Sakoon

364 24 26
                                    

Fajar ke waqt Ayaan ankhen malta utha aur bed se tek laga kar betha. Vo abhi shayad so rhi thi, Ayaan ne thora sa aage ho kar dekha tu oska chehra oske khule balon se dhakka howa tha.

"Uff ye larki bhi na, ab bhala kitna time lagna tha baal sametne men."

Ayaan ne side table se clip uthaya aur oske baal samete. Vo peeche hone laga hi tha ke ose apne hath par  Noor kaa hath mehsoos howa. Vo neend men thi. Osne Ayaan ka hath pakar lia tha shayad khwaab dekha tha. Oska baar baar karwat badalna Ayaan ko muztarib kar raha tha.
Aik dam se Noor uth kar beth gaye.
Osne zor se Ayaan ka hath pakra howa tha. Oske ankho se anso girne lage the.

"Noor..kya howa hai batao mujha..koi bura khwaab dekh lia....?" 

Noor agle hi pal oske seene se lagi aur oske kurte ko zor se pakar lia.

"Ayaan mene dekha men akeli reh gaye hoon koi bhi nhi hai mera pas aap bhi door jaa rahe han.....aap mujhey bataen mujhey akela tu nhi choren ge?"

Vo zor zor se ro rahi thi aur oska rona Ayaan ko andar tak zakhmi kar raha tha. Ayaan ne Noor ke gird apni grift bharai aur ose yaqeen dilaya ke vo oske paas hai.

"Men yahin hon kahin ja raha... Relax ...kuch bhi nhi howa."

"Please mujhay na chorna ap please please Ayaan."

Vo buri tarah se kaanp rahi thi.
Vo iltaja kar rahi thi buri tarah se ro rhi thi Ayaan ki ankhon se bhi anso zaaro qataar girne lage.


"Men kabhi tumhe akele nhi choro ga meri jaan."

Vo bekhayali men bol gaya tha ya shayad vo alfaaz oske dil ne kahe the. Vo kuch der men pur sukoon hoi thi aur wahin oske seene pe sar rakh kar so gaye.
                .............................
Subah uthe vo dono tu dono hi chup chup the. Akhir kaar khamoshi Ayaan ne tori. Osne ahista se Noor ka bazu pakra aur oski ankhon men dekhte howe bola.

"Yaqeen hai na Allah pe tu kyun fikar karti ho... Vo hamesha hamare sath hota hai...aik vohi tu hai Jo hota ha jab koi nhi hota."

"I am sorry mene apko pareshaan kardia."

"You dont have to say sorry...now you are my responsibility...ab tumhara haq hai mujh pe....tumhari khushi meri khushi hai tumhara gham mera gham hai."
                  
"Thankyou for being with me."

"Is 'Thankyou' ke lie you should be sorry now."

Vo dono bane the har taufaan men aik doosra ka sahara.
                 .............................
Aaj kaye saalon baad Salman sahab ki poori family ne akhethe breakfast kia tha. Dikhawa hi sahi magar sab sath bhethe tu the sirf aur sirf Noor aur Ayaan ke israar pe. Dada apni puraani kahaniya le ke bheth gaye the jin ko sun'na Noor aur Ayaan ko bachpan se buhat pasand tha. Vo dono apne dada se buhat attach the. Saara din mehmaano ka aana jaana  laga raha. Sab rishtedaar aate jaate rahe.
                ..............................
Vo dono isha parh kar farig howe the tu Noor ilmaari ke ooper waale khane men kuch rakh rhi thi
.
"Kya kar rahi han aap?"

"Vo Ayaan mujhay apni chezen ooper rakhni thi vo rakh rhi hon."

Ayaan uth kar oske pas aaya aur oske kareeb khara ho kar oski madad karene laga. Vo oske itne kareeb tha ke Noor ke kano men oski sanson ki awaaz sunai de rahi thi. Oski dil ki dharkan tez hoi thi aur phir onhi sanson men ose na jaane kab apna sakoon bhi mil gya.

"Lo ho gya, mujh se keh dena tha men kardeta."

"Mene apko disturb na kar don isi lie nhi kaha."        

"Noori you are being formal now."

"Ab se sab kaam mere aap kia karen ge."

"Jo apka hukam."

Vo dono muskurae.

"Ayaan meri aik baat manen ge?"

"Keh kar tu dekhen."

"Uff Allah jee aap serious ho jaen please."

Vo uktai hoi boli, vo sanjeeda howa.

"Acha I am sorry bolo kya baat hai."

"Ayaan mujhey ice cream khane jana hai."

"Noor is waqt abhi tu buhat late ho gya hai, pakre gaye tu qasam se buhat izzat ho gi."

"Aap meri itni si baat nhi maan sakte?"

"Acha chalo utho, apna sweater pehen lena and wear your shoes too."

"Kehte han tu topi bhi pehen lon vo jiske ooper cartoons bane hote han?"

vo muskuraye the mil ke.
             ............................

Vo dono gaari men bhethe the jab order le ke waiter aaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Vo dono gaari men bhethe the jab order le ke waiter aaya. Ayaan ne ose bil pay kia aur vo chala gya. Noor apni icecream khane lagi thi jab ose Ayaan ki awaaz aai.

"Mujhay tumhari ice cream khani hai."

"Ayaan icecream ke mamle men koi mazaq nhi."

Osne apna hath jismen osne cone pakri thi vo thora door kia. Agle hi pal Ayaan ne oske hath pe hath rakha aur oski icecream se khaya.

"You know what Ayaan I won't forgive you."

"Men tumhe kese bataon mujhay kabhi apni icecream kha kar otna maza nhi aaya jitni tumhari kha kar aata hai."

"Apne is 'mazey' ko samjha len."

Vo khafgi se boli.

"Acha na sorry na."

"Mujhay pata hai aap sorry keh k bhi yahi karen ge."

Vo apni ice cream khate boli.

"Aadat dal lo na phir meri."

"Vo tu bachpan se hai apko jhelne ki aadat mujhey."

Vo ghoori dalte howe muskura gaya aur phir vo bhi muskurane lagi.

Safeena-e-QalbWhere stories live. Discover now