Biwiyaan bhi ajeeb tarah ki makhluq hoti hai. Kabhi kabhi toh itni tavajju deti hai aur kabhi toh mano hum unke kuch lagte hi nahi. Aaj Asmara aur Osama ghar aye the aur Kashaf sahiba, woh to subah se hi tayaariyon mein lagi hui thi.Kitchen me ho rahi tayaariyon ko dekhte huye maine usse kaha
"Kashaf sirf do log arahe hai."
"Mujhe maloon hai."
usne mujhe gusse se dekhte huye kaha.
"Haan toh phir aisa kyun lag raha hai jaise ki tumne ek mohalle ke logon ko dawat par bulaya hai.Itni khatir dari aaj tak meri toh kabhi nahi ki.Aur agar aisa hi chalta raha toh ek sunday ke baad hume baki saare din hawa se hi kaam chalana hoga"
"Toh tumne kaunsa aisi khatir dari milne ke layak koi kaam kiya hai and don't worry isme maine tumhare paise zaya nahi kiye hai. Aur haan yeh paise zaya karne ke taane mujhe mat diya karo. Tumhare shopping aur unnecessary restaurant ke visits khatam ho jaye na toh humare aaj aur kal sab ka kharcha bach jayega. "
"Khair yeh toh hone se raha aur waise tum kya chahti ho main kya karoon yeh sab deserve karne ke liye?"
maine use halke se peche se pakarte huye kaha.
"Zaroon please choro mujhe."
"Chorne ke liye shaadi thodi ki hai."
Maine apne grip ko zor karte huye kaha.
"Zaroon tum mujhe chor rahe ho ya main."
"Kya kar logi?"
Maine use apni odh ghumate huye pucha.
"Acha bataun main kya kar sakti hoon?"
"Ji zaroor."
Mere kehte hi usne apne hatho par lage huye aate ko mere chehre par laga diya.
"Yeh kar sakti hoon."
Woh khud ko churaate huye aage badhkar zor se hasne lagi.
"Kashaf this is not fair."
Maine gusse me kaha.
"Pyaar aur jung me sab jayaz hai aur yaha toh phir dono hai."
Uski yeh baat ko main nazar andaaz kaise kar sakta tha.
"Acha toh yeh batao ki dono me se kaunsi cheez humare beech zyada ehmiyat rakhti hai? Pyaar ya jung?"
Uske kareeb jaate huye maine pucha.
"Tumhe kya lagta hai?"
Usne meri ankhon me dekhte huye kaha. Honestly, this surprised me kyun ki Kashaf ka yeh andaaz maine kabhi nahi dekha hai. Hum saath rehte hai aur kehne ko yeh love marriage hai par Kashaf abhi bhi apne feelings ko khul kar zahir karne me sharmati hai. Woh mujhse pyaar karti hai yeh toh woh kabhi kabhi keh bhi deti hai par iss tarah behave toh khair woh mere sapno me bhi nahi karti hai.
"kashaf tumhari tabiyat toh theek hai na?"
Maine uske sar ko chute huye pucha.
"Kyun mujhe kya hoga?"
"Nahi mujhe laga shayad ki tumhari tabyat hi kharab hogi warna tum aur aisi romantic harkatein. Yakeen nahi hota."
Maine haste huye kaha.
"Yeh harkat tumhe kis angle se romantic lagi."
"Kyun tumne filmon me nahi dekha? Aise encounters se toh romance shuru hota hai."
"Zaroon aisi bachkani baaton ki umeed mujhe tumse hi ho sakti hai. Aur yeh kis tarah ki ghatiyaa movies dekhte ho tum."
"Le..ab romance ko tumne ghatiya bana diya. Tumhara kuch nahi ho sakta Kashaf."
"Aur tumhara bhi kuch nahi ho sakta."
Shaam? Haan shaam toh khair achi guzri.Par is subah ke wakiye se zada achi nahi.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...