"Kya yeh waqai tum ho ?"
Uski ankhon main ik ajeeb si chamak ubhri thi . Ik ajeeb si beyaqeeni ."haan main agaya hun ,tumhare paas ."
Najam dheere dheere chalta hoa uske paas aker beth gaya . Uske honton per ik dheemi si muskurahat thi. Wohi muskurahat jisper wo mara kerti thi .
" Tum agaye , tum agaye !" Aankhon main jaise aansoo to chalakne ko tayyar bethey they .wo uth ker beth gayee . "Mujhe pata tha tum mujhe chor ker kabhi nahi jaoge . " Wo usey deewano ki terha tek rehi thi . Aisi hi to thi wo . Dewaani !!! Najam uski betaabiyan dekh ker halke se hans diya . Usko yun hansta dekh ker jaise wo hosh main agayee . " Magar tum mujhe chorr ker chale gaye ,najam !! Tumhe pata tha main tumhare beger nahi reh sakti ,phir bhi, tum mujhe aise achanak chorr gaye ." Uski aankhon main shikayat hi shikayat thee . Barson ki jama ki hoyee shikayaten uski aankhon se chalakne lageen thi .
" Main majboor tha , haya , tumhe pata hai main bohat majbur tha ." Najam ne apni nazren chura leen .wo uski aankhon main thehre sawalo ke jawab nahi de sakta tha .
" Haan ! " Usne ik thandi aah bhari . " Mujhe maloom hai . Yehi to afsos hai ke main jaanti hun tum majbur they . " Uske honton per ik talkh si muskan ubhri . " Humesha hi to aisa hota tha ,magar tumhe kya maaloom ke tumhare jaane ka baad main kaise zinda rehi . Kya main waqai zinda hun ? " Usne najam ki teref sawaliya nazron se dekha . " Tumhare bina pal pal mari hun main . Kisi murde ko saans lete dekha hai kabhi ? Mujhe dekhlo . "
" Main bhi to khush nahi tha ,haya! Main kab tumhe chor ker jana chahta tha .hum to aik saath buddhe hone ki baaten kya kerte they ..wo tum kaise bhool sakti ho ?"
Haya ik dum se uth kheri hoyee . " Arre ,main ne to poocha hi nahi ,kuch khaoge ? Chai banaoon ,mere haath ki pilaoon aaj tumko ,bohat arsa hoa tumhe chai nahi pilayee . " Wo kitchen ki teref pulti .Najam ne uska haath pakad liya ," Ab tumhare saath hi hun humesha ke liye .abhi betho mere paas ,tumhe dekhun to kitna badal gayee ho ." Wo muskuraya . " Acha ? " Usne apne chehre per haath phera ." Badal gayee hun ? Tumhare baad to aaina dekhne ka mann hi nahi hota tha ,kya pata kitna badal gayee hun " usne udaasi se apne ser ko halka sa jhatka diya .
