Kashaf 1 March

292 12 2
                                    

Aaj subah Zaroon kuch zyada hi ache mood me tha. Karaan toh main ache se janti hoon jaise woh khud kehta hai

"Sunday mera favorite day hai. Kyu ki Main araam se ghar par reh sakta hoon apni biwi ke saath jiska saath mere liye sabse eham hai. Main toh pura hafta khud ko yeh tassali dekar  guzar deta hoon ki yeh ek din toh hai jab main pura waqt tumhare pas honga."

Main uthne hi wali thi ki usne apne haatho ko kas liya aur soyi huyi awaaz me kaha

"Aaj toh yahi raho yaar. Roz roz itni jaldi uthne ki kya zaroorat hai. "

"Aur roz roz itne dair tak sone ki bhi koi zaroorat mujhe mehsus nahi hoti. "

"Meri zaroorat toh mehsus hoti hai na? "
Usne ek ankh ko khol ke mujhe apne aur pas khichte huye kaha.

"Please Zaroon mujhe jaane do. "
Maine khud ko churane ki koshish karte huye kaha.

"Hargiz nahi. "
Usne  Zor se kaha.

"Yeh ek subah ka hi waqt toh hota hai jab main khud ke saath waqt bitati hoon. "
Usne ghoorkar mujhe dekha.

"Kya? "
Maine usse pucha.

"Kashaf tumhe kya main itna na pasand hoon jo tumhe mujhse chutkara chahye?  "
Usne uthte huye pucha apne eyebrows ko charhate huye.

"Mera woh matlab nahi tha Zaroon. "

"Toh kya matlab tha?"

"Mera matlab tha ki bas isi samay toh main khud ke kuch kaam kar pati hoon. Reading ya phir aur koi kaam. "
Maine explain karte huye kaha.

"Kashaf toh tumhara matlab hai ki main tumhe chain se jeene nahi deta? "
Usne mera hath pakarte huye kaha.

"Haan bilkul. "
Maine uthte huye kaha.

Usne mujhe zor se bed par kheecha aur kaha
"Acha toh jab main tumhe itna hi tang karta hoon toh ab kaise chor doon? Aaj toh tum jargiz yaha se nahi ja rahi. "

Usne mujhe zor se pakar liya aur ab maine bhi protest nahi kiya. Kyu ki sach toh yehi hai ki uske kareeb hone par ek ajeeb sa ehsas hota hai. Woh ehsas jise main kabhi apne se door nahi karna chahti.

Dopahar me jab hum baith kar tv par aa rahi ek movie dekh rahe the toh us intehai boring movie se chutkara pane ke liye maine usse pucha
"Yeh movie tumne pehle dekhi huyi hai? "

"Ji haan.. Kayi baar.. In fact first day first show dekhi thi. "

"Umm.. Movies ke hawale se kafi kharab taste hai tumhara. "

"Kharab taste? Blockbuster movie hai yeh. Aur aam tor par toh ladkiyon ko badi achi lagti hai aisi romantic movies. "

"Auron ko lagti hogi par mujhe nahi. Itne cheesy lines mujhse bardasht nahi hote. "

"Yeh cheesy lines nahi hai. Jab ek ladka apni mehbooba se romantic baatein karta hai toh use cheesy lines nahi kehte. "

"Khair ab toh mujhe lag raha hai ki tum apne aise lines ko justify karne ke liye yeh keh rahe ho. "

"Bohot zaalim ho tum Kashaf. "

"Janti hoon. "

"Acha chalo is movie ke khatam hone ke baad tum mujhe ek achi se chai pilana aur phir hum shopping par chalenge. "

"Shopping par kyu? "
Yeh ladka aur iski phizul karch ki adat.

"Aam tor par woh tumhari line honi chahye thi.. Tumhe shopping par janne ki zid karni chahye thi aur mujhe apne card ke paise bachane ki koshish karni thi magar yaha toh ulti ganga hi behti hai. Bohot unromantic ho tum."

usne complain karte huye kaha.

"Haan kyu ki mere share ka romance bhi Allah tala ne tumhare hisse me dhal diya hai. "

Maine haste huye kaha.

"Acha ab chalo yeh movie khatam hi hone wali hai phir hum chalenge aur dinner bhi bahir kar lenge."

"Nahi Zaroon. Shopping ki hume zaroorat nahi hai. Abhi toh shaadi par itna kuch tumhe bhi aur mujh bhi mila hai. Aur kitne sari cheezein toh hume abhi tak pahenne ka mauka hi nahi mila. Aur yeh har teesre din bahar dinner ki kya tuk banti hai? Aise paise urana hum afford nahi kar sakte. Money saved is money earned. Aur agar saare paise humne aise hi kharch kar diye na toh humare bachon ke mustakbil ka kya hoga? "
Maine usse sakht awaaz mein pucha aur usne hamesha ki tarah sarein baaton ko nazar andaz kar bas wahi suna jo woh sunna chahta tha.

"Toh tumhe bacchon ki khawaish hai Kashaf? "
Usne mujhe kuch tease karte huye kaha. 

"Agar aisi khwaish thi toh pehle kehti to main yeh plan nahi banata. Kyu ki iske liye toh hume zada se zada waqt ghar me guzarna hoga. "

"Zara bhi sharam nahi ati na Zaroon aur filhal meri aisi koi khwaish nahi hai. "

"Le ab isme sharam ane wali kya baat hai. Yeh toh kafi practical baat hai. "

"Nahi sunni mujhe tumhari koi practical baat. "
Isse pehle woh apni practicality ke gehrai me jata maine use tok diya.

"Tumne hi toh shuru kiya tha aur kabhi aisi khwaish ho na toh mujhe zaroor batana. "

"Main tumhare liye chai lati hoon phir hum chelenge. "

Uski baaton ko maine avoid karne ke liye kaha.

"Theek hai. "
Usne haste huye kaha.

"Zaroon hum kahi aur chalte hai na yeh shopping wagera toh bada boring kaam hai aur agar zaroorat ho to samajh ata hai. "

Maine car me baithte hi usse kaha.

"Har bar koi reason ho yeh zaroori nahi. Maine apne pasand ke kapre tumhe dilana chahta hoon.  Sach kahun toh bade boring lagte hai mujhe yeh tumhare kapde. "

Maine usse gusse se dekha aur kaha
"Pehle to aise hi achi lagti thi main tumhe."

"haan magar tab tum meri biwi nahi thi na. Pata raha tha main tumhe."

"Bohot cheap ho tum aur ek typical shauhar."

"Main toh rehna bhi chahta hoon humesha ek typical shauhar bohot zada caring, bohot zada expect karne wala."

"Bas agar tum pitna nahi chahte toh chup kar jao. "

Waha shopping center me to jaise Zaroon ko kisi bhoot ne pakad liya tha. Jis cheez ko dekh raha tha bas use lagata tha
"Yeh dekho lagta hai tumhare liye hi bani hai. "
Usne saare kapde apni pasand se kharide aur ek baar bhi mujhse nahi pucha ki mujhe kya pasand hai. Aise kapde maine zindagi me nahi pahene. But thanks to Zaroon ab yeh sab bhi mujhe pahenna hoga. Itni over the top cheezein mujhe hargiz nahi pasand kab samjhega wo?

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now