Baarish Or Bijli

27 3 2
                                    

🌸Maine ek jhalak si dekhi thi tumhari,
Theek raat ki baarish me chamakti bijli ki tarah,
Main vo chamak firse dekhna chahta hu,
Tbhi mujhe har raat baarish kaa intzaar rehta h or har baarish me bijli kaa,
Theek usi tarah jis tarah tumhare chale jaane ke baad naye din kaa or naye din k baad tumhara rehta tha.

Lekin ab ek arsa ho gya hai baarish ko,
Naa is dauran bijli dikhi h naa hi tum,
Haan shayad main bhi kho gya hu din ke ujaale me kahi,
Magar kaise keh de ki raat kaa intzaar nhi.

Achha btao dekha bhi h tumne kbhi baarish me bhigte huye kisi pyaase ko,
Or fir pyaas bhi aisi ki naa bhujhti hai or naa hi sambhalti hai,
Bas theher si jaati h labon pr mere, or yhi bankar mere kasak dil me reh jaati h.

Log aksar chand ki baat krte h,
Or vo hota bhi h hmesha ki trh raat asmaan me,
Lekin baat bijli ki kuch or hai ki maalum nhi ki kb aegi or kaha,
Bas ek chamak or fir gayab,
Lekin us pal me jo roshan vo asmaan krti h vo shayad kayi chaand bhi naa kr paye,
Isliye vo bijli bhi khaas or khas ho tum,
Magar naa vo mere paas h or naa paas ho tum. 🌸

आप प्रकाशित भागों के अंत तक पहुँच चुके हैं।

⏰ पिछला अद्यतन: Mar 30, 2019 ⏰

नए भागों की सूचना पाने के लिए इस कहानी को अपनी लाइब्रेरी में जोड़ें!

Barish or Bijliजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें