kashaf 10th march

180 8 3
                                    

Aaj Zaroon ka face dekhne layak tha. I am sure woh mujhse aisa koi jawab expect nahi kar raha tha. Sach kahun toh bohot hasi arahi hai par woh ab shayad mujhse naraaz hai.

Mera usse jhoot bolne ka koi plan tha nahi par woh mujhe yeh college life ke sawal ko le kar bore kar raha tha. Aur jab usne mujhse apne crush ke bare mein pucha to maine socha kyun na main Zaroon ki is baat ka todha faida uthao aur mujhse yeh intehahi ghatiya sawal puchne ke liye badla loon.Uske expressions mujhe abhi tak yaad arahe hai aur ab woh bacchon ki tarah kuch naraaz ho kar bed par sone chala gaya hai. Dekhti hoon kitna aitbaar hai use mujh par aur kitni dair aise gussa rehta hai. Zahir toh nahi kar raha woh apni narazgi par bewakoof toh nahi hoon main. Uski in harkatoon se ache se wakif hoon main. Khair aitbaar toh tha use mujh par tabhi toh usne us confidence se mujhse woh sawal pucha. Ab toh yeh dekhna hai woh akhir is cheez ko kis tarah handle karta hai. Irada toh ise zada dair tak chalane ka nahi hai. Magar dekhte hai age kya hota hai.

Poor Zaroon! 

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now