Aaj kal yaha itni masroofiat hai ki Kashaf se baat karne ka bhi sahi se waqt nahi milta.Par kuch dino ki hi baat hai ab. Ek mahine se bhi kam din bache hai. Aaj finally ja kar mujhe kuch waqt mila hai, toh Kashaf aaj masroof hai. Isliye maine aaj shopping ka plan kar liya. Kashaf ne baki logo ke liye toh ek lambi si fahrist di hai mujhe par apne liye kuch nahi kaha.
"Dekhti hoon ki tumhe meri pasand ka kitna pata hai. "
"tumhari pasand toh khub hai akhir tumne mujhe jo pasand kiya hai."
"Haan par ab khud akar yeh mat kehna ki main hi tumhara gift hoon. Wapas Australia bhej dungi main tumhe. "
"Acha Pamella ke pas? Woh to khush hojayegi."
"Haan par jab tumhare tute huye dant dekhegi na tab kitni khush hogi yeh tum mujhe details main batana."
Usne gusse me phone kat dia.
Pamella ko lekar woh itni jealous hai aur maine itna tang kiya hai use Pamella ko lekar ki ab pata nahi sach janne par woh mera kya karegi. Khair shopping toh kar li aaj maine. Pata nahi Kashaf ko mera gift kaisa lagega.
YOU ARE READING
Diaries :Journey from hatred to love
Fiksi PenggemarHello guys.This is a new story which revolves around Zaroon and Kashaf,the lead pair of the drama Zindagi Gulzar Hai. Its a journey of hatred to falling in love.I shall write this in form of a diary.Hope you will enjoy it. I will update only If a fe...