"Hello Mayank! I'm Purvi. Maine socha ki esse pehle tum mera naam pucho usse pehle mai hi bata deti hu. Aur tumhe lag raha hai ki tumne mujhe pehle bhi kahi dekha hai!", us ladki ne apna intro dete hue kaha. Uski aankho me ek alag tarah ka confidense tha jo use dusre logo se alag kuch khas banata tha. Mayank jaise chupchap bas use dekhe ja raha tha. Mayank ko aise chup dekh ker Wo kuch aur bhi kehne ja rahi thi lekin tabhi ek staff ne aaker usse kaha ki Prof. Gupta ne use apne cabin me bulaya hai. Usne simply Mayank se 'excuse me' kaha aur fir staff ke sath Prof. se milne chali gayi. Mayank kuch der tak us ladki ke bare me hi sochta raha aur fir wo library ki or chal diya.
.......
10 pm:
"People often believe that a criminal is always a hot headed person. They are surrounded by abnormal people and they are proved to be an insane in various situations. But this is not always the same behavioural pattern a criminal shows. Sometimes a criminal could be more sane than any other common men. He or she could be a bit socially aloof and not surrounded by strange people. He or she could be very calm and peace loving in nature. So the prejudices about the criminal minds are..."
Mayank apni study table pe baitha Prof. Gupta ki likhi book "The Criminal Brain" pad raha tha. Pata nahi kyu per jaise usne ye decide ker liya tha ki use Prof. Gupta ko aur karib se janana chahiye. Shayad Prof. Gupta ke intentions ko samjhne ke liye use criminals ke behaviour ko janane ki jarurat thi or ajeeb baat thi ki eske liye wo unhi ki likhi kitaab ko pad raha tha.
"Some very common prejudices about any criminal minds are:
-they always behave rudely to others.
-they are very complex personalities because they suffer huge failures in their life time.
-they are often very violent and use physical strength against those disapprove their opinions.
-their IQ level are very low.
-they are usually proved to be bad companion for their spouses.
But these prejudices has been proved wrong by many cases we have dealt. In the town of tennesse state of USA we find in 56 out of 95 cases that the criminal posses very different behavioural traits in ....."
Es particular paragrah ko highlight kerke Mayank Prof. Gupta ke bare me sochne laga. Usne jitna suna aur dekha tha unke bare me, usse wo kafi shaant aur pateint lagte the. Unke ander aisi koi baat nahi thi jisse koi unhe complex keh sake. Unki personality kafi smart aur dynamic thi. 56 ki age me bhi wo 36 ke lagte the. Unhone apne career me jitna achieve kiya tha shayad utna to wo 2 janm lagaker bhi nahi ker sakta tha. Unka kisi se bhi kabhi koi jhagda nahi suna gya tha aur na hi koi unka rival tha. US govt ne to unhe kafi prestigious award se sammanit kiya tha aur unhe US ki nationality bhi offer ki thi jise Prof. ne softness ke sath reject ker di thi. Shayad etne saal US me rehker bhi unke man se ek Indian nationalist hone ki feelings nahi gayi thi.
"Aise me Prof. pe kisi bhi tarah ka shak kerna bekar hai..", Mayank ne socha.
Wo kitaab band kerke sone ki taiyari kerne laga. Lekin abhi bhi wo Prof. ko leker puri tarah convince nahi tha.
..........
Shuruaat ke kuch ajeeb dino ke baad Mayank ko es university me ab kafi achha lagne laga tha. Edhar kafi din beet gaye the aur wo bhi apne subject me achha perform kerne ki dhun me Prof. se related sabhi ajeeb baato ko bhulne laga tha. Ab to use university me kuch bhi strange sa feel nahi hota tha. Class me bhi uski 3-4 classmates se kafi achhi tuning ho gayi thi. Aur to aur Purvi aur uske bitch me kya chal raha hai eske liye jaise pure class ko sbse jyada interest rehne laga tha. Dono kabhi cafeteria me sath lunch kerte ya fir library me ghanto sath hi sath padai kiya kerte. Mayank ke liye Purvi ki kya feelings thi ese khud Mayank bhi nahi janta tha per puri university me wo dono love birds ke naam se famous ho gye the. Mayank or Purvi dono hi en rumors pe haste or fir bhulker padai kiya kerte. Shayad Mayank ko Purvi ka sath esliye bhi achha lagta tha kyuki Purvi extremely intelligent thi. Usne Psychology me hi bachelor kiya tha aur es hisab se uski knowledge kafi jyada thi. Dono sath hi project work kerte aur unka kafi waqt case studies ko discuss kerte bita kerta tha.
..........
