Zaroon sach much ek bachon ki tarah. Bacha nahi actually he at times behaves like a teenager,who has fallen in love for the first time. Khair woh claim toh yehi karta hai ki main uski pehli mohabbat hoon. Kuch jhoot sa zaroor lagta hai. Aur ye jab maine khulle aam usse keh diya toh uska reaction dekhne layak tha.
"Kashaf mujhe tumse yeh tavakku nahi thi. Kam az kam tum meri is baat ka toh yakeen karo."
"Pehli baat toh hume ek dusre se zyada umeed nahi rakhni chahiye. Aur dusri and the most important one ki main uss admi ka yakeen kis tarah karoo jiski na jaane kitni girlfriends reh chuki hai aur jise behijak flirt karne ki adat ho."
"Khair woh saari toh bas aise hi thi yaar. Sachi mohabbat toh mujhe tumse hi huyi hai."
"Aur yeh jumla tumne yakeenan sabse kaha hoga. "
"Ji aisa kuch nahi hai."
"Aur kya pata ki kal tum mujhe bhi usi category mein dhaal do."
maine haste huye kaha. Par use meri yeh baat shayad kuch pasand nahi ayi uske chehre se toh yehi ehsas hua mujhe.
"Tumhe kya lagta hai Kashaf ki maine tumse kyun shaadi ki?Kyun ki i am indeed madly and deeply in love with you. Agar mujhe mohabbat na hoti toh sach much main yeh shaadi kabhi na karta."
Usko calm down karne ke liye maine kaha
"Maine to aise hi keh diya tha relax karo please."
"Ainda mat karna"
Kabhi yeh bacchon ki tarah behave karta hai aur kabhi is tarah. Kya karoon main iskaAur aaj sham phir woh bacchon ki tarah behave kar raha tha jab maine usse Asmara aur Osama ko ghar dinner par invite karne ko kaha. Kitna samjahne par uski yeh simple si baat samajh ayi. Aur phir kuch hi palo baad uska ek alag roop tha jab woh mere bagal me aakar baitha.
"Tumne unhe inivite kar diya?"
"Haan. Aur ek decision bhi liya hai."
"Kaisa decision?"
Maine kuch confused hokar pucha.
"Yehi ki hum humare mahine ke do hafte apne kareebi logon ke saath guzarenge. Yaani ek hafta tumhari family ke yaha aur ek meri yani Asmara aur Osama. Aur do sundays hum saath guzarenge without any interference."
Maine bas ek muskaan ke saath nod kiya aur woh usne uthte huye kaha
"Ek cup chai milegi?"
Zaroon ki is baat ko sunkar mujhe behad khushi huyi. Woh kuch aisa bhi soch sakta hai mujhe tavaku nahi thi atleast not after his behaviour a while ago. But haan kehte hai na expect the unexpected.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...