Aaj Zaroon aur mere beech kuch anban hogayi. Hairat hai ki yeh kuch do mahino ke baad hua hai warna ghar par toh yeh roz ki baat hai. Kabhi towel ko bed pe rakhne ke karan to kabhi jooton ko unki sahi jagah pe na rakhne ke karan. Yeh jootein apni jagah par rakhne mein kitna waqt lagta hai akhir? Par aaj mamla kuch ajeeb tha. Humesha main Zaroon par chilla rahi hoti hoon par aaj Zaroon kuch naraz tha. Galti dono ki nahi thi ya thi, pata nahi.
Wo hua ye ki Zaroon ne jab lunch par time nikal kar mujhe call karne ki koshish ki tab main ek meeting mein masroof thi aur shaam me maine yeh keh kar phone kat dia ki Abba ghar aye hai main farigh hote hi call karungi magar cheezein kuch aisi huyi ki mere dimag se hi nikal gaya ki mujhe Zaroon ko call karna hai. Kareeban raat ke 12 baje Zaroon ki call ayi.
"Tum farigh nahi huyi kya?"
"Zaroon I am so sorry main tumhe call karna hi bhul gayi."
"Kashaf main kabse tumhare call ka wait kar raha hoon aur tumhe mujhe wapis call karna yaad bhi nahi rehta. Agli dafa mujhse yeh expectation mat rakhna ki main waapis call karoon agar main masroof hoon. Allah Hafiz."
Isse pehle main use kuch kehti usne phone kat dia.Usne meri baat bhi nahi suni ki Abba ke ane ke baad ghar par akhir hua kya. Abba ke ane ka sunkar hi use samajh jana chahyiye tha ki kuch masla hai. Abba kabhi ghar ate hai kya? Par main shayad use bhi blame nahi karungi woh bahir hai, akela hai and jaise woh kal keh raha tha uska reaction ana hi tha
"Kuch bhi acha nahi lagta waha?"
"Ek cheez achi lagti hai."
"Kya?"
"tumse baat karna."
"Acha..jhoot bolne ke to maahir ho tum."
"Pure din me ek hi achi cheez to hai that i look forward to."
Call back karne par bhi usne mera phone nahi uthaya. Par main bhi kya karti. Jaan bujh kar main to nahi bhuli. Ab kal main jab use bataungi to yakeenan wo samajh jayega ki akhir hua kya tha.
Aaj jab Abba bin bataye ghar aye to Sidra aur mujhe badi hairani huyi, par abba ke baat par nahi huyi.Mujhe pata tha yeh Zaheer ke ghar wale aisi hi kuch harkat karenge isliye to main is shaadi ke khilaaf thi par logon ko meri baatein sirf zaher lagti hai.
"Zaheer ke ghar wale chahte hai ki Sidra ko uska hissa mil jaye."
Abba ne chai ka cup uthate huye kaha.
"Kaisa hissa?"
Maine Sidra ke taraf dekhte huye pucha.
"Jaydad ka hissa."
"Par abhi hissa kyun hone laga?"
Sidra ne pucha.
"Sahi hi toh hai. Aaj nahi toh kal mujhe yeh hissa to karna hi hai toh aaj hi sahi.Kashaf aur tumhare hisse me jo ata hai woh main tumhare naam kar dena chahta hoon."
"Par yeh sahi nahi hai.Hissa wagera karne ka koi matlab hi nahi hai."
Sidra ne gusse mein kaha.
"Matlab hai Sidra. Agar hissa hoga to paise toh Zaheer ke pas hi jayenge. "
Maine kaha.
"Maqsad jo bhi ho maine yeh faisla leliya hai isliye maine socha tum dono ko itelha kar doon."
Abba yeh keh kar hi ghar se chale gaye. Wo kuch khas khush nahi the. Koi bhi nahi hai. Par mujhe samajh nahi ata woh uki baat kyun maan rahe hai.Isiko lekar main aur Sidra maasroof hogaye ki kaise usne galat faisala leliya hai aur kaise har baar yehi cheezein karte aye hai humare ghar wale.Khair ab is masle ke saath Zaroon ko manane ka masla bhi samne aa khada hua hai.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
FanfictionHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...