part 4

1.8K 111 4
                                    

alia's pov continue.....

hume laga manik se shadi karne ke baad hume saari khushiyan mil jayengi lekin aisa kabhi nahi hua.
manik ne hum se shadi karke apna vaada nibhaya ...
duniya walon ke saamne hume apni patni mana...
lekin  dil se hume patni ka haq kabhi nahi diya....
manik ne hume biwi ka haq diya lekin apni maa ke kehne par...

nandini hum se har cheez me age thi ,wo rich family se belong the . wo hum se zayada beautiful smart aur educated thi.
unhe har cheez bina khe hi mil jati thi .
unhe dekh kar hum jelous feel karte .
unhe sharing pasand nahi thi.

aur hum unki life me aye sab share karne ke liye ....
sabko yehi lagta tha lekin jo dikhta hai wo sach nahi hota ....

hume laga manik ki zindagi me hum nandini ki jaga leli lekin aisa ek second ke liye bhi nahi hua.

nandini manik ke saath nahi hoke bhi humesha unke saath thi . aur hum pass hokar bhi bahut dur yaa shayed kabhi pass the hi nahi....

manik se shadi hone ke baad hume ye aisas hua ke humne bahut badi galti karli hai...

nandini ke pass sare rights the wo chahti to hume ghar se nikal deti yaa phir manik se keh kar hamara divorce karati .

lekin unohne aisa kuch nahi kiya...
par ye bhi sach hai ke unohne humare rishte ko kabhi apnaya nahi....

hum dono saath me ek chat ke niche rehte lekin sirf apne bachon ke liye
ye bhi nandini ki hi mehrbani thi ke unhone hume ghar se nahi nikala...

jab bhi hum nandini ko dekte hume lagta wo duniya ki sab se khush nasib women hai,jin ke pass sab kuch hai ,pyar karne wale parents jaan dene wale bhai ,unki baat sir ankhon par rahne wali bhabi ,unko apni life samajhne wale manik aur unke bachche.har baat unse poch kar karne wali unki mother in law....

lekin humara kya hai kuch bhi nahi jise hum apna kahe..,
hum khali hath the aur aaj bhi khali haath hai..

age aur bhi bahut kuch hai ...
plz vote and comment
hum comments ka replay nahi karte lekin app sabke comments and votes humari taqat hai.
a big thanks for your votes and comments..
aur jinohne sirf read kiya hai unko bhi thanks....

i will come soon ....
wait for me....😀😀😀😀😘😘

manan osWhere stories live. Discover now