Ek din roj ki hi tarah Mayank class ke baad Purvi ka cafeteria me wait ker raha tha. Wo dono aaj sath me lunch kerne wale the. Lekin kafi der ho gayi thi magar Purvi ka kahi ata pata nahi tha. Usne socha ki use dekhna chahiye ki wo kaha hai. Wo waha se utha or table pe apna bag chod ker bahar use dhudne nikal gaya. Pehle usne library check ki, fir classrooms ko check kiya, usne kuch ladkiyo se bhi pucha per wo hostel me bhi nahi thi. Fir usne pure campus ka ek round lagaya fir bhi wo kahi nahi dikhi. Wo pareshani me ghumte ghumte Prof. ke quarter tak aa gya tha. Wo thak ker thodi der wahi ruka fir usne jaise apne se kaha-"yaha to faltu me aa gya. Waise bhi yaha to koi nahi aata." Ye sochker wo waha se jane ke liye mud hi raha tha ki Prof. ke quarter ke main darwaje se Purvi nikalti dikhi. Mayank ko Purvi ko waha dekh ker kafi hairat hue. Prof. to kisi student se personally nahi milte the aur unke quarter per unse milne jana kisi ko bhi allowed nahi tha. Students ko bhi unhe personally janane me koi interested nahi tha esliye campus ke es side koi nahi aaya kerta tha. Prof. aur students ke bitch keval ek professional rishte se jyada kuch bhi nahi tha jo keval unki class aur kabhi kabhi unke cabin me unse hone wale intractions tak hi simit tha. Per Purvi yaha kyu aayi thi? Ya shayad Prof. ne khud use yaha bulaya hoga. Purvi main gate ki or jaise hi badi to Mayank ne aage badh ker use aawaj lagayi. Purvi ne uski aawaj sunker uski taraf dekha per bina kuch kahe wo use ignore kerke ek taraf jane lagi. Mayank n fir use aawaj di per wo use or uski baato ko ignore kerte hue waha se chali gayi. Use Purvi ka usko es tarah ignore kerna samjh nahi aa raha tha. Mayank ko wo kafi pareshan lag rahi thi. Mayank ko laga ki use Purvi se eski wajah janani hi hogi. Subah se leker class tak to wo bilkul thik thi. Class me hi dono ne decide kiya tha ki wo sath me lunch karenge aur class ke baad Mayank seedha cafe chala gya tha aur Purvi apne hostel change kerne gayi thi. Lekin uske baad se Purvi cafe na aaker Prof. ke yaha chali gayi thi jiske baad se uska behaviour thoda ajeeb ho gaya tha.
.........
3 din ho gaye the. Magar Purvi ne Mayank se koi baat nahi ki thi. Mayank bechara puchte puchte thak gaya tha ki aakir usne aisi kya galti ki hai ki wo usse baat nahi ker rahi hai per Purvi ne use her baar ignore ker diya. Esi karan pareshan hoker Mayank raat ko apne bister pe leta Purvi ke bare soch raha tha. Use bilkul bhi nahi samjh aa raha tha ki wo Purvi ko kaise manaye? En 3 dino me usne koi bhi padai nahi ki thi. Usne es 3 din me na to bilkul bhi padai nahi ki thi aur na hi apne gharwalo se kuch baat hi ki thi. Werna to wo roj hi apne ghar pe baat kiya kerta tha. Esi pareshani me use need aa gayi aur wo so gaya. Subah wo kafi der se soker utha. Ghabra ker usne time dekha tha to 10 baj rahe the.
"Offo! Aj ki lecture to miss ho gyi!" Jaldbaji me wo apne kamre se bahar nikala aur toilet ki or fresh hone ke liye bhaga. Ab tak hostel me koi bhi nahi tha. Sabhi class ke liye nikal chuka tha. Use shayad etni gehri need pehli baar aayi thi ki uski need subah ke shor sharabe se na khule kyuki subah to bathroom ke liye lambi line lagani padti thi or es chakker me lagbhag her roj kisi na kisi ke bitch ladai hua kerti thi. Aj to use der ho gayi thi magar hostel me koi nahi tha to usne socha ki 5 min me ready hoker wo class bhagna chahiye taki class ka kuch portion to wo ker sake. Jaldi se muh me toothbrush dale aur towel leker wo bathroom ki bhaga. Usne jaldi me bathroom ke darwaje jor se dhakka diya lekin shayad bathroom me koi tha esliye darwaja ander se band tha. Mayank ko laga ki jaise uski hi tarah koi or bhi aaj late ho gaya tha. Fir bhi usne ye sochker darwaje ko knock kiya ki jo bhi ander hai wo jaldi se bahar aa jaye. Lekin ander se to koi bhi aawaj nahi aayi. Mayank ko gussa aane laga tha ki ye jane kaun hai jo etna late laga raha hai. Usne jor se jaldi kerne ke liye aawaj bhi lagayi magar fir bhi koi aawaj nahi aayi. Uska dimag ab gusse se ubal raha tha. Kyuki shayad ander koi aisa tha jisne use pareshan kerne ke liye hi bathrom me ghusker ja baitha tha kyuki na tap ke chalne ki aawaj aa rahi thi aur na hi kisi dusri activity ki. Jb 10 min tak aise hi chalta raha to Mayank ko laga ki wo bhi ander wale ensaan ko sabak sikhaye. Usne bahar se bathroom ko lock kerne ke liye kundi ki taraf hath badaya aur uski najar niche farsh ki taraf gayi. Bathroom ke ander se khoon ki ek moti si dhara bahar ki or aa rahi thi aur uske pairo ke niche charo taraf khoon hi khoon faila hua tha.
To be continued......
आप पढ़ रहे हैं
Strange Things Do Happen
Misteri / ThrillerIt is basically a mystry(my creative time pass).. maine koi proof read bhi nahi kiya hai. And kuch jagaho pe creative liberties li hain.