ZAROON 20TH MARCH

229 10 1
                                    

Kashaf ne achi saza di thi mujhe. Pure hafte usne naukaro jaise kaam karaya hai mujhse. Iss hafte Ahmer ke thaat mujhse zada rahe hai. Use bhi shayad mujhpe daya agayi isliye woh meri madat karne ko humesha puch leta tha par Kashaf ko to koi farq hi nahi pada. 

Aur ab ek choti si galti ki wajah se woh ek aur hafte mujhse khana banwayegi aur upar se Sidra ko manane ki musibat. Yeh ghar wale apne bacchon ki jaan kyu nahi chor dete. Jab use Zaheer Zaher lagta hai aur unhe yeh pata hai to zabardasti uske peeche kyu pade huye hai. Yeh humare desh walon ko na match maker banne ka bohot shauk hai. Par chalo inki yeh adat se ek baat to achi huyi thi. Agar woh KAshaf ko Sahir se shaadi karne par insist na karte toh shayad Kashaf aur meri kahani wahi office ke cabin tak reh jati. Iss hawale se to main unka shukrguzaar hoon.

Waise iss ek hafte mein mujhe Kashaf ki halaat ka bhi andaza hogaya. Pata nahi kaise woh yeh saari cheezein manage karti hai. Office aur ghar par itna kaam. Meri har ek cheez ka dhayaan rakhna aur upar se mujhe sambhalna hai. Its a heck of a task and i salute her for doing her job so well. isliye maine bhi faisla kar liya hai. Jaha tak ho sakega main uski madat karunga. At least week me do din dinner main hi banunga. Use yeh baatein main kahunga nahi kyu ki uska kuch pata nahi woh stamp paper par sign karne ki bhi zidd kar sakti hai.

Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now