Maazi aur Haal

943 29 25
                                    

Salman sahab, Noor aur Ayaan ke dada the. Onki pehli shaadi onki apni marzi se hoi thi aur halaat kuch aise ban gaye ke onhe apni khala ki beti Fatima se bhi shadi karni pari.Fatima aik intehai sadaa khatoon thin aur onke pehle shohar ki aik car accident men maut ho gaye thi. Fatima ke maan baap dono hi nhi thi tu sab khandan walon ne mil ke faisle kia ke onki shadi karwa di jaye taake on ko aur on ke beta Ahmed ko sahara mil jae. Salman ki pehli bivi Amna bhi achi saleeqa mand aurat thin. Apne sath jore qareebi rishton ko dosron ke sath bantna asaan kaam nhi magar on dono ne basar kar li thi zindagi akhete. Amna ka bhi aik beta tha jis ka naam Fahad tha. Buhat koshishon ke baad bhi ghar ke masaail khatam na ho sake. Ahmed aur Fahad ki maaon ne tu waqt ke sath smjhota kar lia tha magar Ahmed aur Fahad ke dilon men jane kyun itni nafrat thi. Bachpan men bhi har baat par larai kia karte the. Onke baap ne tu kabhi onke saamne zikar nhi kia tha ke vo asli bhai nhi han magar khandaan wale kahan chorte han har family gathering pe is baat ko cherna jesa lazmi tha. Ye baat sach thi Salman sahab aik selfmade admi the aur onki taraqi se sab rishtedaar jalte the. Onhon ne jo kuch banaya apni mehnat aur mushaqat se banaya tha. Mamlaat kuch behtar ho gaye jab Ahmed aur Fahad bhare ho gaye aur apne bap ke sath office ke kamon men lag gaye. Tabiyat ki kharaabi ki wajah se pehle Fatima aur phir Amna dono hi ki death ho gaye. Teeno baap bete behad pareshaan rehte aur onke poore ghar par sog hi ka aalam chaya rehta. Salman sahab ne apne dono beton ki shadi karwa di. Ahmed ki Uzma se aur Fahad ki Ayesha se. Kuch saalon baad Ahmed ke ghar aik Beta howa jiska naam Ayaan tha aur oske baad Fahad ke ghar beti peda hoi jiska naam Noor tha. Waqt guzarta chala gaya kai baharen aain aur guzar gai. Salman sahab ab kaafi kamzor aur bemaar rehne lage the. Ahmed aur Fahad sath kaam karte the magar onke darmiyan muhabbat aur khaloos ka koi rishta na tha. Dono ne apne bachon ko alaw taleem di thi. Ayaan aur Noor jawaan ho gaye. Salman sahab ne apne jane ke baad apne beton men rishta qaim rakhne ka aik tareeqa socha tha ke Noor aur Ayaan ki shadi karwa di jae. Ahmed aur Fahad aur in ki biviyan is faisle par kuch zyada mutmain tu nhi the magar Fahad aur Ahmed apne baap ki halat se darte howe is faisle pe bedili se raazi ho gaye.In ki aulaad buhat farmabardaar thi jese vo apne baap ke the tu onhon ne bhi sar jhukae in ki han men haan mila di.

Safeena-e-QalbWhere stories live. Discover now