Rehne do sahib

45 2 4
                                    



Aj wo bohat khush tha. Zindagi ki pehli kamai apni maa k hath me dene laga tha.
Ofc se nikal kr apne ghr ki trf tez qadmo k sath chl nikla.
Wo jald az jald maa k pas pohanchna chahta tha.
Use is baat pr maan tha k aj phli br apne hatho se apni maa ko kuh de ga.

Main road pr aik side pe wo van me se utra, conductor ko khushi khushi karaya thamaya or gali me dakhil hoa. Qadam tez ho pre thy. Zehan maof tha. Khushi na-qable bayan thi. Wo apni socho me gum tha. 

Use maloom b na tha k uske sath koi chal raha he or use pukaar raha he. Wo abi b ghr k raste pr hi gum tha. 

Achanak aik hath ne use mazbooti se pkra jo use br br awazan de raha tha. Wo mura or dekha k aik 5 saal ka larka, bal mitti me attay hoa, chehray pr ghurbat ki lakeer, kapray phattay hoa hath utha kr apne pait bharne ki faryad kr rha tha.

Use gussa charha or uska hath jhatak kr agay chal dia.

Wo larka phr peechay aya or awazan deta raha magar wo sun,nay ko tayyar na tha.
Larkay ne phr use pkra or sada lagai.

Ab ki br uska zabt jawab de gaya or usne larkay ko apne seedhay hath se thappar raseed kia. Thappar khatay hi larka zameen pr gir gaya. Pait bharne ka khawab aik thappar ne bebasi me badal dia tha.Wo zameen pr gira use door jatay hoa dakh raha tha. Ankhoon me ansu thy lekin dil khamosh nafrat ki aghosh me doob sa gaya tha.

Wo ab apne ghr ki trf ja rha tha. Use nahi mallom tha k jo thappar usne mara he,wo kuh lamhay bd aik ehsaan ki sorat me uske samnay khara hoga or wo kuh nahi kr sky ga.

Usne left turn lia. Gali me dakhil hoa. Ghr k pas ja kr bell bajai or idhr udhr dakhne laga. 

Isi asna me dakha k wohi larka bhaag kr arha ha or "Sahib ruko, sahib baat suno" ki sada laga raha he. Gussa phr aik lamhe ko handi ki trha ubalne ko tayar tha magar achanak sara ghussa sahrmindagi me badal gaya or wo larkay ko dakhta reh gaya.

"Sahib ye apka packet gir gaya tha waha pr, ise lelo. Bri mushkil se bhaag kr aya hu apke pas dene k lia"

Usne dekha, ye to wohi packet tha jsme ise aj salary mili thi or wo laraky ko thappar martay hoa zameen pr gir gaya tha.Larkay ne uthaya or ise laa kr thama dia or ab wapis jane k lia murne laga to usne awaz di "Ruko", wo mura to isne aik 100 rupee ka note lafafay me se nikal kr apni jhuki hoi nazron k sath uski trf barha dia. 

Larka iski trf dakhne laga magar wo nazran uthane ki himmat kho chuka tha. Bs zuban se "Ye lo beta, kuh khaa lo."

Larka bola "Rehne do sahib, thappar kha lia tha...!" or ye kehte hi wo mur gaya.

Wo larkay ko jatay hoa dakh skta tha. Wo ja rha tha or ab wo gali k corner se mur kr uski nazroon se ghayab ho chuka tha magar wo yahi kahi mojod tha, apne ehsaan k sath jska badla dena iske bs me na tha.



You've reached the end of published parts.

⏰ Last updated: Sep 23, 2019 ⏰

Add this story to your Library to get notified about new parts!

Rehne Do SahibWhere stories live. Discover now