay dekha, us ki ankho'n main wo jhijhak jo humaisha Aun ko dekh kar aa jaati hai , is baar bhi Aun ki mohabbat main izafa karti ja rahi thi.

" mujhay tum se kuchh baat karni hai......akelay main" Aun ne apnay dharaktay dil ko aitdaal pe laanay ke baad halki awaaz ' par mazboot lehjay main kaha.

" main jaanti hoon...tum mujh se kya baat karna chahtay ho .. Par mera jawab ab bhi na hai.." Ilman ne kuchh is andaaz se kaha ke Aun ko apnay dil kay tootnay ki awaaz mehsoos huwi. Par wo ab bhi haar nahi maan sakta. Aaj bhi nahi , kabhi bhi nahi.

" main waiting room main tumhara intzaar kar raha hoon, ...agar tum paanchh minute main nahi aayi to main khud tumhain haath se pakar kar le jaaoon ga." Aun ne Ilman ki ankhon main Ankhain daal kar kaha to Ilman ne apni Ankhain bhainch lien aur sar jhuka liya.

Aun ka usay is tarhan dekhna Ilman ko humaisha la chaar bana deta tha , uski ankho'n se saaf dikhaayi detay jazbay Humaisha Ilman ko uska apna aap bhula detay thay.

Wo Aun ko achhi tarhaan jaanti hai, agar is waqt wo Ilman se baat karna chahta hai , to wo us say bhaag nahi sakti , wo kisi na kisi tarhan , apni Zid manwa leta hai. Siwaye ek ke .... Jo Ilman chah kar bhi poori nahi kar sak rahi.

Wo aahista se wahan se uthi aur bojhal qadmo'n ke saath corner main banay bride ke liye banay waiting Room main daakhil ho gayi. Dulhan aur dulhay ke stage pe honay ki wajah se sub logon ka dhiyaan unki taraf tha. Is liye kisi ka bhi dhiyaan inki taraf nahien gaya.

Ilman Darwaza khol ke daakhil huwi to , Aun saamnay hi khara tha. Aur Ilman ko dekhtay hi uskay khoobroo chahray par ek khoobsurat muskurahat aa gayi thi.

Usay Aun se yun akelay milna theek nahi lag raha tha, par wo us par Yaqeen bhi bohat karti thi.

Aun ne usay saamnay sofa par bethnay ko kaha , aur wo chhotay qadm'n ke saath wahan sofa par beth gayi.

Ilman ke bethnay ke baad Aun darwazay ki taraf barha to Ilman ki saansain thum gayien.... Aun darawaza kyun bund kar raha hai,

Par Ilman ki soch ke bar'aks Aun ne Darwaza poora khol diya , aur uski taraf mur gaya.

" mujhay yaqeen tha ke tum Zaroor ao gi " Aun ne muskuratay huway kaha.

" Aun kya baat karni hai tumhain...?" Ilman ne waqt zaaya kiye bagair seedhi baat karni chahi.

Ilman ke ye kehnay par Aun ne Aankhain bund kar lien aur ek lambi saans li. kuchh seconds ke baad jub Aun ne Ankhain kholi to wo sanjeedgi se bhari thien.

" main tum se shaadi karna chahta hoon..."

" Aun tum jaantay ho , main abhi tayaar nahi hoon" Ilman ne Aun ki baat mukammal honay se pehlay hi usay maayoos karna chaha.

" ye baat tum teen saal se keh rahi ho , ilman ... Tum kyun kar rahi ho ye sub!...,kyun hum dono ko takleef de rahi ho.!..main jaanta hoon tum bhi mujh se pyar karti ho ... Phir kyun us shakhs ke dhokay ki wajah se apnay aap ko barbaad karna chahti ho " Aun ko Ilman par gussa bhi aa raha tha aur pyar bhi, wo us shakhs ki wajah se un dono ko har roz dard de rahi hai.

Meri jaan ho tum.  #oneshot #completed ✔️Where stories live. Discover now