Minoo Master - Shortcut Story - Ranjankumar Desai

31 0 0
                                    

' Hello Papa ! '

' Haa mere bete joy ! Kya baat hain ? Tumhari aawaz mein kampan , bhay kyo sunayee de raha hain ? Tumhari haalat sher ke saamne ek bheegi billi jaisi kyo lag rahi hain ?

' Papa ! Ek bahut hi dukhad khabar hain .'

' Well , kya hua hain ? Anand Rai ne adhir hokar aapne daamad ko sawal kiya . Un ki aankho mein chinta aur bhay ke aasaar nazar aa rahe the .

' Papa , Minoo hamein chhodkar jaa rahi hain ! '

Joy us ki khabar puri karne se pehle hi tut gaya . Woh apne aansoo ko rok nahi paya . Us ki haalat dekhkar Anand Rai ko kuchh asubha hone ka sandeh hua . Aaisa kya ho gaya jo aapni laadli ghar chhodkar jaane ke liye utaru ho gayee ?

Un ke dimag me tarah tarah ke sawal uth rahe the . Woh kuchh samaj nahi pa rahe the . Unho ne adhir aur shankit manodasha ke beech sawal kiya ..

' Meri beti ko aaisa kadam uthane ki kya jharoot huyee ? .'

' Papa ! Aap ki Minoo to pehle hi din se hamare parivar ke saath dudh mein sakkar ki tarah mil gayee thi . Us ne kabhi kisi ko apne khilaf shikayat karne ka koi mauka nahi diya . Har koi paristhiti ke saath woh hamesh samadhan karti aayee hain . Us ka koi dosh nahi hain . Yeh to us ki niyaati ka dosh hain . Aur Shayad yehi bhagvan ki marji bhi hain . Jo samay se pehle uski jeeva dori katne ke liye adhir ho gaya hain ! . Us ki marji ke saamne jhookne ke siva anya koi vikalp nahi hai . Us ki jindagi ke bahut hi kam din bache hain . Woh kabhi bhi antim yatra ke liye chal pad sakti hain. '

' Oh bhagvan tu meri kartavya baddh beti ke saath itna nirday aur kathor kaise ho sakta hain ? '

Apni beti ki hone vali bidai se Anand Rai buri tarah se tut se gaye . Us ki shaadi ko kewal ek hi saal hua tha aur us ke saath aisi anhonee honewali thi . Unhone bhavuk hokar saval kiya .

' Woh kaun si asptal mein bharti hain ? '

' Woh Madhu asptal ke ICCU me bharti hain . Woh charo pahar doctor ki nigrani ke tale hain . '

Anand Rai ne ek paper par puri mahiti likh di aur kaha :

' O K beta . Dhairya aur himmat rakho aur bhagwan se prarthana karo ki Minoo bach jaye . Yudh ke bahadur sainik ki tarah paristhiti ka saamna karo . Hum log pehli flight mein Mumbai pahuchte hain . '

' Papa ! Harsh ko bhi saath laiyega . '

' Us ki chinta maat karo . Hum log use saath lekar hi aayenge . '

Apni beti ke bare mein sunkar Anand Rai ki sans mano kuchh pal ke liye ruk si gayee .

Us samay un ki biwi Ranjana shankit avastha mein un ke paas aayee aur us ne apne pati ko sawal kiya .

Kya jawab doo ? Anand Rai asamanjas sthiti mein aa gaye . Khabar sunkar apni biwi par dukho ka pahad tut padega . Is khayal se Anand Rai uljhan mein pad gaye . Unho ne kewal itna hi bataya :

' Minoo ki tabiyat thik nahi hain . Hamein fouran Mumbai jana hoga . '

Lekin jab baat flight mein jane par aai to unki biwi ko baat gambhir hone ka andesha hua . Us ne apne pati se chintit hokar sawal kiya aur lachar hokar Anand Rai ne puri baat apni biwi ko baatadi . Sunkar use bahut taklif huyee . Phir bhi Ranjana ne apne aap ko sanbhal liya aur apne pati ko bhi aashwasta kiya .

Anand Rai badi mushkil se apni lagani ko kabu me rakhne ke liye kamyaab ho gaye . mushkil se kabu mei lakar apni biwi ko salah di .

' Tum jaldee se taiyar ho jao aur Harsh ko bhi jagakar use taiyar kardo hamein bahut hi jald nikalna hoga . Unho ne phone par air port authorities ka sanpark kiya aur jharoori jankaari hansil kar li .

You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Oct 19, 2021 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Minoo Master Where stories live. Discover now