kab tak chupaata khud ko iss jahan mai .
haan thugg gaya tha khud ko khudmai dhundte dhundte ,
yahi bhi pta tha ki dhundlunga khud ko khudse ,
par ab asaan nahi lagta yaha raastey .
sochta hu khud ko iss jahan se mitaadu par mil jaati thi ek umeed .
par yah kesa raasta hai jahan mujhe duniya pehchaan hi nahi parahai .
hazaaro dard seh kar khud ko dhunda khudmai se .phir ulajh gaya khud mai.
raastey ki parwaah nahi hai .
bechaani iss baat ki hai .
kab yah duniya mujhe pehchaanegi.
dard bhara hai dil mai .par phir bhi likhta rahunga baar baar ,
nahi rukunga likhta rahunga ..
asaan nahi khud ko pehchaanna.
par itna bhi mat ho matlabi.
ki mujhe pehchaanne se inkaar krdo .
mat pehchaano mujhko ,
par mere kaam ko pehchaan lo
esehi nahi dard saha hai saalo se ,
jo phir ek baar iss dard ke raastey par khada kardiya ,
dusro se behtar hu itna maalum hai mujhe ,
thoda behtar mujhe yah duniya banade .
bas itna hi iraada lekr chala hu
likhta rahunga baar baar .......
आप पढ़ रहे हैं
HAAN MAIN LIKHTA RAHUNGA ....
RandomDil mai chupe hai mere sabdh , aaj bayaan kardu iss jahan mai ...