" Main tumko bohat bahadur samjhta tha ,haya . Tum to bohat himmet wali theen phir aisa kyu kya khud ke saath ? " Najam ne uske chehre per ayi baalo ki let ko hataya . " Meri saari himmet saari bahaduri to tum apne saath le gaye they ,najam . Tum akhir kyu chale gaye they ,kabhi mera khayal nahi aya ,kabhi nahi socha mere baare main ?? Tum to bare hi bewafa nikley !" Wo bister ki chadar per peri silweten haath se sahi kerne lagi . Shayad wo bister nahi apne dil main chayee udaasi saaf kerne ki koshish ker rehi thi . Ab to wo agaya tha na ,ab to usey khush hona chahiye . Magar dil kab kisi ki sunta hai . Ansoo ki ik larri si aankhon se beh nikli thiHaya ,haya " wo tadap utha ." Tumhe pata hai tumhare ansoo main berdaasht nahi kersakta . Mujhe maaf kerdo ! " Najam ne uska chehra apni teref kya . "Tumhe kaise yaqeen dilaoon.main waqai majbur tha ,main khushi se to nahi gaya tha na ." " Tum aur tumhari majburiyan " wo talkhi se hansi . " Tumhe maloom tha is ghar main dum ghut ta tha mera ,kabhi pasand nahi tha mujhe yahan rehna , phir bhi kitni asaani se khud to chale gaye aur mujhe yaheen qaid kergaye . Ab to is ghutan ki adat hogayee hai ,ab kyu aye ho ? "
" Tumhe lene aya hun ,ab nahi rakhunga tumhe yahan ." Usne haya ka haath apne haath main thaam liya ." Chalogi mere saath ??" Wo sawal tha ya haq se kya gaya faisla , haya samjh nahi payee . " Arre ,waah ,ik to itne arsey baad aye ho aur order de rehe ho . Jaise main to tayyar bethi hun ke aap ayenge aur.hum aapke saath yunhi chale jayenge " wo hansi . Uski hansi main ik maan tha ,ishq ka wo ahsaas tha jisne usey aaj tek zinda rakha tha . Haya ne najam ke seene per ser rakh ker aankhen moond li . Wo najam ki khushbu ko jaise apne andar utaar lena chahti thi . Uski isi ada ka to wo deewana tha . Usne jhuk ker haya ki peshani choomli .
" Sach kahun ?" Usne yunhi aankhen moonde najam se ijazat maangi
" Haan ,kaho " .najam ne uske bikhre baal sanware .
" Mujhe yaqeen tha ke tum zarur aoge . Mera dil kehta tha ke tum mujhse durr reh hi nahi sakte ." Uske honton per sab kuch paa leni ki khushi chalak rehi thi . " Wadah kero ,ab to chor ker nahi jaoge na ? " Usne ser utha ker najam ki teref dekha . Halanke usey pata tha ke ab jo lauta hai to kabhi na jaane ke liye !
" Tumhe hi apne saath le jane aya hun . Tum chor ker jaane ki baat kerti ho . Ab chalo chalne ki tayyari kero ." Najam ko maaloom tha ke usko manane main usey ziada mehnet nahi kerni peregi . Itna chahte they wo ik dusre ko .kabhi nahi socha tha ke zindagi ke kisi mod per yun usey jana perega . Kya keren ,zindagi main sab kuch humare mutabiq nahi hota aur inki zindagi to humesha se hi bari be itebaar rehi thi .
Haya ne apne mehboob ki aankhon main aankhen daali .jahan pyar hi pyar tha .uska dil jaise khil hi utha tha . Itne arsey baad bhi apne liye waisa hi pyar dekh ker wo to nihaal hi hogayee thi . "Haan ,chalo , tayyar hun main ." Wo bister se uth kheri hoyee . Wo.dono ik dusre ko dekh ker hans diye . Ab koi unhen juda nahi kersakta tha . Wo apne apne hissey ki narsayee seh chuke they ,unke naqarda gunaho ki saza bhuget chuke they . Ab waqt hi waqt tha aur pyar hi pyar . Najam ne haya ka haath thaam liya aur uth khera hoa .Agli subha jab unki beti humesha ki terha Haya ke paas ayi to dekha ke wo ab tek so rehi thi . " Arre, ammi ,abhi tek so rehi hain , tebiyet to theek hai ?" Wo jaker apni maa ke paas bethi . Haya ke sard honton per ik muskurahat thi . Wo yeh muskurahat ache se pehchanti thi .yeh muskurahat to jaise us ke abbu apne saath hi le gaye they . Kaun jaanta tha ke yun achanak ik hadsa unse unki sab se pyari hasti cheen lega . Uska baap cheen lega . " Ammi ?" Usne halke se haya ke kandhe per haath rakha. Wo jaan chuki thi ke uski ammi akhirkaar uske abbu se ja mili thi . Uski ankhon se ik ansoo nikal ker haya ke buddhe chehre per ja gira . " Allah hafiz , ammi ,Allah hafiz ! " Wo haya ke seene per ser rakh ker phoot phoot ker ro peri .
Ab uski maa ka intezaar khatam hogaya tha .