Kashaf 11 March

197 9 1
                                    


Aaj to Zaroon ke nakhre jo uthaye hai maine kya bataun. Itna bachon jaisa behave karta hai. Khair aaj jab woh subah utha toh uska chehra dekhne layak tha. Subah ke 8 baje bhi uske chehre par 12 baje the. Usne mujhse koi baat nahi ki toh is liye maine bhi koi baat nahi chehri.

Breakfast bhi usne chup chap kar liya bina kuch kahe aur lunch par bhi kuch yehi haal tha aur is chakkar me usne karela bhi kha liya. Jo Zaroon bhuka mar jaye phir bhi haath na lagaye. Haan jaan bujh kar hi toh banaya tha maine aur woh jali huyi rotiyan bhi toh maine usko isliye di thi ki woh koi toh reaction de magar nahi usne apni chuppi kayam rakhi.

Shaam hote hote mujhse yeh baat bardasht nahi huyi aur. Akhir woh itna narrow minded kaise ho sakta hai? Uski to tamam girl friends rahi hai aur woh to mere samne bhi flirt karne se baaz nahi ata. To phir mere hawale se itni kamzarfi kyun? Main Zaroon se aisi tavakku nahi rakhti thi. Magar saare mard shayad aise hi hote hai aur agar use yeh baat itne buri lagni thi toh usne yeh baat chehri hi kyun?

Shaam mein main uske paas chai ka cup le gayi aur uske pas baithte huye pucha.

"Kya baat hai Zaroon?"

"Kuch nahi."

usne dheemi awaz me kaha.

"Kal raat ki baat se khafa ho?"

"Nahi woh baat nahi hai."

Usne tv ke channels change karte huye kaha.

"Mujhe toh wahi baat lag rahi hai."

"Kashaf bas aise hi."

"Aise hi toh tum pura din mujhse bina baat kiye nahi nikal dete."

"Kabhi kabhi jee nahi karta."

"Theek hai agar tumhe baat karni hi nahi hai aur aise behave karna hai toh main bahir ja rahi hoon."

"Theek hai."

"Tum mujhse puchoge nahi main kaha ja rahi hoon?"

"Tum ek achi khasi sane aurat ho. Tum kahi bhi ja sakti ho aur salamat se hi jaogi. Toh befazul ke sawal kyun karun main tumse?"

Usne aise rukhe andaz mein kaha ki main use bina jawab diye waha se nikal gayi aur apna phone jaan bujh kar uske kamre mein chor gayi. Waha se main direct apni dost Sabiya ke ghar gayi. Woh kayi dino se mujhe bula rahi thi par main time hi nahi nikal paa rahi thi. Waha ja kar Zaroon ki harkaton se toh chutkara mila mujhe kam az kam aur uski sakht zaroorat thi mujhe. 

Shaam mein ghar laute huye kuch der hogayi. Jab main pohnchi toh Zaroon gate ke samne chakkar laga raha tha. Mujhe dekhte hi woh ruk gaya aur main use kuch ignore kar room ki odh jane lagi par usne mera haath pakad liya aur rokte huye kaha

"Itni dair kaha lagi di main kab se tumhara intezar kar raha hoon."

"Main ek sane aurat hoon apna bhala bura janti hoon tumhe chinta kyun hone lagi thi?"

"Kashaf I am sorry."

"kis liye?"

Maine haath churwate huye pucha.

"Jo bhi harkatein maine ki uske liye. "

"Aree Kashaf tum finally agyi. Kabse hum tumhara intezar kar rahe hai. Aur phone kyun ghar chor gayi thi. Hum mila rahe the toh pata chala kamre mein hi hai. Kaha gayi thi?"

Sidra ne kitchen se nikalte huye kaha.

"Sabiya ke ghar."

"Sabiya ayi huyi hai?"

"Haan uski delivery date arahi hai toh isliye apni ammi ke ghar ayi hai bade dino se bula rahi thi."

"Main bhi kisi din chakkar laga lungi. Waise main sirf tumhare liye hi ruki thi. Ab nikalti hoon. Phir kisi din aungi."

"Main chor ata hoon chalo."

"Nahi Zaroon bhai Abba ne driver bhej diya hai. Ap log aram karein main chalti hoon. Allah HAfiz.

"Allah Hafiz."

Maine use gale lagate huye kaha.

Jab woh chali gayi toh Zaroon ne phir mujhe rok liya.

"Kashaf mujhse galti hogayi mujhe maaf kar do par tumne bhi jhoot kyun kaha?"

"Isliye kyun ki tum mera dimag kha rahe the. Toh maine soche thode maze kar loon."

"Yeh kaunsa maza karne ka tareeka hai?"


"Tumhe test kar rahi thi aur tum nakamyab rahe isme puri tarah."

"I am sorry na woh main expect hi nahi kar raha tha.Isliye is tarah ka reaction agaya. Maan jao na."

Usne kaan pakarte huye kaha.

"Khair itni asani se toh nahi abhi toh lohe ke channe jo chabwane hai tumhe."

"Bina daant wala husband bardasht kar logi?"

"Ji beshak."


Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now