Kaash! Rangon ki bhi mithas Hoti
Toh Madhup aur titli me yun farak na krte log.
Yun titli k pankh pasarne pr mali ko ruswa na krte log.Barishein uske hisse nahi aati.
Bechare mali k ansuon se sinchti hain kyariyan.
Aur us kyari ko maidan samajhti hain pagli sayaniyan.Kaash! Rangon me bhi swad hota.
Toh ghar ki laxmi pr yun na fasad hota
Kitne pathhar dil hote hain bade zamindar.
Chuhe se dilwale bss naam k bade hote hain zamindar.
Sarson k peele ko dhan smjhte hain.
Par ghar ki laxmi k rangon ki keemat sare aam lagadete hain.Titli k pankh katarne wale ...
Aksar bagh bikwadete hain.
Title k satrang se jalne wale...
Maang, sinduri laal bharwadete hain.Surya uday na ho pr bhaagya avashya uday hoga....
Tab titli k tantu me
Durga trishuul sa bal hoga.
Rakt aur sinduuri aansu sb ek sam-prateet hoga
Par titli k rangon ka drishya punah nahi jeevit hoga—UPMAN
आप पढ़ रहे हैं
Titli
PoetryIt is a poem written artistically describing the condition of a girl in the dowry system of evil practices.