Q: "Sirf Tum" Yeh nam kab aur kaisay apke zehan mein aya?
Mainai jab khani ka prologue likha ussi mai mujhy iss lafz ny zyada attract kiya .... isiliye ye naam select kerliya.
Q: Yeh kahani apke dil ke kitne qareeb hai?
Bohat zyada ... :-)
Parhny walo kai comments nai isko mere liye aur bhi special bana diya hy.Q: Apse sabse zyada kis character ke close hain?
Dono lead characters (Dillaj aur Zaman) mere dill kai bohat nazdeek hain.
Q: Novel ki main theme kya hai?
Theme ... itna kuch theme kai barai mai socha nhi lekin mainai Dillaj kai character ko sochty hwai ye kahani likhi... matlab ek larki jo apni pehli mohabbat ko he apni akhri mohabbat samjhti hy aur zindagi kai uttar cherhao ka bakhubi akele muqabla kerti hy.
Q: Kya aap Dillaj se zra sa bhi khud ko relate kersakti hain?
Mere khyal sy mai kya hr larki , Dillaj ko khud sy relate ker sakti hy.. uska confidence, uskai emotions aur uski caring side :-)
Q: Apke khayal mein logon ko apka novel kyun pasand asakta hai?
Sabki apni pasand hy lekin iss novel ki ek khsiyat ye hy kai iskai characters aur scenes humari real life sy milty julty hain. Yaani readers agree karai gai haa ye scene tw meri life sai relate kerta hy ya phir ye character tw mere kisi jannai Waly ki terha hai.
Recently mere lead character Zaman aur dusrai character Kabeer ko readers bohat pasand kar rahy hain.Q: Apka novel dosroon ke novels se kaisay mukhtalif hai?
Kyun kai ye menai likha hy *wink*
Hahaha
Acha ab seriously jawab deti hoo . Iss kahani mai mainai har emotions ko baari baariki sy likhny ki koshish ki hai. Jesai kai mai koi bhi scene likhoo tw make sure kai readers ko wo khud mai mehsus ho . Shuker hai kai abhi taak tw positive response milta hai.Q: Kuch aise novels jo ap wattpad per perh raheen hoon aur dosron ko bhi suggest kerna chahain gi?
Way to Islam by @bookoholic .. Loner by @thoughbyakasious .... Doubt by @listentothekhan
.. Sadqe iss dill ke by Parizeh_Khan aur my dearest Snowflake_Rose aur @aizarollins ke bhi kafi stories hain magr they are my dearest bunch of sisters :-)
[please Tag them yourself]Q: Apke hisaab se konsi writer apne emotions ka sahi lafz desakti hain?
Mashaa ALLAH wese tw sab he apnai kaam mai khoob hain. Magr mujhe @bookholic ki short stories zyada aaserdaar lagti hain.
It was really a great experience interviewing her. I think we should do these kind of things more often. Wish you Best Of Luck!!
And everyone Don't forget to check out SIRF TUM and NOORI
YOU ARE READING
All About Your Favorite Writers
RandomInterviews of my favorite Urdu writers. I might take interview requests.