8th May Zaroon

160 9 0
                                    

Aaj ek mahine pure hogaye. Magar ek ek din kaise guzre hai main janta hoon. Ek mahine to kaise bhi nikal gaye par agle do mahine kaise guzrenge main nahi janta. Mann karta hai wapis chala jaaon par yeh soch ke ruk jata hoon ki yeh meri aur Kashaf ke future ke liye ek achi opportunity hai. Maine Kashaf ko bataya nahi hai par agar yeh tour ke mission me main successful raha to company ne mujhe promotion ka wada kiya hai. Main uske chehre pe khushi dekhna chahta hoon jab woh yeh baat jane isliye maine kuch nahi bataya pehle. Kahi main kamyab na hua? koshish to main puri kar raha hoon ab dekhte hai kya hota hai.

Waise aaj dinner ke baad kashaf ka call aya tha. Wo office se ghar aa chuki thi aur main bhi us waqt tak hotel me hota hoon par aaj kaam hi itna tha ki mujhe office me rukna pada. 

"tum abhi tak office me kya kar rahe ho?"

"Haa wo aaj masroofiat todhi zada hai. Kuch dair me niklunga. Ek last kaam baki hai."

Utne me Pamella ander ayi. Woh mujhe yaha assist kar rahi hai. Waise hai to woh humari head.

"Zaroon I am still left with a bit of work and I was going to grab a cup of coffee, do you want to join?"

"Sure i'll join you in about a minute."

Maine use ek smile dete huye kaha.

"Kashaf mein hotel pohnchkar tumhe call karta hoon. Bas todha sa kaam baki hai kuch dair hi lagega main phir call karta hoon."

"Hmm.."

Usne bina kuch jawab diye call kat dia.

Maine phone ki taraf dekha aur use rakh diya. Kahi woh Pamella ki awaz sunkar kuch galat andaza to nahi laga rahi? Nahi, bacchi todhi hai woh. Professional aur personal relations ka difference to janti hai? To phir achanak. Is thought ko ignore karte mein coffee peene chala gaya. 

Coffee ke baad maine apne bache huye kaam ko pura kiya aur hotel pohnchkar maine jaldi se dinner kiya aur phir araam se Kashaf ko call lagaya. Mujhe to bas ab uske reaction par khauff araha tha.

"Assalam Walekum."

Maine dheemi awaz me kaha.

"Walekum Assalam. Waqt mil gaya apni  date se?"

Usne tanz karte huye kaha.

"Haan Pamella ki to adat hai. Bina mere to woh coffee kabhi peeti hi nahi hai. Aur phir woh itne pyaar se mujhe dekhti hai ki main mana bhi nahi kar pata."

Maine apni hasi ko chapte huye kaha.

"Acha. Toh phone par mujhse baatein kyun kar rahe ho Pamella se karo. Mera waqt zaya mat karo."

"Nahi. Main Pamella se mohabbat todhi karta hoon. Mohabbat to main sirf tumse karta hoon."

"Haan mohabbat mujhse karte ho par dates par tum Pamella ke saath jate ho."

Usne irritate hokar kaha.

"Haan to tumhe bhi date par le jaunga. Wapas ane par. Phir socho Pamella mujhe kitna miss karegi."

"Toh reh jao na Pamella ke saath. Wapas ane ki koi zaroorat nahi hai."

"Soch lo. Phir dhokebaazi ka ilzam na lagate phirna mere upar."

"Woh to main abhi bhi laga rahi hoon."

Main baat hi kar raha tha ki kisi ne door pe knock kiya.

"Ek minute koi knock kar raha hai. Tum hold pe rakho main check kar k ata hoon."

Mere kapde agaye the laundry se. Unhe lene ke baad maine phir se phone utha lia.

"Haan ji bolein."

Maine haste huye kaha. Kyun ki mujhe pata hai Kashaf ka mood kaisa ho raha hoga.

"Kahi Pamella to nahi thi."

Usne kuch gusse me kaha.

"Nahi woh kaha ati hai raat me. Waise maine hi mana kar rakha hai.Kyun ki is time pe main busy hota hoon apni wife ke saath."

"Kuch zyada understanding nahi hai tumhari yeh Pamella."

"Haan hai isliye to mujhe itni pasand hai. "

"Main sone ja rahi hoon. "

"arre Kashaf suno toh."

"Allah Hafiz."

Isse pehle main use kuch kehta usne phone kat diya. Mujhe aaj Kashaf ki harkat par bohot hasi ayi. kash me use bata pata ki woh jealousy me kitni cute lagti hai.

Pamella ka ek bohot important role hai mere success me kyun ki uske ache relations hai woh dusri company se akhir woh unki employee jo reh chuki hai. Woh kafi experienced hai aur uski assistance mere liye bohot important hai. isiliye maine use coffee ke liye mana nahi kiya. Coffee ke bahane mujhe kuch important cheezein batati hai jo woh official meets me utna freely nahi batati hai. Wo mujhe kafi pasand karti hai aur kehti hai

"You know there are things you cannot divulge in official meetings because you don't share such comfort and its a place where you don't even like everyone. You have potential Zaroon and I want you to grab the opportunity."

Even i am quite fond of her because of her sweet gestures and the way she treats me and says

"You know had my son been alive he would be of your age."

Pamella had lost her son in a car accident. She was a single mother and God had taken away the only bit of happiness she had in her life. Her son, she says, was much like me. 

Jab maine use Kashaf ki photo dikhai to usne kaha

"Beautiful and the two of you make a lovely pair."

Main humesha use Kashaf ki baatein kar kar ke bore karta rehta hoon aur surprisingly woh sunti bhi hai aur har subah uske baare me puchti bhi hai. aur us din to keh rahi thi

"You are really missing her, aren't you?"

I simply nodded.

"You love her a lot. I can see it in your eyes. She is really a lucky woman."

"Uh huh. Wrong. I am a lucky man."

She simply laughed and headed towards her desk.

Kashaf ki baatein karte to main kabhi thak nahi sakta. Par kya woh bhi mera zikar karti hai apne doston se ya unke samne bhi sharmati hai.


Diaries :Journey from hatred to loveWhere stories live. Discover now