Gate per bell hui thi. Seedhiyon se upar apni kamre mein kadhi hui thi usne bell ki awaaz bahut asaani se suni thi.
Ab wo apni kaanpte hui wazood ko sambhalti hui ek aakhri nigaah us ghar par dhal rahi thi. Ye ghar jahan uska bachpan guzra, jaha zindagi ke kitne saare saal apni maa ke saath rahi aur jaha uski maa ne apni bimaari ka saqttareen waqt guzaara aur phit usi ghar mein apni akhri saans li.
zyaada puraani baat toh nahi thi parso hi ki baat thi. Subah ki 4 baje unhone zindagi se shikasth khayi. bed par bachhi hui chaadar bhi wahi thi jis par wo lethi hui the. Paas padhi mez par abhi bhi unki ek dawaayiyan rakhe the. Kal raat bhabhi ne uska saara saamaan pack kiya tha -uske kapde aur degar zaroori saaman. wo chup chaap bed par baithi unhe apna saamaan pack karta dekh rahi thi- ami ke dawaayiyan aur unki mukhtalif tests ki reports.
doctors aur hospitals ki phone numbers ye sab jo pichle do saalon se uski zaindagi ka saath jude the, ab bilkul bemaani ho chuki thi.
Mehz chand ghanton mein bhabhi ne uska saamaan pack kar daala tha. us ghar mein aisa tha bhi kya jo wo saath le ja sakti. wo puraani zamaane ka furniture jise wo jabardasti jhaad ponch kar saaf karne ke jitna kiya karti thi ya kitchen mein moujood wo crockery jo us qaabil bhi nahi thi ki kisi acha aur muazzaz mehmaan ke aamad mauqe par us par takalluf chaai ki pesh ki jaaskti.
kitne saare khwaab the uske- wo graduation ke baad kahi job kar legi aur saath hi private MA ki bhi karegi. aahista aahista wo taraqqi karte jaayegi apni is ghar wo naqsha badal degi. Magar wo kuch bhi nahi badal payi thi.
Uske BA ke ppehle saal ke inmtehaan chal rahe the jab ammi bimaar rah gayi thi. unke sab jamaa--- unke ilaaj mein kharch ho gayi thi. yahaa tak ki ammi ka zewar jo unhone zindagi mein mushkil se mushkil waqt aane par bhi kabhi bhechne ke baare mein nahi socha tha- wo tak usne unke ilaaj ke khatir bhech daala tha.
ye zewaraat ki zindagi se zyada aham nahi ho sakta tha.
wo sochti thi- ammi theek ho jaayegi phir mein unhe zewar bhechne ki baare mein bata dungi, wo bahut naaraaz hongi,ye sochkar phikarmand hogi ki meri shaadi ke liyein zewaraat ke alawa unke paas aur toh ki cheez hi nahi, lekin koi baat nahi, mein unhe manaa lungi. lekin zindagi ne mauqaa hi nahi aane diya tha. ab is ghar mein aisi koi khimati cheez nahi bachi thi jo wo apni saath le ja sakti, sivaai un yaadon ke jin mein uski maa thi, wo khud thi, uska bachpan tha.
ek suitcase aur ek hand bag ye uski kal mataa.a thi aur ye saaman baakhir bhai pahle hi neeche le jaa chuke the. zeenat khala, bhabhi, baakhir bhai aur aarif bhai sab uske liye fikarmand the. Wo jaanti thi ki un sabko usse bahut zyada humdardi hai, wo iska khyaal kar rahe hai, koi rishta na hote hui bhi unhone in mushkil tareen dinon use bahut sahaara diya tha. aaj subah mahz unka dil rakhne ki khatir usne chai ke chand ghoont li thi.unhone uske saath naashta kiya tha. use is baat ka dilaasa dene ki koshish ki thi ki kya hua agar uski maa usse cheen gayi hai toh? uska sagaa baap zinda hai aur ab wo apni baap ke paas jaa rahi hai. Apni us baap ke paas jise usne zindagi mein ek baar bhi nahi dekha tha. WO uske nazdeek itni si aham bhi nahi thi ki use apne saath lejaane ke liye khud aata.
Use seedhiyon par kisi ke qadamon ki chaap sunaayi di. yaqeenan koi use bulaane upar aaraha tha. Usne ek aakhri hasrat bhari nigaah dar-o-deewar par dhaali jo kal tak uska ghar tha, saari duniya mein uske liye sab se pyaari jagah, kahi bhi jaati yaha waapas aane ke liye uske qadam khushi khushi utha karti thi.
