Kashaf aisa mazak karegi mujhe hargiz andaza nahi tha. Aaj pure din mera mood kharab tha aur maine usse baat bhi nahi ki aur jab ki tab itni buri tarah ki mujhe khud par sharam aa rahi hai.Par pata nahi mujhe kya hogaya tha ab sochta hoon toh harkat intehayein bechkani lagti hai.
Shaam mein jab Kashaf chali gayi toh Sidra ghar ayi.
"Are Zaroon bhai Kashaf kaha hai?"
"Darasal woh kahi jane wali thi usne kaha tha mere zehan se nikal gyaa aur main so hi raha tha tab wo nikal gayi."
Maine bahana banate huye kaha.
"Ohh..Koi baat nahi main sirf usse toh milne nahi ati..ap batayein kaise hai?"
"Main khariyat se hoon tum batao aur baki log ghar mein kaise hai?"
"Sab khairiyat se hai."
Kuch idhar udhar ki baatein karne ke baad maine Sidra se pucha.
"Tum kisi Shahid ko janti ho?"
"Shahid? Umm..nahi rishte mein to koi nahi hai."
"kashaf ke doston mein se?"
"Office mein shayad..lekin hota toh apko pata hota. Khas yaad nahi araha."
"Shayad uske college mein?"
"College mein? Nahi Apa toh Girl's college aur university gayi thi aur Islamabad mein toh aisa kisi ka zikr nahi kiya. Waise kyun?"
"nahi woh aise hi mujhe bata rahi thi toh usne naam liya magar phir main usse puchna bhul gaya abhi yaad aya to socha shayad tumhe malum ho."
"Acha. Jab woh ayegi ap usi se puch lijiyega na is dafa yaad kar ke"
Kashaf toh keh rahi thi koi senior tha magar woh to Girl's college gayi thi.Acha toh Kashaf ne mujhse jhooth bola. Par kyun bola? Main bhi kitna stupid hoon maine tamam baatein puchi magar yeh nahi ki woh kaunse college gayi thi. Aab kaise manaun use?
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
Fiksi PenggemarHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...