Kashaf 7 march

230 10 2
                                    

Aaj ki shuruat kafi thakaan bhari huyi but it was all worth it. Asmara aur Osama bade hi pyaare hai. Aaj shaam ko jab woh ghar aye toh mano humare ghar me ek raunak si aa gayi.Sach kahun toh i really admire them. Dono kitne mukhtalif hai par phir bhi saath me kitne ache lagte hai.

Asmara toh Osama ki har ek choti baat ka dhyaan rakhti hai aur Osama, woh toh Asmara se bhi badhkar hai. Unhe dekh kar ek ideal couple ka picture mere ankhon ke samne ban jata hai.

Dinner table par baith te hi Asmara ne kaha

"Bhai hum ghar wale hai itni tayaariyan karne ki kya zaroorat thi?Aise agar tum karogi toh phir ye har month me ek sunday saath guzarne ke plan hume drop karna hoga."

"yehi toh main usse subah se keh raha hoon."

Zaroon ne haste huye kaha.

"Are yeh to bas maine pyaar se banaya hai aur itna zada kuch bhi nahi hai."

"Waise Kashaf tumne aaj is dinner ke saath ek bohot high standard set kar diya hai. Par tum humse itne expectations mat rakhna kyu ki mujhe toh bas bohot selective cheezein banani ati hai. "

Usne haste huye kaha.

"Par sach kahun toh mujhe yeh saari cheezein dekh kar bohot khushi ho rahi hai. Kabhi kabhi hi toh mujhe aisi cheezein khane ko milti hai. Warna sach kahun toh humara Sunday to friday ka khana fixed hi hai kyu ki Asmara ko bas gin kar utni hi dishes ati hai. Saturdays ko todhi ganeemat hoti hai jab hum bahar khane ko jaate hai."

"Osama shayad tum bhool rahe ho ki tumhe ghar mere saath hi jana hai. Waise agar tumhe itni problem hai humare us schedule se toh tum khud khana banana kyu nahi seekh lete. Mujhe bhi kuch araam milega."

"Khair ab tum dono jhagdo mat. Aur khaana start karo. "

Zaroon ne unki baat ko kat te huye kaha.

"Bhabhi khana bohot acha tha. Thanks for the lovely dinner."

"Haan Kashaf ab toh pata nahi kitne dinon tak mujhe apne khaana beswaad lagega. It was too good."

"Khair ab tum dono mujhe sharminda mat karo."

"Waise yeh toh hona hi tha akhir biwi kisiki hai."

Zaroon ne saara credit lete huye kaha.

"Khair agar woh tumhare tarah hoti toh aaj hume bhooke pet ghar jana parta. Aaj tak toh tumne hume kabhi ghar bulaya nahi ab saara credit le rahe ho."

Asmara ne ankhein chadhate huye kaha.

"Khair Zaroon ki toh adat hai har cheez ko khud se jorne ki."

Maine haste huye kaha.

Dinner ke bad humne todhi baatein ki aur phir woh apne ghar ke liye nikal gaye. MAin kitchen me kuch kaam kar rahi thi jab Zaroon aya

"Kya yaar abhi tak tumhara kaam khatam nahi hua. Ye decision toh mujhe bohot mahenga par raha hai. Please jaldi ao yaar kamre me."

"Haan haan ati hoon. Bas todha sa kaam hai ."

"Waise khana bohot acha tha."

Usne halke se mere paas ate huye kaha.

"Shukriya,"

"Aur jaldi karo please."

Kabhi kabhi sochti hoon ki mere begair woh karega kya?Main toh shayad ab uske bina ek pal bhi nahi guzar sakungi. Khuda, humare pyaar ka kabhi imtehaan na lena. Main ander se tut jaungi aur woh, woh shayad nahi reh payega.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now