Kashaf 20th March

218 9 0
                                    

Aaj kal main farig baithi hoon ghar mein aur iska maza hi kuch aur hai. Zaroon aur maine kuch chutiyaan le rakhi hai. Darasal Sidra ke liye ek rishta aya hai aur yaha bhi kahani kuch conventional hi hai. Sidra ko ladka nahi pasand aur ladke ko Sidra pasand hai aur baki ghar wale Sidra ko manane ke peeche pade hai, mujhe chor kar. Abba ne mujhe aur Zaroon ko ghar bulwaya tha kal ki hum bhi kuch madat kar sake. Sidra ko apna example de sake. Maine to saaf mana kar diya par Zaroon ne to haan hi karni thi. Sabka messiah banne ka jo bada shauk hai use.

"Achi musibat mein phasaya hai tumhare abba ne mujhe."

Usne car mein baithte huye kaha.

"To is musibat ko maine sar par lene ko kaha tha kya? Aab shikayatein kar ke mujhe mat bore karo. Isme galti sirf aur sirf tumhari hai."

"Toh main unhe kya kehta? Ki nahi abba main koi koshishein nahi karne wala."

"Haan toh keh dena tha. Maine bhi toh wahi kiya na."

"Main apke tarah itna bold nahi hoon na. Todhe manners hai mujhme."

"Tum mujhe manner less keh rahe ho?"

Maine use gusse mein dekhte huye pucha.

"Meri itni majaal kab se hogayi ? Main to bas khud ko todha zada manners wala bata raha hoon. Isse to dikkat nahi honi chahiye apko."

Usne haath jodte huye kaha.

"Sidra ko nahi manna chahiye and i'll try ki woh na mane."

"Yeh kya baat huyi?"

"Yehi sahi baat huyi. Woh Zaheer use deserve hi nahi karta. Aur ghar walon ne bhi ajeeb shauk paal rakha hai. Kisi na kisi namune ko samne la khara karte hai aur phir usi se shaadi par zor dhalte hai jaise ki use chor aur koi milega hi nahi."

"Zaheer kyu nahi pasand tumhe? Dikhne mein to suljha hua lagta hai. Baaton se toh bohot akalmand aur sanjeeda laga mujhe."

"Woh mere mamu ka beta hai aur usse badi koi wajah chahiye tumhe?"

Maine haste huye kaha.

"Mujhe yeh tumhara apni family ke taraf scepticism samajh nahi ata."

"Tum kabhi samjah paoge bhi nahi."

"Tum kabhi samajhogi tab na."

"Hmm.. sochungi."

"Kis bare mein?"

"Yehi ki tumhe yeh saari baatein bataun ya nahi. "

Maine muskurate huye kaha.

"Bohot ajeeb ho tum Kashaf. "

"Jaanti hoon."

"Yaad rakhna aaj ki yeh conversation humari, kyun ki agli baar tum mujhse mat expect karna ki main tumse apni baatein share karunga."

"Dekhte hai. Waise jo main tumhe samjhana chahti hoon na woh mujhe tumhe batane ki zaroorat nahi hogi. Tumhe khud pata chal jayegi yeh baat bohot jald. Sidra ki shaadi Zaheer se hi hogi mujhe itna toh pata hai. Uss waqt hi tumhare samne saari baatein ajyengi to filhal main apni energy kyun waste karun?"

"Tum itni sure kyun ho ki Sidra maan jayegi?"

"Aab sab meri tarah chalaak todhi hote hai ki apni mann ki kar jayein. Wo humesha ammi abba ki baatein manne wali beti rahi hai. Chahe wo baat sahi ho ya galat. Par mere saath aisa woh kabhi nahi kar sake. Isliye toh meri shaadi Sahir se nahi huyi. "

"Khair bechare ki kismat achi thi na isliye bach gaya. Har kisi ki aisi kismat kaha hoti hai."

Usne apni taraf ishara karte huye kaha.

"Tumhe pata hai tumhari iss baat ke karan tum agle ek aur hafte tak dinner banaoge."

"Nahi yaar Kashaf tum kya wo jali jali aur pakistan ke map ke shape ki rotiyaan kha kar thaki nahi?"

"nahi ab to rotiyaan behtar hoti ja rahi hai and you are on the verge of perfection. "

"Kashaf kuch to reham karo. Us ek galti ki saza to puri huyi nahi ki tumne ek aur punishment laga di."

"Arre is baar to sirf khana banane ki saza di hai. Tumhe mere kapde iron nahi karne honge, mere liye breakfast nahi tayyar karna hoga, na hi mere shaam ki chai banani hogi na mujhe ice cream khane ke liye le jana hoga evenings ko. Ab bas tumhe dinner banana hai. Positive side to dekho negatives pe hi dhayaan kyu dete ho?"

"Mera bhi din ayega."

Usne apne dant piste huye kaha.

"Zaroor. Waise jaldi chalo tumhe dinner bhi prepare karna hai."

"Yes Madam."

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now