MAA

16 2 14
                                    

Aj jab dard huwa toh dil sy awaz ayii 'maa'
Takleef huwi toh yaad aapki ayi'maa'
Jab sabney chor diya matlabi keh kar phir
Aapki achal ki yaad ayi 'maa'
Mein kitni bad-dimag hoon, logo sy pyaar mangti rahi lekin mili sirf tanhayii
Magar aapney bin mangey kitna pyaar diya Aur meiny aapki hi kadar nahi ki 'maa'
Har ek dost ko seeny sy lagaya,
Bas badnaseebi toh dekho ek apko hi seeny apney na laga payi 'maa'
Dunya ky rango mein khoyii rahi
bas ek apko hi bhool kar sab ky pichey pari rahi...
Apki tanhaiyo mein ek pal bhi aapkey saath na rahi...
Mein badnaseeb aapkey mafi ky kabil na rahi..
Jab hosh aya toh maloom huwa ky ,
koi apna nahi bas aapkey siwaye..

Aapki goyd mein sar rakh kar roh roh ky mout ki faryad ki..
MAA ny rotey rotey apni zindagi mere naam ki..
Mein kitni be-aqal thi,aapkey khuwab bhi purey na kar saki,aapkey liye kuch bhi na kar saki..
Meiny kitna dukh diya apko aur apney uff tak nahi ki 'maa'
Aapney kabhi na saath chora na mujey kabhi kuch kaha'maa'

Abh bas ek hi khuwab hai zindagi ka
Beshak kuch miley ya na miley
Beshak kuch banu ya na banu
Abh ek hi armaan hai zindagi ka
Mein bas ek dafa apki goud mein sar rakh kar soh sakoo'maa'
Woh sakoon pana chati hoon'maa'
Bohot dard horaha hai dil mein
Aapney hatho sy mere iss dard ko mitah do'maa'


Abh bas ek hi khuwab hai zindagi kaBeshak kuch miley ya na miley Beshak kuch banu ya na banu Abh ek hi armaan hai zindagi kaMein bas ek dafa apki goud mein sar rakh kar soh sakoo'maa'Woh sakoon pana chati hoon'maa'Bohot dard horaha hai dil meinAap...

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Aug 10, 2020 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

MAAजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें