Bohot din baad kuch waqt akele mile hai isliye toh diary nahi likh paa raha tha. Yeh saare din toh bas logon ko manate manate hi chale gayi. Mujhe lagta hai meri puri zindagi ab Kashaf se ladte aur use manate guzregi. Ab phir Kashaf kuch naraz hai mujhse, nahi mujhse nahi shayad. I think woh bas upset hai meri tarah ki main itne lambe tour pe ja raha hoon. Teen mahina. Bada lamba waqt hai. Main toh khud nahi soch pa raha ki ek ek pal kaise guzrega mera waha Kashaf ke bina. Ajeeb si adat hai mujhe uski.

YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...