"Aiman! wo aagaye hai tumhe lene."
Bahut tez tez seedhiyon chadne se bhabhi ke saans phool gayi thi.wo jawaab mein kuch bole baghair khamoshi se unke saath seedhiyan utarne lagi. unhone uska haath apne haath mein le liya tha.
"Hosla karo Aiman! Tum kahi anjaan logon mein toh nahi jaa rahi.Apni baap ke paas jaa rahi ho aur phir karachi jaise shahar mein jaa rahi ho. waha ki tez raftaar , baaghti daudthi zindagi aur chaka-chaund mein dekhta kitni jaldi tumhaara dil lag jaayega."
usne usi khamoshi magar tashakkur aamez nigaahon se bhabhi ko dekha.
ammi ke bimaari ke un do saalon mein zeenat khala aur unke ghar ke tamaam afraad ne uska aur ammi ka bahut saath diya tha. haalanki unka unlogonse koi rishta nahi tha. ye maa beti un logon ke sirf kiraaya daar the. Kabhi raath mein ammi ke haalat bhigadti toh baakhir bhai ya aarif bhai mein se koi jaakar taxi le aata aur phir uske saath hospital bi chala jaata.
wo zeenat khala aur unke ghar ke ek ek fard ki ehsaanmand thi.
wo bhabhi ke saath chalte hui drawing room mein aagayi. ssamne hi sofa par wo shakhs baitha hua tha jise uske baapne use lene keliye beja tha. Badi mushkhilon se wo khud mein itni kuvvat paida kar payi thi ki ansoo.n ko piche dhakel kar use salaam kare.
"Aasalaam malekum"- usne apni lehza hamvaar rakhne ki puri koshish ki thi.
"walekum asalaam" - wo uske aamad se qabl bhakhir bhai se koi baat kar raha tha unke saath apni baat adhoori chodkar usne fauran sofa se uthte hui uske salaam ka jawaab diya.
" Aap taiyyar hai?" uska mehzab si lehza kisi qism kajazbaat se aarii tha.usne isbaat mein sir hila diya.
us oar se nazre hatha kar wo jaldi jaldi bakhir bhai aur zeenat khala se alvidai kalmat kahne laga toh wo donon hi use chai waghaira keliye rikne par israar karne lage.Unlogon ke be-tahashaa israar ke jawaab mein bhi wo rukne ki mood mein nazar nahi aaraha tha.uski andaaz mein bahut uzlat thi. aise jaise wo jaldi jaldi yaha se chalejaana chahta tha aur uske us andaaz ko mehsoos karne ke bawajood bhi bakhir bhai aur zeenat khalause rokne par israar kar rahe the.
paise mein itni hi taakat hoti hai. us shakhs ka har har andaaz pukar pukar kar uski imaarat kaelaan kar raha tha.uska libaas aur uska nashist-o-barkhaast, uske guftagu, gate ke baahir khade hui uski keemati ghaadi. Agar wo koi maamuli admi hota,maamuli ghaadi mein aata hota toh us guruur aur takabbur ke muzahire ke baad wo log use rokne keliye zara saa bhi israar nahi karta.
5 minutes ke us israar aur inkaar ke baad wo sab logon se khudhafiz kahte hui gate tak aagaye. ghar ke sab afraad use gate tak alvidai kahne aaye the. zeenat khala, bhabhi, gudiya sab usse gale lagkar mil rahe the. karachi jaakar un logon se raabta rakhne ke vaade lerahe the aur wo itni der mein bakhir bhai ke haath se uska suitcase lekar uska ghaadi ke dikki mein rakh chuka tha.
driving seat aur uski barabari wali seat ka darwaaza kholi wo apni ghaadi ke paas uska faariG hone ka muntazir tha.wo khamoshi se ghaadi mein baith gayi. uske ghaadi start karte hui hi gate par khade hui sab logon ne aiman ko haath hila kar khudhafiz kaha, usne bhi jawaaban zabardasti chehre par muskuraahat laate hui haath hila diya tha.
YOU ARE READING
Mere Humdum Mere Dost
Ficción GeneralThis book is translation of Mere Humdum Mere Dost, an Urdu Novel By Farhat Ishtiaq. this work is not owned by translator